us simt chalay ho to itna usay kahna
ab koi nahin harf-e-tamanna usay kahna
tum nay yah kaha tha to yakin mujh ko huwa tha
chahat nahin hoti kabhi ruswa usay kahna
duniya to kisi haal main jeenay nahin daiti
umeed pay kayam hai yah duniya usay kahna
zarkhez zaminain kabhi banjar nahin hotin
darya hi badal laity hain rasta usay kahna
kuch log safar k liye muzoon nahin hotay
kuch raastay kattay nahin tanha usay kahna