interview abi start karna hai?
wat abt khana shana?{(hungry)}
ok tab tak aap ye bata den, k kese hain aaap? raaste main aate hue koi takleef tou nai hui na?aur thread ka address aasani se mil gaya tha??
masahAllah aapto tayyar khadi hain khane ki baat sunkar.aise lagta hai jaise ksi jung me talwar liye dushman ka muqabla kar rahi hain.
mera interview to hoga hi laikin main aapke interview ki baat kar raha hon.
main alhamdulillah theek hon.
aur raasta to bada kathin tha.laikin aap bahnon ki mohabbat ne isse aasaan banadiya.