Islam For Kids...

  • Work-from-home

Miss_Tittli

TM Star
Jun 10, 2013
1,632
1,106
163
◆ As’salaam-u-Alaikum ◆

► Aap Sab Se Discuss Yeh karna Hai K ….
Bachon Ki Tarbiyat Ek Aham Kaam Hai. Islam Mein
Hamein Yeh Bataya Gaya Hai K Bachon Ki Tarbiyat Sahi Islami Tareeqe
Se Kis Tarhan Karni Hai ……… Bachpan Mein Sahi Tarbiyat Hogi Tab Hi Ek Bacha Mustaqbil Mein Ek Acha Musalman Ek Acha Insan Banega ……..
Wese To Maa Baap Dono Per Bacho Ki Tarbiyat Ki Zimmedari Hai …. Lekin Jaisa K Sab Jante Hain K Maa Ki Goud Ko Bache Ki Pehli Dars-gah Kaha Gaya Hai Aur Maa Ka Role Baap Se Kuch Zyada Hi Hota Hai Bachon Ki Parwarish Mein …… So
Kya Woh Maa Jo Apna Zayada Waqt Movies, Songs, Tv Dramas Dekhne Aur Novel Parhne Mein Guzar Deti Hai Apne Bache Ki Sahi Tarhan Se Parwarish Kar Sakti Hai ?
Us Maa Ko Yeh To Khabar Hoti Hai K Next Month Konsi Movie Aane Wali Hai Konsa Album Nikalne Wala Hai …. Per Yeh Khabar Nahin Hoti K Kya Halal Hai Kya Haram Hai ?
Ek Wo Maa Jo Film Stars Ka Sara Shajra Janti Hai Lekin use Apne Nabi SAWW Ki Seerat Ka Pata Nahi, Umma-tul-Momeneen Ka Nahi Pata, Un Logon Ki Zindagi K Bare Mein Kuch Nahi Janti Kya Woh Bacho Ki Sahi Tarbiyat Ka Haq Ada Kar Sakti Hai ?
Islam Mein Mujahid Ka Ek Khas Muqam Hai Kya Hamari Aaj-kal Ki Behne Mujahedeen-E-Islam K Qisse Apne Bachon Ko Sunati Hain ? Ya Phir Apne Bache Ko Kisi Hindi Movie K Song Per Dance Karta Hua Dekh Kar Khush Hoti Hain ?
Ek Maa Jise Har Kaam Karte Hue Song Sunna Zaroori Lagta Hai Kya Woh Apne Bachon Ko Quran-o-Ahadees Ka Dars Sahi Se De Pati Hogi ?
Yeh Kuch Sawalat Hain Jo Zehan Mein Aate Hain Aur Aap Logon K Zehan Mein Bhi Zaroor Aate Honge ……..
Jin Girls Ko Future Mein Maa Ka Azeem Role Nibhana Hai Woh Bhi Sochein Zara. Woh Apne Bachon Ko Kya De Sakti Hain Jis Se Woh Ek Acha Musalman Acha Insan Bane ….!!
“Aaj Jo Boo Gy Kal Ko Wohi Kaato Ge”
  1. @Guriya_Rani,
  2. -@Mahi-, @
  3. JUST LIKE ROZE @
  4. reality, @
  5. King_Kong, @
  6. KhursheedAlam,
  7. @
  8. Arch_Preet, @
  9. unique-@style, @
  10. saviou,
 
Top