Idea Islamic Section...

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum

MAh-e-muharram may Roza rakhne k hawale se kuch article parhe maine idhar... ussi Doran kuch dusre articles bhi daikhey about FIrqa parasti ,,shia n sunni Firqa...

2 cheezain jo Notice may aayi aur jin se kuch clear hone ki bjae mind aur bhi ulajh gya wo main Yahan share karna chahungi....

Pehle Sabah sis ka article parha ahadith thi Muharram ka ROza rakhne pe aur Msulims ko yahoodio se Distinguish karne k liye 2 roze rakhne ki Hadith... wo clear hua aur jaga se bhi search kiya i was satisfied and i followed it...

Phir Aara'f bro k do articles aik ROze k hawale se hi tha aur dusra about Waqea karbla and SHia ye sab k baare may us pe mazeed jaga pe daikha ....

agle din Safi bhaya ka thread about YAZeed(R.A) wo bhi parha maire ilm may jitna tha us k mutabiq maine jawab daina munasib nhi samjha wahan.... so i just read it kuch jawab nhi diya... aur uski search karne laggi k kia theek hay aur konsi baat waqe hi sach lagti hay kuch bayanat sune kuch parha thori bohat discussion hui khair....

aaj Dubara se ye threads daikhne Laggi comparison k liye k Differences kahan kahan hain sab may....

TO aara'f bro Ka thread Delete Kar diya gya ok f9..Firqa parasti nhi chahiye TM pe chlain Maan liya
to Baqi sab threads q Delete nhi Kiye??????
Yazeed kon hay? 4 IMAm wala thread kia ye sab Firqa parasti k nhi hain????

Muje simple sirf itna kehna hay k Forum ko ya to mukammal tor pe tmam Firqo se aazad kar dain ya Sab ko ijazat de dain jo chahe kehne ki........
Really Sorry to Say Islam section may authenticity khatam ho gai hay.....ISlam section may ab sirf wo batain lgayi jayain jis may sab muttafiq hain jahan ikhtlafat hain wo sab Delete kar dain q k ab yhi reh gya hay .....is se at least koi Gumrah to nhi hoga....
YE bohat nazuk Topic hay Zindagi aur Aakhirat issi par mubni hain so Plz is taraf theek se tawaja dain.....
n Plz try to Solve the Problem, n Dont Delete this thread jab tak k Admins koi behtar ya Itmenan bakhs Step na le lain....
NOTE!! maira ye thread lgane ka maqsad kisi k firqe ya mazhab par ungli uthana hargiz nhi hay...
Ye sirf Insaaf ki baat hay ......isse mukammal tor pe bta diya jaaye k kis Firqe k logo k liye authentic hay ya sab ko Aazad kar diya jaaye.....
n i hope k sab Log mushtayeel hone ki bjaaye thande dimagh se soch k seedhi baat karain gaye INSHAALLAH
ALLAH TALA HUM SAB KO HIDAYAT ATA FARMAYAIN AAMEEN ...

BEST Regards!!
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam aapke topic se to mein bilkul sehmat hoon
ke tamam firqon ko ijazat honi chahiye kuch bhi karne ki yaa kisi
firqe ko bhi nahin aur Aata'af bhai ka thread mere vizit se
qabal delete huwa uske delete hone ka mujhe to ilm nahin
per unka bhi eik article delete nahin huwa jo totally shias
aur sunniz ke against tha jisme kaha gaya tha ke is din
yaani 10th of moharram ko rouze ke ilawa baaqi sub biddat hai
woh thread delete nahin huwa aur Ssafi bhai ka isliye nahin huwa
kyunke unhone tanziya nain poochha tha sirf sawal poochha tha
yeh mera khayal hai mein bhi kisi member kisi firqe ke khilaf nahin
bol raha sirf aur sirf apna nazariya bayan kar raha hoon
baaqi ji haan durust baat hai ke humein sub ke saath yaksaan
haq dena chahiye chaahe woh real world ho yaa apna TM ho

waise eik uar baat humein firqon mein farq badta hai humare zyada
ikhtalaaf ke sabab hai warna tamaam firqon mein utna farq nahin
jitna hum ne bana diya hai farq
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37
السلام علیکم
آج کل انٹر نیٹ پر بالخصوص انٹر نیٹ فورم پر ایسے مسائل میں بہت زیادہ اضافہ ہوچکا ہے۔
یہ تمام پریشانیاں اور الجھنیں اس لئے ہیں کہ ہم صحیح معنوں میں فرقہ پرستی کو سمجھ نہیں پائے۔
میں سمجھتا ہوں کہ بات چیت اور بحث و مباحثہ کو روکنا ہی اصل فرقہ پرستی کو فروغ دیتا ہے۔
اگر اخلاق اور اصولوں کے پیش نظر دوفریق کے درمیان بات جاری رہے تو فرقپ پرستی کے جراثیم ختم ہوسکتے ہیں۔
ظاہر ہے ایک بندہ ایک پوسٹ کرتا ہے دوسرا اپنے علم کی بنیاد پر سمجھتا ہے کہ اس میں ناانصافی ہوئی ہے لہذا وہ اپنا موقف پیش کرتا ہے۔ اگر فورم کے ذمہ دار دونوں کی پوسٹ ڈیلیٹ کردینگے تو یقینا ان دونوں فریقین کے دل میں ایک دوسرے کے خلاف نفرت جنم لے گی۔
لیکن اگر انہیں پابند کردیا جائے کہ تم اخلاق میں بات کرو تو انشاٗ اللہ ان کے درمیان غلط فہمی ختم ہوجائے گی اور معاملہ بھی صاف ہوجائے گا۔
لہذا میں سمجھتا ہوں کے بحث کو روکنا ہی نفرت اور فرقہ پرستی کو جنم دیتا ہے۔
فورم پر ایک الگ سے سیکشن ہونا چاہئے بحث و مبحثہ کا اور ان کے سخت رولز ہونے چاہئے۔
اور جہاں جس ٹھریڈ میں بحث کا آغاز ہو اسے وہاں سے بحث و مباحثہ کے ٹھریڈ میں منتقل کردینا چاہئے۔
اختلافی موضوعات میں جب بات ہوگی تو حقائق سامنے آئیں گے ، اگر آپ اسے وہیں روک دنگے تو معاملہ مشکوک رہے گا اور نفرت اور فرقہ پرستی اپنی جگہ کھڑی رہے گی۔
دیگر معاملات میں تو یہی رائے دی جاتی ہے کہ بات چیت سے مسئلہ حل ہوتا ہے۔
لیکن بات اسلام کی آتی ہے تو بات چیت کو روک دیا جاتا ہے۔
میرے خیال میں ان چیزوں کی طرف متوجہ ہونے کی ضرورت ہے۔
بحث روکنے سے رکتی نہیں ہے بلکہ مسائل پیدا ہوتے ہیں۔
اللہ آسانی فرمائے
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam
thread shayed poora nhi parha aap ne
baat ,,baat cheet ko khtam karne ki nhi ki

ye thread koi aaj bhi nhi daikhey maine jo aaj discuss karti....

lakin kuch ko delete kiya jaaye baqio ko rehna diya jaaye ye ziada dushmani ka sabab banta hay ...is se behtar hay sab delete karo ,,obviously dubara koi apna view share hi nhi karega na jab usse pta hoga k delete kar diya jaana hay...

Baat cheet waqe hi bohat faida mand hay parhne sunne waalon k liye bhi ,,,,,par us k liye dono fareeqain ki batain saamne aani chahiye .aik ki baat parh k yak tarfa baat samajh aati hay aur parhne wala bhi theek tara samajh nhi pata na sahi faisla kar pata hain.......

dusri suggestion achi hay aapki is k liye alag section hona chahiye sirf sahib_e_ilm hazraat hi us may behas karain aur baqi parh k tehqeeq kar k sahi faisle tak pohanchain....

dusre threads Quran-o-hadith k mutabiq hon firqo pe nhi
Islam aman ka deen hay firqe sab k apne bnaaye hue hain...

n AAMEEN for dua.
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Walaikum Assalam aap ke thread lagane ka maqsad aur wohan kahi gai batain sub samajh agai hain. baat ati hai aaraf ki ya kisi aur thread ki delete hone ki toe janab aap ko ye baat wazah kar dya jaye ke Islam sections ke kuch rules hain ji pora karna har member ko zaroori hai aur koi agar rules ki pabandi nahi karta toe us ka nateeja wohi hota hai jo nazar aya. aur us ke lye zaroori hai ke aap bhi aik dafa rules ko theek se read karen takey andaza ho jaye 2nd baat ke Aaraaf ki post reported thi jis pe Staff ne action lya aur ye baat bhi rules main mention hai. 3rd ye ke aap ko Yazeed ki thread pe aitraz hai us main koi bhi aisi baat nahi jis ki base pe thread ko close ya delete kya jaye na he us thread ki koi post reported huwi hai kuch days pehle aik thread ki report aai jis ko humare staff ne edit kar ke wapis move kar dya. this all actions is for TM Reputation .. ye TM aik forum hai not koi masjid ya madarsa hum yahan woh material pesh karte hain jis se kisi ki dil azari na ho sirf faida pohnche . agar MashaAllah se aap ko Islam se lagao hai toe us ke lye aap kisi ache alim se rujoo karen jo ke aap ki behtar tarbyat karey.

Aaraaf ki thread ya kisi aur jis ki thread delete huwi us ki clarification un ko pm main staff aur Admins sub ki janib se di gai aur reason bhi bata dya gaya toe i dont think so purani baat ko phr se samne lana durust hai aapa Aaraaf se pochen jakey

in last TM ke har member ko rules ki pabandi karni hogi chahey woh main he kyon na hon Thanks :)
 

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37
حوریں بہن
میں آپ کی بات سے متفق ہون اور آپ کا شکریہ بھی ادا کیا
یہاں آپ نے بات کی اسی طرح میں نے ایک جنرل بات کی جو عموما ایسے حالات کو جنم دیتی ہے۔
آپ کا ٹھریڈ بنادی طور پر ایک میسیج دینے پر ہے لہذا ہر کوئی اس موضوع پر اپنا میسیج ریکارڈ کرائے گا۔ میں نے بھی اس ٹھریڈ میں اپنا میسیج ریکارڈ کرایا ہے۔
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
and one this is very very important to clear u that ke yahan pe kisi bhi firkey ya person pe posting ki pabandi nahi lagai gai hai us ki khudh jeeti jagti misaal Aaraaf, Bahaar Saif aur etc include me sub ke threads hain aur woh thread isi waja se delete ya close nahi hain kyon ke un se member ko faida hai aur us se kisi jang ya larai jhagre ka imkaan nahi hai same Sajid bro jo ke khudh staff main hain aur Aaraaf same place se hain aur same believers hain magar aaj tak Sajid bhai ne koi aisi thread nahi lagai na hum main se kisi ne ke jis se koi issue ho toe aap sub members ko bhi khayal karna chaye ke Rules ko follow karen . so i think ye baat bhi clear hogai ke har firkey ka person already apni apni thread post karta hai Thanks
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Walaikum Assalam aap ke thread lagane ka maqsad aur wohan kahi gai batain sub samajh agai hain. baat ati hai aaraf ki ya kisi aur thread ki delete hone ki toe janab aap ko ye baat wazah kar dya jaye ke Islam sections ke kuch rules hain ji pora karna har member ko zaroori hai aur koi agar rules ki pabandi nahi karta toe us ka nateeja wohi hota hai jo nazar aya. aur us ke lye zaroori hai ke aap bhi aik dafa rules ko theek se read karen takey andaza ho jaye 2nd baat ke Aaraaf ki post reported thi jis pe Staff ne action lya aur ye baat bhi rules main mention hai. 3rd ye ke aap ko Yazeed ki thread pe aitraz hai us main koi bhi aisi baat nahi jis ki base pe thread ko close ya delete kya jaye na he us thread ki koi post reported huwi hai kuch days pehle aik thread ki report aai jis ko humare staff ne edit kar ke wapis move kar dya. this all actions is for TM Reputation .. ye TM aik forum hai not koi masjid ya madarsa hum yahan woh material pesh karte hain jis se kisi ki dil azari na ho sirf faida pohnche . agar MashaAllah se aap ko Islam se lagao hai toe us ke lye aap kisi ache alim se rujoo karen jo ke aap ki behtar tarbyat karey.

Aaraaf ki thread ya kisi aur jis ki thread delete huwi us ki clarification un ko pm main staff aur Admins sub ki janib se di gai aur reason bhi bata dya gaya toe i dont think so purani baat ko phr se samne lana durust hai aapa Aaraaf se pochen jakey

in last TM ke har member ko rules ki pabandi karni hogi chahey woh main he kyon na hon Thanks :)
muje is pe behas hi nhi karni bro :)
muje Sirf admins se poochna hay k aakhir Rules hain kia???? ye aaj clear hon
agar firqa parasti nhi chahiye thi to yazeed n imam wala thread bhi Firqe k mutaliq hay delet karain sab ,,samajh aayain gaye muje rules ,,,agar rules yak tarfa hay to meri samajh se baahir hain.....
agar ye madrissa ya masjid nhi hay matlab yahan knowledge authentic nhi hay na sab ...to phir islam section hi khtam hona chahiye aur agar baat cheet hi karni hay to sab ko allow karain ....of course qalandar bro ne theek kaha alag section bnayain jin k paas knowledge hay reference k saath wo wahan discuss karain...hum sab parhain gaye....
Dusri baat jo aapko samajh aa rhi hay about q delete hua kis se discuss kiya muje us se laina daina nhi aur na hi main koi bachi hun jo kisi mehaz is liye koi thread lgaungi k KISI SPecific Person ka DELETE hua ,,,,thread aapka bhi dElete hua hota aur muje lagta k aap HQ pe thay to main zarur bolti ....jo baat muje ghalat laggi wo maine ki ....ye baat main pehle bhi keh sakti thi par q k pehle kisi ka bhi delete nhi kiya gya tha sab members khud parh k comparison kar k faisla kar sakte thay to wo theek tha......
ab aadhe thread ghaib baqi wohi to ye baat samajh nhi aa rhi muje....
u must have to make it clear...in fact not u Admins ko ye clear kar daina chahiye to behtar rhega tan k aaynda is topic ya aise hi kisi aur topic pe behas ki gunjaysh hi na rhe jab tak k Waqe hi koi AALim na aa jaaye hamain Sikhane k liye :)
n thax for suggestion bro muje WAQe hi AAlim se rajoo karna chahiye i need it ,,,,uska ye matlab nhi k kuch ghalat daikh k point out na karun

STAY BLESSED!!
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Mohtarma main bhi aap se behas nahi kar raha balkey aap ki jo thread hai us pe apne comments de raha hon aur jis thread ki taraf aap ungli kar rahi ho us ki wajohaat janna chah raha hon agar aap ne sirf admins se he baat karni thi toe aap ne itni lambi chori thread kyon lagai? aap direct Admins ko pm kar deti woh aap ko forun quick response dete . so yahan general baat ho rahi hai so think before said something :)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Aap members ko pehle bhi kaha gaya hai jis thread pe doubt ho toe us pe report kara karey aap log kyon ye facility use nahi karte hain.. mera nahi khayal ke koi bhi section delete hona chaye agar aap ko threads pe issue hai toe us pe khamooshi se report post pe click kar dya karen agey action na ho toe phr us ke baad aap kuch bolna. ye deni masail buhat uljhe huwe hain so behtar ye hai ke isey debate ke toor pe use na kya jaye. sirf woh baat kahi jaye jis se faida ho nothing more to expose so aap nahi chahti toe main comments nahi karta hon simply aap ki khushi ke lye Thanks
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH and Nelli

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Aap members ko pehle bhi kaha gaya hai jis thread pe doubt ho toe us pe report kara karey aap log kyon ye facility use nahi karte hain.. mera nahi khayal ke koi bhi section delete hona chaye agar aap ko threads pe issue hai toe us pe khamooshi se report post pe click kar dya karen agey action na ho toe phr us ke baad aap kuch bolna. ye deni masail buhat uljhe huwe hain so behtar ye hai ke isey debate ke toor pe use na kya jaye. sirf woh baat kahi jaye jis se faida ho nothing more to expose so aap nahi chahti toe main comments nahi karta hon simply aap ki khushi ke lye Thanks
Thank u so Much brother :)
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalamualaikum Doston,
Hope ke aap sab thik honge INSHA ALLAH...
Mai bhi kisi se koi behes karne ke mood me nahi hu aur na karna chahta hu, bas mai bhi Clear karna chahta hu...

Rahi baat Yazeed wale thread ki, to maine us thread me already clear kiya hai ke mujhe koi ye bataen ke Yazeed ko Yazeed(R.A) kyu kaha jaata hai mere mutabiq ye galat hai, agar sahi hai to koi use prove karen aur agar ghalat hai to bhi prove karen, isme mai koi firqe ki baat hi nahi kara na hi kisi ko hurt karne ke irade se...

Aur rahi baat 4 imam wale thread ki...to aap sab ko ye bataadun ki isme bhi koi Firqa parasti nahi hai, 4 imam yaani 1 firqe ke log inhe maanna zaruri nahi hai, har firqe ka shaqs koi ek imaam ko follow karta hai, jo nahi karta hai wo us shaqs ki marzi hai, aur mai ye bhi nahi keh raha ki har kisi ko inhe follow karna zaroori hai, bus mai ISLAMIC History or Waqiat section me kuch ISLAMIC Waqiat pesh kiye the, bus aaplog ye threads ko ghalat maane me lerahe hai, aur agar koi baat one sided sochi jaaye to har kisi ko ghalat hi lagegi, to dono pehlu se sochna zaroori hai.

Aur mai bhi har Firqe ka ehteraam karta hu, naa ki kisi ko koi ghalat baat ya kisi ko ghalat thairana chahta hu, bus mujhe ye pata karna tha jo thread maine post kiya hai agar wo ghalat hai to uska prove den agar sahi hai to uska bhi prove den.....

Agar ye baat se kisi ko koi takleef hui ho to uske liye bohot Muazirat chahata hu mai...

Aur ye baat per mai bhi sehmat hu ke agar delete kiya gaya hai Aa'raf Bro ka thread wo to mujhe nahi pata, lekin har kisi ko yaksaa dekhna chahiye aur sab threads ko rakhna chahiye kyu ki isse har shaqs ko malumaat me izaafa hogaa aur wo khud apni sonch se mutma'een hoga ke kya sahi hai aur kya ghalat hai...

NOTE:Aur ek guzaarish meri tamaam bhai behenon se ke agar kisi ko ISLAM ki knowledge lena chahte hai to bara'e meherbaani net se na len aur koshish karen ke koi Mufti ya Aalim se len, aur koi videos bhi na dekhen kyu ke hame har kisi ke talluq se unke favour me bhi videos milenge aur unke against me bhi milenge, to insaan yaha aakar bhatakne me majboor hojata hai ke kya sahi hai aur kya ghalat........

ALLAH Knows every thing better........
ALLAH TAALA hame haq ke raaste par chalaen..AMEEN....
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Okay Hoorain main ap ki is thread k lie yei kahongi k filhal Islam section k koi b aik khas Moderator nai hain.. Saviou k staff se quit k baad ham ne bohat koshish ki k koi aisa member milay jo whole Islam section ko handle karain.. per ab tak aisa koi member hamay nazar nai aya.. is lie Islam section ko bilkul band karne k bajaye admins ne tamam moderators k darmiaan Islam k sections distribute kar die takay TM aik Islamic Pakistani site he rahay ..
so now come to de point.. main aj ap ki is thread k through tamam TM members ko ye kahongi k agar apko Islam section may kahi b Firqa Parasati ya koi b aisi thread nazar ayay jo TM pay nai honi chaiye to foran ya to usay report karain ya Admins se pm pay discuss karay.. Aaraf ki thread report ki gai thi and wo totally aik particular firqay k khilaaf thi isi lie jald se jald usay close kar dia gaya.. next agar ap log hamaray sath coperate karaingay to tubhe Islam section TM pay chalta rahayga..

mughe filhal Aaraf ki thread k ilawa kisi thread ka nai pata k ap kis ki baat kar rahein hain.. so better ha ap kindly ya to links send karain or simply report kar dein.. takay foran action lia jay..

Thankz
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
TM k rules Islam section may har jagah posted hian... Hamari primary category Islam nahi hai .. this is more like social forum... Yahan Islam section hai Knoweldge share karnay k lie ....
kiun k Islam k bahut say ayse points hain jin kay shai ghalat par har koi ittefaq nai rakhta un points ko post karnay say bahess shuru ho jati hai.. ab ya to hum aysi threads ko ek alag say section may jama kar dein or FREE FOR ALL k naam say jahan say sab un topics par non stop bahess kar sakte hain.. jis say automatically un k dil may ek dosre k lie respect khattam ho gi or phir wo bahess kissi na kissi shakal may TM k har section may chale gi...

Ya phir aysi post jahan bahess start ho chuki ho ya hone wali ho us ko hide kar dia jaye or bahess ko rok dia gaye.. Bayshak is say masla solve nahi ho ga laykin yaqeenan is say or maslay create nahi hongay ... Thats why Staff aysi threads ko hide kar dete hain..

Ab ap ka sawal ata hai to k har thread kiun nahi hide hoti to is ki explanation Zee_Leo day chukay hain upper, k agar ap ko lagta hai k koi Thread delete honi chaiye to please REPORT par click kijiye apna reason likhiye and we will take care of it...

TM par sab moderators volunteer work karte hain, and as RR said filhal Islam section ko sab mill kar chala rahe hain.. So agar ap log REPORT par click kar k hamari help kar sakkte hain to wo TM or Staff or sab k lie bahut bari help ho gi...

Also Staff koi bot nahi we are all humans, or as a human hum sab k personal opinion hote hain... ho sakta hai k kabhi jo thread ap k khayal may theek na ho wo Staff k khayal may theek ho ya vice-versa.... so if you report us say hamay ap ka opinion mile gay or phir tamam Staff mill kar us ka hall nikaleingay.. thats the best way i beleive...

And agar abhi ap ko lagta hai k may nay ap k is thread ka asal point miss kar dia ya kisi bhi question ka answer nahi kia to please let me know.. I will try my best to give you all answers...

Ciao
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Bro mai aapki baat se bilkul sehmat hu, lekin shaayad mer posts se lagta hai ke mai firqa parasti kar raha hu, jab ke maine aisi koi baat mere koi threads me nahi kahi, aur na kisi bhi firqe ko maine point out kiya.

Mai bhi har Maslak, Jamaat aur firqe ka ehteraam karta hu, aur mujhe kisi se bhi koi shikayat nahi haan lekin agar mere 4 Imam waale thread se lagta hai ke isme koi firqon ke talluq se kuch baaten ghalat hai ya ye thread ghalat hai to yaqeenan aap ise delete karden bro...

Aur Yazeen kaun hai wale thread me..
bus maine kaha agar sahi hai to prove kare agar ghalat hai to use bhi prove karen, agar is baat se kisi ko takleef hoti hai to mai unsab se muazirat chahta hu, aur meri wo post beshak delete honi chahiye........

ALLAH TAALA knows Better..

Jazakallah Khair
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
JAZAKALLAH saafi bro
muje bhi koi zaati purkhaash nhi kisi member se
ALL members r equal n respectable for me ...
n theek kaha aap ne bhi in short har thread close ho jis pe ikhtalfat hain ya behas ki gunaysh hay q k DOn bro ne clear kiya na k yahan primary category Islam nhi hay..wo yahan ka aik section hay baqio ki tara ...so behtar hay har qabil_e_behas topic khtam kiya jaaye ...

imam waale thread may ahadith ka hawala Durr-ul_mukhtarr se diya aap ne Durr_ul_mukhtar se hawal jaat de sakte hain yahan??
QUran paak k baad sahih bukhari mustanid samjhi jaati hay phir dusri Books bhi un may durr-ul-mukhtar nhi hay i think..
yazeed(R.A) wala thread achi khaasi behas pe mubni hay...
Khair main details may nhi jaungi :)
thanx!!
 

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37
السلام علیکم
میرے خیال میں ڈان صاحب جو اس فورم کے ایڈمن ہیں انہوں نے مناسب بات کی ہے۔
میں یہاں دو باتوں کی وضاحت کرنا چاہتا ہوں۔
میری بہن نے چار اماموں کا ذکر کیا ہے اور ان کو فرقوں میں شامل کیا ہے جو بالکل غلط ہے اور علم سے ناواقفیت ہے۔
فقہائے کرام یہ چار فرقے نہیں ہیں اور کوئی اسے فرقہ سمجھتا ہے تو میں سمجھتا ہوں وہ فرقہ کے معنی و مفہوم ہی سے ناواقف ہے۔
ان اماموں سے اللہ تعالی نے بہت بڑا کام لیا ہے انہوں نے خالص قرآن و سنت سے فقہی مسائل کو ایک جگہ جمع کیا ہے اور جہاں ضرورت محسوس ہوئی اپنے علمی اجتہاد سے مسائل ترتیب دئے۔
قرآن و سنت کے مسائل میں ان کا اتفاق ہے۔ اپنے اجتہادی مسائل میں کچھ فروعی اختلاف موجود ہے۔
لیکن یہ اختلاف حق و باطل کا اختلاف نہیں ہے۔ فروعی اختلاف ہے۔
چاروں امام حق پر ہیں اور ان کے اجتہادی مسائل بھی حق پر ہیں۔
کوئی امام ابو حنیفہ رحمہ اللہ کی فقہی مسائل میں اقتدا کرنے والا خود کو حق پر اور دوسروں کو باطل نہیں ٹہراتا بلکہ چاروں کو حق پر مانتا ہے۔
جبکہ فرقہ پرستی کا مزاج دوسرا ہوتا ہے ۔ ایک فرقے سے تعلق رکھنے اپنے نظریہ کو حق اور دوسرے کے نظریہ کو باطل مانتا ہے۔ جو نفرت کو جنم دیتی ہے۔
جب کہ اماموں میں ایسی کوئی صورت نہیں ہے اور نہ کوئی گنجائش ہے۔
سب کا اتفاق ہے کہ جو کسی ایک امام کی توہین کرتا ہے یا اس کو غلط مانتا ہے اس کا تعلق سواد اعظم یا اہل سنت سے نہیں ہوسکتا۔
دوسری بات یزید کے حوالے سے ہے۔
اس میں اہل سنت والجماعت کا عقیدہ اعتدال کا ہے۔
یعنی یزید ایک ظالم حکمران تھا اور اس نے نواسہ رسول صلی اللہ علیہ وسلم اور اہل بیت اطہار پر جو ظلم کیا اس کی سزا اسے ضرور ملے گی۔
جو لوگ یزید کی تعریف و توصیف کرتے ہیں اور یزید کو حق پر سمجھتے ہیں یا یزید کی تعریف و توصیف پر اہل بیت اطہار سے ناراضگی یا ان کی شان میں کمی و بیشی کرتے ہیں ان حضرات کا اہل سنت والجماعت سے کوئی تعلق نہیں ہے۔
اہل سنت کا عقیدہ یہ بھی ہے کہ یزید کو نہ کافر کہا جائے گا نہ ان پر لعنت بھیجی جائے گی نہ ان کو شیطان کہا جائے گا۔ جیسا کہ ایک طبقہ ان پر لعن و طعن کرتا ہے۔
اعتدال یہی ہے کہ یزید پر نہ لعنت کی جائے اور نہ یزید کی ایسی تعریف و توصیف کی جائے کہ نواسہ رسول امام حسین رضی اللہ عنہ اور اہل بیت اطہار کی شان میں کوئی کمی آئے۔
میں سمجھتا ہوں ایسے حساس موضوعات پر بات نہیں کرنی چاہئے اور جب بات کریں اعتدال اور انصاف کی کریں جس سے کسی کو تکلیف نہ پہنچے۔
اللہ تعالی ہمیں علم نافع عطا فرمائے
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
السلام علیکم
میرے خیال میں ڈان صاحب جو اس فورم کے ایڈمن ہیں انہوں نے مناسب بات کی ہے۔
میں یہاں دو باتوں کی وضاحت کرنا چاہتا ہوں۔
میری بہن نے چار اماموں کا ذکر کیا ہے اور ان کو فرقوں میں شامل کیا ہے جو بالکل غلط ہے اور علم سے ناواقفیت ہے۔
فقہائے کرام یہ چار فرقے نہیں ہیں اور کوئی اسے فرقہ سمجھتا ہے تو میں سمجھتا ہوں وہ فرقہ کے معنی و مفہوم ہی سے ناواقف ہے۔
ان اماموں سے اللہ تعالی نے بہت بڑا کام لیا ہے انہوں نے خالص قرآن و سنت سے فقہی مسائل کو ایک جگہ جمع کیا ہے اور جہاں ضرورت محسوس ہوئی اپنے علمی اجتہاد سے مسائل ترتیب دئے۔
قرآن و سنت کے مسائل میں ان کا اتفاق ہے۔ اپنے اجتہادی مسائل میں کچھ فروعی اختلاف موجود ہے۔
لیکن یہ اختلاف حق و باطل کا اختلاف نہیں ہے۔ فروعی اختلاف ہے۔
چاروں امام حق پر ہیں اور ان کے اجتہادی مسائل بھی حق پر ہیں۔
کوئی امام ابو حنیفہ رحمہ اللہ کی فقہی مسائل میں اقتدا کرنے والا خود کو حق پر اور دوسروں کو باطل نہیں ٹہراتا بلکہ چاروں کو حق پر مانتا ہے۔
جبکہ فرقہ پرستی کا مزاج دوسرا ہوتا ہے ۔ ایک فرقے سے تعلق رکھنے اپنے نظریہ کو حق اور دوسرے کے نظریہ کو باطل مانتا ہے۔ جو نفرت کو جنم دیتی ہے۔
جب کہ اماموں میں ایسی کوئی صورت نہیں ہے اور نہ کوئی گنجائش ہے۔
سب کا اتفاق ہے کہ جو کسی ایک امام کی توہین کرتا ہے یا اس کو غلط مانتا ہے اس کا تعلق سواد اعظم یا اہل سنت سے نہیں ہوسکتا۔
دوسری بات یزید کے حوالے سے ہے۔
اس میں اہل سنت والجماعت کا عقیدہ اعتدال کا ہے۔
یعنی یزید ایک ظالم حکمران تھا اور اس نے نواسہ رسول صلی اللہ علیہ وسلم اور اہل بیت اطہار پر جو ظلم کیا اس کی سزا اسے ضرور ملے گی۔
جو لوگ یزید کی تعریف و توصیف کرتے ہیں اور یزید کو حق پر سمجھتے ہیں یا یزید کی تعریف و توصیف پر اہل بیت اطہار سے ناراضگی یا ان کی شان میں کمی و بیشی کرتے ہیں ان حضرات کا اہل سنت والجماعت سے کوئی تعلق نہیں ہے۔
اہل سنت کا عقیدہ یہ بھی ہے کہ یزید کو نہ کافر کہا جائے گا نہ ان پر لعنت بھیجی جائے گی نہ ان کو شیطان کہا جائے گا۔ جیسا کہ ایک طبقہ ان پر لعن و طعن کرتا ہے۔
اعتدال یہی ہے کہ یزید پر نہ لعنت کی جائے اور نہ یزید کی ایسی تعریف و توصیف کی جائے کہ نواسہ رسول امام حسین رضی اللہ عنہ اور اہل بیت اطہار کی شان میں کوئی کمی آئے۔
میں سمجھتا ہوں ایسے حساس موضوعات پر بات نہیں کرنی چاہئے اور جب بات کریں اعتدال اور انصاف کی کریں جس سے کسی کو تکلیف نہ پہنچے۔
اللہ تعالی ہمیں علم نافع عطا فرمائے

bilkul sahe kaha,i m 100% agree wid u bhai..jazakAllah khair..
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam
Daikhain bro Maine pehle hi bola muje behas nhi karni
muje Sirf Rules pe baat karni thi wo maine ki
According to Rules jin Topics pe ikhtalfat aur behas ki gunjaysh hay wo nhi lagne to in TOpics pe behas ki Gunjaysh hay ye khtam karain
Maine kisi Imam ko manne se hargiz inkaar nhi kiya...maine Sirf wahan Diye gaye References aur ki gai Baaton ko Mustanid manne se inkar kiya hay...
wahan diye gaye references aur batain SAHih Bukhari ki ahadith se takraati hain




Dusra Imam waale thread may diye gaye Reference theek nhi authentic Books k nhi .....
sirf itna kehna hay k Threads daikh k Allow karain k kia References Authentic hain ??aur kahi Behas ki Gunjaysh to nhi...


maine is thread may kisi ki baat ko sahi ya ghalat nhi kaha Sirf Rules pe baat ki hay n Thats it.......
according to Rules References Mustanid hon
Firqon pe na Hon
In do Threads may ye Rules Follow nhi hue to inhe Delete hona chahiye
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
According to Islam section rules aisi thread jis may kam se kam 3 members ko aitaraz ho or us ki waja se behs wagira ho rahi ho to aisi threads ko close kar dia jayga..

isi lie Ssafi ki thread 4 Imam of Islam ko close kia ja raha ha.. next agar kisi ko b kisi b thread pay aitaraz ho to kindly ya to report karain ya phir admins se pm pay discuss kar lejiye..

Regards
 
Top