(khooof) Or (zindagi)

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
"""Khoof"""

Khoof aik aesa darr jo na sahi say jeenay deta hay na marnay itnay saray khooof rishtay khoo dainay ka khooof mohabbat khoo dainay ka khoof duniya ka khoof loogon ka khoof ya rishtay jinhay khoo dainay kay khoof say humdartay hain ya hamaray sath is duniya may nahi aye na hamaray sath jayen gay phir hum kun khoof zada hain inhay khoonay say mohabbbat insan ko kamzoor kar deti hay hum isko khonay say khoofzada hain or ya duniya jo na humain khull kar hasnay deti hay na hi itna haq deti hay kay khul kay roo hi liya jaye to phir duniya ka khooof kun ya loog jo na apni parwah kartay hain na dusron ki to inki parwah karnay na karnay ka khoof kun?hum sub may jo aik khooof hona chaheya woh khoof kun nahi hay...?hum sub main "khoofe Khuda" kun nahi hayjo har cheez par qadir hay mohabbat par duniya par rishton par logon par sub par....to hum uska khooof kun nahi kartay...?jo hamari hifazat karta hay har cheez say or humain mazbooot banata hay.

khofe duniya kay dar say choor diya jeena
na hota dar agar bharosa kiya hota Khuda pay


~*Zindagi*~

zindagi may har cheez insan ko hasbe mansha nahi milti zaroori to nahi jo hum chahain woh hamaray liye hi ho acha bura waqt sub par ata hay bus apni bari ka intezar karna hota hay apnay say batar logon ko daikh kar khud tarsi ka shikar maat hon app woh daikhain jo Allah nay ap ko dia hay or phir apnay say kam tar logon ko daikhain jo in sub cheezon say mehroom hain bura waqt sub par ata hay bus ya sub taqdeer ki baat hay kay woh app ko hateli pay bitha kar palak jhapaktay hi guzar deta hay ya ghaisetay hoye lay jata hay sub kuch taqdeer kay likhay pay hota hay apnay mamlaat Allah par chor dain yaqeena woh app kay liye app say behatar sochta hay..acha ho ya bura..?usay hasi khushi qabool karain apnay dukhon ko khud pay havi na honay dain kay khushi app kay darqazay pay dastak day bhi to app dukh jan kar moo mor lain.

Zindagi kay rung or bhi hain jo daikho to
tamam umar kay malal say to acha hay


 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Zindagi kay rung or bhi hain jo daikho to
tamam umar kay malal say to acha hay
 
Top