Kia Eid Milad un Nabi Biddat hai?

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
biyya yeh link hai

http://www.islamiccentre.org/index.php?option=com_content&view=article&id=947:eid-milad-un-nabi-in-the-light-of-quran-a-ahadith&catid=17:islamic-beliefs&Itemid=42
meray paas time nahi... aik shaks ne eid milad un nabi ko quran or hadith se sabit karnay ki koshish ki... muje nahi pata kia theek hai kia ghalat.. ap ko yaqeenan english samj ati ho gi..
yr ab ap meri kamzuri ka faida utha rhe hain tabi link b english wali share kr rhe hain by the way yeh shaks hai kon jis ko ap Muhammad SAW per b tarjeeh de rhe hain?
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
yehi baat tu sochnay wali hy aur samjhnay wali Chaerful brthr? hum aik bunday ki wafat per Jashan kaisy mana saktay hy, jub k ma naykhud dhaikah hy chand 12 Wafat k naam pr jama kertay hay jashan melad ki manaty hy ajeeb tarah k aqued hy logo ki ,

Allah Talah Deen ku sahe samjhany ki toufeeq atta fermaye (Ameen)

@ Hoorain , Jazka Allah Khair for such a nice and informative sharing
 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
yehi baat tu sochnay wali hy aur samjhnay wali Chaerful brthr? hum aik bunday ki wafat per Jashan kaisy mana saktay hy, jub k ma naykhud dhaikah hy chand 12 Wafat k naam pr jama kertay hay jashan melad ki manaty hy ajeeb tarah k aqued hy logo ki ,

Allah Talah Deen ku sahe samjhany ki toufeeq atta fermaye (Ameen)

@ Hoorain , Jazka Allah Khair for such a nice and informative sharing
hm bhaya shaitan ko chut mili hui hy or uske raste pr chlne wale tu aese hi krenge or dsro ku b bhtkaenge
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
tu pir wiladat me ikhtlaf hy to birtday kese maenge?
wafat wale din?
jin se hm sb se zyda muhabbat krne ka dwa krte hy unki wafat pr khushi manaenge?
yr such pocho to yeh to hame b nhi pata lekin ap b chahen to kisi shaks ki tarf se kahi gayi koi bat maan kr manana shuro kr sakte hain nabi ne kabi kaha ya nhi kaha is se apko koi matlb nhi hona chahiye coz islam to wohi haina jo yahan mukhtalif log apni raaye or apni soch ke mutabiq bata rhe hote hain hamare nabi SAW ne to hame nauzubillah adhura islam dya hai islye woh hame batana hi bhol gaye ke hame 2 islami eidon ke ilava b ek eid or manani hai or to or akhri khutbe main jb Muhammad SAW ne ummat se gavahi li thi ke ay musalmanon gavah rehna aj deen e islaam Allah rabbul izzat ne mukammal krdya hai or maine Allah ki tarf se btayi gayi hr baat tum tk pohoncha di hai
hame to woh gavahi nhi deni chahiye thi coz islaam to abi b na mukammal hai or mukammal karne ka theka bhi un logon ke haathon main hain jo koi b nayi rasm ijaad kar ke usko quran o hadith ke mutabiq sahi sabit krne ki koshish kr rhe hote hain yeh soche bina ke agr yeh amal itna hi sahi ya itna hi naik hota to hamara Rasool hame kyun nhi batata?
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Assalamoalaikum wrwb..
Our brother named Horror asked this question "kia eid milad un nabi biddat hai?"...
Kindly support the answer with references..

JazakaAllah
Wa'alaikum assalam :eek: :eek: :eek:
Prince bro yaqeen nahin aa raha ke yeh thread aap lagaaye ho
kyunke is thread pe repliez se ikhtalaaf e raaye to zaroor aana hai
khair phir bhi apni taraf se jawab de deta hoon:p

mein to 12 rabi ul awwal ko nawafal parhta hoon khairaat karta hoon
agar yeh karna ghalat hai to koi sabit kare ke kese aur mere lihaaz
se islam mein celebration aisi hi honi chaahiye khair phir mein
kahunga ke baaqi subke comments se mujhe Hoor sis ki baatein
theek lageen ke tanqeed o taqleed naa karein aap ke paas qur'an hai
ahadees ki kitaabein hain kisi firqe wale ulma ki naa sunein khud tehqeeq karein
aur phir aap ki tehqeeq pe aap ko biddat lage to be shak chorh dein manana
agar sahi lage to manaate rahein per apni tehqeeq kisi firqe warana aalim ki nahin.....

thats it{(thx)}
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
bhai koi bhi sawal offtopic nahi hota... meray sawal karnay ka maqsad hai.. jo log eid milad manatay hain kia un ko shaitan ne gumrah kia hai
yes he is right koi sawal offtopic nhi hota baat sirf samjhne ki hoti hai
or sunao horror bhai shadi kab kr rhe ho larki warki dekhi koi?
 
  • Like
Reactions: ChEeRfUl>:)

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
bhai koi bhi sawal offtopic nahi hota... meray sawal karnay ka maqsad hai.. jo log eid milad manatay hain kia un ko shaitan ne gumrah kia hai
bro shaitan ke insaan ke dil me waswasey dalta hai ghalat baat ko aisa dikhane mai madad kerta hai jaisey theek hai... Aur sheetan ki bohat si chaleen to quran aur hadees se bhi sabit hain... So aap ka yeah sawal poochna being a muslim theek nahi... Aap ko iss behas ko taweel kerne ke bajae apni thought ko samne rakhna chahiye aur jo aap ko bataya ja chuka us ki tehqeeq kerni chahiye keh aaya woh hadees saheeh bhi hain keh nahi aur fir jis baat pe aap ka dil mutmin ho woh kerna chahiye.... Aap ko lagta hai Hazoor pak sallaho allahe wasalam ki wafat aur pedaesh ka din manana chahiye to zaroor manao per us din ko us tarah manao keh jis kaam se aapne mana kea woh us din mai naa kero...

1. Perdah ka hukam : eid meladul nabi ke moqe pe makhloot ijtamat ghalat hain matlab na mehram mard aur aurten aik jagah pe beth ke melaad

2. Music haram... Aaj kal ki melaad mai full volume mai music ke sath naat perhi jati hain aur barey barey sound system lagae jate hain... Jis se poora mohalla goonjta hai...

3. Sabz gubad aur hazoor pak ki qaber ki shabeeh bana ke rakhi jati hai aur kabaa bana ke tawaf kea jata hai... Yeah sub haram hai...

4. Bijli ki choori... Mujhe aur jagah ka to nahi pata per karachi jaise shehar mai chiraghan kea jata aur light kisi ghar se use nahi hoti balkeh direct khambon pe lagae jati hai.. Jo bijli ki chori hai aur chori ker ke chiraghan kerna kya yeah Hazoor Pak ki shan mai gustakhi nahi...


Eid miladul nabi manana hai to aise manooo keh kal hamara saamna ho to hum un ke samne aqeedat se baata saken keh us din aap ki taleemat pe amal kea namaz ka ehtmam kea... Ghareebon ki madad ki bhookon ko khana khilaya... Aur issey just apni zehan ki soch samajh ke amal kero aur islam ka hissa bana ke nai... :) Allah pak hamari rehnumai fermae aur saheeh deen pe amal kerne ki taufeeq dee....


Mai ne jitni baaten kahi yeah just meri soch hai jo mai ne observe kea aur iss mai ghalat hone ke poora poora imkaan hai...
 
  • Like
Reactions: ChEeRfUl>:)

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
nice shb bohot hi zabardast baaten batayi aapne or yehi sab eid meladun Nabi SAW main nazar bhi arhi hoti hain lekin afsos sirf yeh hai ke apki bat quran o hadith ki refrance ke bina thi jabke ap khud b keh rhe ho ke jo baten apne ki hain woh sirf apki soch hai to kya ek musalman hone ka naate hame Nabi Pak SAW or Allah rabbul Izzat ke farmaan ko follow karna chahiye ya ek aam insan ki soch ko?
 
  • Like
Reactions: ChEeRfUl>:)

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
... So aap ka yeah sawal poochna being a muslim theek nahi...
"ہورر "کے دین و مذہب کو اب پوچھتے کیا ہو ، ان نے تو
قشقہ کھینچا دیر میں بیٹھا ، کب کا ترک اسلام کیا
Eid miladul nabi manana hai to aise manooo keh kal hamara saamna ho to hum un ke samne aqeedat se baata saken keh us din aap ki taleemat pe amal kea namaz ka ehtmam kea... Ghareebon ki madad ki bhookon ko khana khilaya... Aur issey just apni zehan ki soch samajh ke amal kero aur islam ka hissa bana ke nai... :) Allah pak hamari rehnumai fermae aur saheeh deen pe amal kerne ki taufeeq dee....
main ne to kabi eid mil un nabi nahi manai... main waisay ap se sawal kar raha hun... jo log manatay woh apnay ap ko theek kyun samjtay hain...

Mai ne jitni baaten kahi yeah just meri soch hai jo mai ne observe kea aur iss mai ghalat hone ke poora poora imkaan hai...
ap ne bohat achi batain ki hain... mje kia hai

---------- Post added at 11:24 AM ---------- Previous post was at 11:23 AM ----------


kyun confidence nhi hai?
kis cheez pe -- shadi karo bachay paida karo or mar jao... yahi zindagi ka maqsad nahi hai
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
ek admi ke tark e islam ka dava kr dene se duniya main barhti hoi musalmanon ki tadaad ko nhi roka ja sakta
bye the way mere sawal ka javab nhi dya apne
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi



kis cheez pe -- shadi karo bachay paida karo or mar jao... yahi zindagi ka maqsad nahi hai
is hisab se to sab se pehle apko apne parents per tanqeed karni chahiye thi
unho ne to phir fuzol main shadi kar ke tumhe paida kr ke tumhari parwarish kar ke bekaar maqsad main apni zindagi guzar di
 
  • Like
Reactions: ChEeRfUl>:)

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
nice shb bohot hi zabardast baaten batayi aapne or yehi sab eid meladun Nabi SAW main nazar bhi arhi hoti hain lekin afsos sirf yeh hai ke apki bat quran o hadith ki refrance ke bina thi jabke ap khud b keh rhe ho ke jo baten apne ki hain woh sirf apki soch hai to kya ek musalman hone ka naate hame Nabi Pak SAW or Allah rabbul Izzat ke farmaan ko follow karna chahiye ya ek aam insan ki soch ko?
hmmm aap ki baat saheeh hai.... Deen ke mamle mai hume quran aur sunat ko follow kerna chahiye aur apni naqis soch ko peeche rakhna chahiye... Ager hum kuch extra kerne neeki kerne ki koshish kerna chahte hai to usey sirf apni extra effort aur zati soch samajh ke karen ge to shayd itne gunahgaar naa ho jitna keh hum us kaam ko deen ka hissa samajh ke karne pe hon ge....:)
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi

is hisab se to sab se pehle apko apne parents per tanqeed karni chahiye thi
unho ne to phir fuzol main shadi kar ke tumhe paida kr ke tumhari parwarish kar ke bekaar maqsad main apni zindagi guzar di
Fahad zaroori nahi yaar jo teri zndagi ka maqsad ho woh he sub ka ho...:p shadi aur bache zindagi ka aik hissa aik part hai aur zindagi ka maqsad nahi... Zindagi ka maqsad apne faraiz ki adaigi aur gunahon se bachna aur neak amal kerna hai... Aur iss mai se aik farz aik neak amal shadi hai...:)
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
hmmm aap ki baat saheeh hai.... Deen ke mamle mai hume quran aur sunat ko follow kerna chahiye aur apni naqis soch ko peeche rakhna chahiye... Ager hum kuch extra kerne neeki kerne ki koshish kerna chahte hai to usey sirf apni extra effort aur zati soch samajh ke karen ge to shayd itne gunahgaar naa ho jitna keh hum us kaam ko deen ka hissa samajh ke karne pe hon ge....:)
woww now u catch the point agar koi kaam Rasool SAW ki muhabbat ya aqidat main kya jai to ho sakta hai woh bura nahi lekin woh islaam bhi nhi cz islaam sirf or sirf wohi hai jo Allah or uske Rasool ne hame bataya or Muhammad SAW Sahaba karaam and awliyan karaam ne us pe amal kar ke dikhaya
 
  • Like
Reactions: ChEeRfUl>:)
Status
Not open for further replies.
Top