!!......Maa......!!

  • Work-from-home

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
yeh kamyabiyan ez'zat yeh naam tum se hai
khuda ne jo bhi diya hai woh maqaam tum se hai


tumhare dam se hain mere badan main khilte gulaab
mere wajood ka sara nizam tum se hai

kahan bisaat e jahan aur main kamsin O nadan
yeh meri jeet ka sab ehtemam tum se hai

jahan ,jahan hai meri dushmani sabab main hon
jahan,jahan hai mera ehtaram tum se hai
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
Main jidhar gaya,main jahan raha
meray saath tha
wohi aik saya-e-meharban
woh jo aik chehra-e-abar, tha sar-e-asmaan
pus-e-hur gumaan
woh jo aik harf-e-yaqeen tha
meray har safar ka ameen tha
woh jo aik bagh-e-erum numa,sabhi mausamoon main hara raha
woh ujar gaya........
woh jo aik dua ka charagh saa meray raaston main jala raha
woh bikhar gaya.......
meray gham ko jarr say ukharta
woh jo aik lams-e-azeez tha
kissi kapkapatay say haath ka,woh nahi raha
woh jo ankh rahti thi jagti meray naam par
wohi so gayii......
woh aik dua-e-sukoon thi meray rakht main
wohi kho gayiii.........
AAY KHUDA-E-WAHID-O LAM YAZAL
teray aik harf kay said hain
yeh zaman makan
teray faislon kay huzoor main
na majaal hai kissi harf ki,na kissi ko taab-e-sawal hai
yeh jo zindagi ki mat'a hai
teri dain hai,tera maal hai
mujhay hai to itna malaal hai
kay jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-rah thi
main wahan na tha.....
meray raaston say nikal gaii,woh jo aik jaa-e-panah thi
main wahan na tha.......
sar-e-shaam mujhay dhoondti,meri maan ki bujhti nigaah thi
main wahan na tha.......
meray chaar soo hai dhuan dhuan
meray khwaab say meri ankh tak
yeh jo sail-e-ashk hai darmayaan
issi sail-e-ashk kay paar hai
kaheen meri maan
teray raham ki nahi had koi
teray a'fw(maafi) ki nahi intiha
kay to maan say barh kar shafeeq hai
woh rafeeq hai
kay jo saath ho to zindagi ki musaafatain
yeh izziyatain,yeh rukawatain
faqat aik nigah ki maar hain
yeh jo khaar hain
teray dast-e-mu'ajza saaz say
gul-e-khush jamal-e-bahar hain
meri iltija hai to bas yahi.......
meri zindagi ka jo waqt hai,katay us ki ujli duaa'oon say
teray durguzar kay huzoor main
teri barkatoon kay hisaar main
woh jo khaas chashm-e-karam main hai
ussi roshni ki qatar main
kissi cheez ki bhi kami nahi
teri bakhshishoon kay diyaar main
meri maan ki rooh-e-jameel ko
sada rakhna apnay jawar main
sada pur faza woh lahad rahay
teray lutf-e-khaas ki chaoon main
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
jab umar tumhe tumhari
uss mod par le jaegi
tab dekhna tumhe yaad
maa ki har baat wo aayegi

wo baat baat bar poochna
ke kahin tum bhooke to nahin
baat dil mein hei, mujhse kaho
kahin mujhse roothe to nahin

koi aisa gham koi aisa dukh
bhala mujhe to tum batao beta
iss chand se chehre se tum
aansoon ko to hatao beta

jab tum pareshaan se hote ho
meri raton ki neend udh jaati hei
aankhon se mere, aansoon ki ladi
dua ban ke rab ke paas jaati hei

jab mein na hoon pareshaan mat hona
meri baton ko yaad kar ke mat rona
iss dunya mein kahan koi raha hei sada
in aankhon ko beta tum mat bhigona

mayoosion ke jab chaye badal hon
apne dil par haath rakh lena tum
band kar ke apni aankhon ko phir
ho jana meri un yadon mein ghum

mein janti hoon tumhari yadon mein
mein kabhi bhi marr nahi paongi
jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe
mein utna hi tumhe yaad aaongi
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Insan Jab Dunya Main Aata Hai Tu Bohat Se Rishte Us K Aas Pass Hote Hain . Wo Sab Rishte Waqt K Sath Sath Khatam Ho Jate Hain Mager Ak Rishta Jo Martay Dam Tak Insan K Sath Rehta Hai , Wo Rishta MAA OR BAAP Ka Hota Hai , MAA Tu Wo Azeem Hasti Hai Jis K Jazbo Or Mohabbat Main Koii Milawat Nahi Hoti . MAA Kay Bagair Ye Dunya Adhori Hai. Bacha Jab Paida Hota Hai Tu Jis Rishtay Say Wo Sab Say Pehlay Milta Hay, Wo Rishta MAA Ka Hota Hay . KHUDA Nay Yon Hi MAA Kay Qadmo Talay Jannat Nahi Rakhi. MAA Tu Shay Hi Esi Hay Jis Kay Liye Jannat Bhi Kam Hai Ager Jannat Say Bhi Azeem Koii Maqaam Hota Tu Wo Bhi Is Hasti K Azeem Qadmo K Liye Kam Hota.

MAA Apni Oulaad Ki Khushi Main Sab Se Ziada Khush Or Us Kay Dukh Main Sab Se Ziada Dukhi Ho Jati Hai . Dunya Main Sab Say Ziada Bad-Qismat Wo Hai Jo MAA Ki Qdar Na Kar Saka , MAA Ki Qdar Un Se Pucho Jin Ki Qismat Main MAA Ki Mohabbat Nahi , Shafqat Bhari Chaoo Nahi.

Main Ager MAA Per Sari Zindagi Bhi Likhon Tu Ye Zindagi Kam Per Jaye Gi , Meri MAA Jis Nay Mujhay Is Umar Tak Pohchaya , Mujhay Is Qabil Banaya Keh Main MAA Ke Baray Main Kuch Likh Sakoon , Jis Ne Meri Har Khowaish Ko Labo Tak Aanay Se Pehlay Hi Pura Kia. KHUDA Kabhi Kesi Ko Apni Is Azeem Shaksiyat Se Mehroom Na Kare Or Dunya Main Sab Ki MAA'ON Ko Salamat Rakhe Take Ye Dunya Hamaysha KhoobSoorat Rahe .........( Aaameeennnnnn. )
 

CHINTU

Newbie
Mar 24, 2009
349
185
0
37
U.S.A
bahot hi achha topic lagaya hai aapne gf "maa" hasti hi aisi hoti hai ki iska naam sunte hi dil me maa ke liye bas pyaar hi pyaar aata hai is sunehre topic pe main kuch share karna chahunga aap sabke saath


nahi jag me maa jaisa duja ye baat bhulao na
mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

bachho ke liye maa ne kitni chaukhat pe sada di hai
har mandir,maszid aur guru dhware me sazda di hai
kashto ko sahe ke jab duniya me tujko vo lai
tu roya maa roi tere hans ne se vo muskai
rato ko khud jag jag ke tujhe sulaya hai
khud bhukhi pyaasi rahekar bhi tujko khilaya hai
aaisi mamta mahima ke mann ko thes lagao na
mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

ek ek pagrath par chalna maa ne tujko sikhlaya
har sardi garmi me apne aanchal ki di chhaya
tere lab pe pahela shabda maa ka naam yahi aaya
sunke tere mukh se maa ka mann tha harshaya
paheli gur sabke jeevan me hoti hai mata
maa ke charno me to jukta hai jag ka data
pila pila ke dudh vo apna bada kiya tujko
sansar ka har sukh pane ko phir khada kiya tujko
maa ka rin na utrega is rin ko bhulao na
mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

maa jaisi pawan mamta na duji sansar me
sab kuch nyochhavar kar deti bachho ke pyaar me
is ek shabda me chhupi hai sari duniya ki daulat
maa hi mandir maa hi puja aur maa hi hai jannat
iske charno ki seva se jeevan dhanya karlo
iski mamta ki daulat se daman apna bhar lo
bhagwan se bhi uncha darja mata ka hota hai
jo thukraye mamta inki durbhagi hota hai
thukrake maa ko jeevan apna narka nbanao na
mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na


 
  • Like
Reactions: Pari

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha...

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay...

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha...

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri...

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga...

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya...

Zor-e- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga...

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei...

Ab Faraayez Se Tu Door Honay Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Boney Laga...

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulaaney Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalaney Laga...

Baat Be Baat Unn Se Tu Ladney Laga
Qayda ek Naya Tu Phir PaDnay Laga...

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin...

Sunn Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya...

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha...

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do...

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro...

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar...

Ek Din Baap tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar...

Phir Woh Bhi Bas kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi...

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya...

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi...

Ek Sukoon Us ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga...

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe PaDa Bora Hai Tu...

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi...

Dard Mein Tu Pukare Ke "O MERI MAA"
TERE DAM SE HI ROSHAN THE DONO JAHAN...

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi...

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh ab Zor Tera Kahan Reh Gaya...

Tu AHKAAM-E-RABBI Bhulata Raha
APNE MAAN-BAAP KO TU SATATA RAHA...

Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo...

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga...

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi...

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe...

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par...

QADAR MAA BAAP KI GAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE...

Aur Leyta Rahe Woh BaDaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami KHUDA...

Yaad Rakhna her aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na REHMAT KI BARSAT Ko
 
Top