MoHAbbAT kAIsi HotI HaI?

  • Work-from-home

$HADOW

Super Star
Dec 24, 2009
11,672
1,740
713
FLORIDA
Lafz MOHABBAT likhen, bolen to dil ko ek ajeeb si tamaniyat ka ehsas milta hai. Nafarton ke apne jahan honge per koi maan le to kahun ke jo log mohabbat bolte hain, wohi is duniya ke king hain. Kehte hain duniya ki har jung MOHABBAT se jeeti jaa sakti hai. Aap ka kya khayal hai?? Kabhi dil kehta hai ke mohabbat behte hue dariya ki khamosh lehron jaisi hai jo kabhi kabhi mausamon ki be rehmi se khud sar bhi ho jaati hai. Mohabbat pahadhon ki buland chotion se girti hui aabsharon jaisi hai’ mohabbat sardion ki naram dhoop’ garmion ki kisi bheegti hui shaam jaisi ha’ mohabbat chaudvin ke chaand main nahayi hui raat jaisi hai. Kabhi dil kehta hai ke mohabbat gaon ki gorion ki kalayion main bajti chudhion ki khanak jaisi hai’ mohabbat kisi ki pyar bhari meethi pukar jaisi hai’ kisi bohat apne ke aane ke intezaar jaisi hai’ MOHABBAT kisi pe ankhen bund kar ke karne wale aetbaar jaisi hai………………………..MOHABBAT phoolon, khushbuon, khoobsurat rangon jaisi hai. Dil ki umangon jaisi hai. Saawan ki bheegi hui hawaon jaisi hai’ MOHABBAT apni hi maangi hui duaon jaisi hai…………koi mohabbat naam jaisi hai’ kisi shayer ke shagufta kalam jaisi hai’ dil main basey kisi ke salam jaisi hai’ parindon ki mashoor kun bolion jaisi hai aur koi MOHABBAT kayi hijron ke baad hue Milan jaisi hai…………..
Kabhi dil kehta hai ke MOHABBAT rog hoti hai, ek meethi chuban hai, kisi ke raaste per rakhi sulagti aankhon ki dukhan jaisi hai, kisi be-wafa be dard jaisi hai, dil kehta hai mohabbat…………………….
Chalen choren, dil to bohat kuch kehta hai. KOI MOHABBAT KAISI HOTI HAI, AAP BATAYEN’ NAAA??



Assalam-o-Alakum
:) Apnay Dil Main Kise Kay Leya Naram Jazbaat Or Uss Kay Leya Or sirf Uss Kay Leya Kuch Bhe Kar Guzarnay Ka Naam Mohobbat Hai...,

''Mohobbat'' Khuda Say Ho To Bandagi Ban Jati Hai,Rasool(s.a) Say Ho To Ata'at Ban Jate Hai,Waldain Say Ho To Farmanbardari Kahlati Hai,Bahan Bhai Say Ho To Khaloos aur ulfat Kahlati Hai,Rishta Daron Say Ho To Unseyat aur izat Kahlati Hai,Khalq-e-Khuda Say Ho To insanyet aur humdardi Kahlati Hai,Biwi ya shoher Say Ho To Wafadari Ban Jati Hai Or Agar Mehboob Say Ho To Ashqi aur ruswaii Ban Jati Hai..,
Mohobbat AiK Aise Konpal Hai Jo Insaan Kay Paida Honay Kay Foran Baad Phoot'ti Hai Or Waqt kay Sath Sath Phalte Phoolte rehtii hai ....mager hatam nahin hotti .....Mohobbat Hiss ka Naam Hai.Jo KHuda Nay Sab Ko Day Rakhi Hai.Yeh nah Tow Zabardasti Kisi Say Karwai Ja Sakti Hai Or na he Khareedii ja Saktii Hai.belkeh rishton se kasheed kii jati hai , mein neb hi muhabbat ka rang sub se pehlay rab ki zaat mein paya aur maa ki goud mein uss kay lumss ko mehsoos kiyaa phir baap ki shafqat mein yeah perwan cherhaa aur bhai ki thapki ne iss ko taa’haa’fuz farahum kiyaa, aur behan doston aur aapno k sath se iss kii namo hui aur phal phool raha hai, tow aapne dil ko her rishtay ki muhabbat se sershar keryie tow daikhye nafraton kaa naam-onishaan mitt jaye gaa aur ek hassti khalitii zindagi kaa munzer perwan cherhay gaa!!! kahne ko tu aur bhi bohot kuch hai mohabbar ke baray lakin filhall itne he
:)
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
Samandar nay kaha
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai

Jiss may chahat jessa anmol moti mojood hai

Baadal nay kaha
Mohabbat eik ~dhanak hai
Jiss may har Rang Nomaya hota hai...

Shairr nay kaha
Mohabbat eik esse ghazal hai
Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai

Saaz nay kaha
Mohabbat eik essa geet hai
Jo Dil may uttar jata hai

Malee nay kaha
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai
Jiss may sara
gulshan mehak uttah hai

Ankhon nay kaha
Mohabbat ansoo ka samandar hai
jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai

Dil nay kaha
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai
kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay

Naseeb nay kaha
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai
Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin
Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai

Nafrat nay kaha
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai

:) :)
:)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Lafz MOHABBAT likhen, bolen to dil ko ek ajeeb si tamaniyat ka ehsas milta hai. Nafarton ke apne jahan honge per koi maan le to kahun ke jo log mohabbat bolte hain, wohi is duniya ke king hain. Kehte hain duniya ki har jung MOHABBAT se jeeti jaa sakti hai. Aap ka kya khayal hai?? Kabhi dil kehta hai ke mohabbat behte hue dariya ki khamosh lehron jaisi hai jo kabhi kabhi mausamon ki be rehmi se khud sar bhi ho jaati hai. Mohabbat pahadhon ki buland chotion se girti hui aabsharon jaisi hai’ mohabbat sardion ki naram dhoop’ garmion ki kisi bheegti hui shaam jaisi ha’ mohabbat chaudvin ke chaand main nahayi hui raat jaisi hai. Kabhi dil kehta hai ke mohabbat gaon ki gorion ki kalayion main bajti chudhion ki khanak jaisi hai’ mohabbat kisi ki pyar bhari meethi pukar jaisi hai’ kisi bohat apne ke aane ke intezaar jaisi hai’ MOHABBAT kisi pe ankhen bund kar ke karne wale aetbaar jaisi hai………………………..MOHABBAT phoolon, khushbuon, khoobsurat rangon jaisi hai. Dil ki umangon jaisi hai. Saawan ki bheegi hui hawaon jaisi hai’ MOHABBAT apni hi maangi hui duaon jaisi hai…………koi mohabbat naam jaisi hai’ kisi shayer ke shagufta kalam jaisi hai’ dil main basey kisi ke salam jaisi hai’ parindon ki mashoor kun bolion jaisi hai aur koi MOHABBAT kayi hijron ke baad hue Milan jaisi hai…………..
Kabhi dil kehta hai ke MOHABBAT rog hoti hai, ek meethi chuban hai, kisi ke raaste per rakhi sulagti aankhon ki dukhan jaisi hai, kisi be-wafa be dard jaisi hai, dil kehta hai mohabbat…………………….
Chalen choren, dil to bohat kuch kehta hai. KOI MOHABBAT KAISI HOTI HAI, AAP BATAYEN’ NAAA??

bohat hi khoobsurat alfaaz may byaan kiya hay aap ne nellu :)

aaj kal ye TOPIC bohat nazar aa rha hay TM pe :-ss
MUhabbat bohat khoobsurat naam hay bohat khoobsurat jazba hay par aaj kal to is k naam k saath saath iski pakeezgi ka bhi hashar kar diya hay logon ne:s

"muahbbat aik pakeeza jazba hay jo aitmaad k baghair adhoora hay
muhabbat belos hoti hay jissey chaha jaata us se is chahat k badley may kuch nhi maanga jaata iski misaal aik maan ki muhabbat hay maan apne bachon se muhabbat karti hay kisi bhi gharz k baghair unki na farmanio ko darguzar karti hay aur maan k pyar may kabhi kahi koi kami nhi aati .

BELOS muhabbat ki sab se barri misaal ALLAH ki apne bandey se muhabbat hay jo apne bandey ko nawazta hay usk gunah maaf farmaata hay nafarmaani k baad bhi tauba ka haq daita hay aur tauba qabool farmaata hay

Muhabbat karne waale sirf aik cheez bardaast nhi kartey "SHARAKAT" ALLAH bhi apne bandey ki muhabbat may sab gunah maaf farmatey hain siwaye shirk k .

MUHABBAT karne waalon k dil bohat wasee hotey hain sachi muhabbat karne waaley sab kuch fatah kar laitey hain :)
 
  • Like
Reactions: Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
very nice reply Hoor sis n well defined Mohabbat in ur words:) its true k Mohabbat pakeezgi ka naam hai jis main koi gharz, koi lalach nai hoti.......Mohabbat main waqai kisi teesre ki shiarakat bardasht nai hoti
per ek baat aap kehna bhool gaye k is mohabbat main sab se bari cheez hoti hai eitmaad, honesty, khulooos, sacchayi..........in cheezon k baghair mohabbat ki bunyaad kacchi hoti hai aur jis mohabbat main ye sab na ho, shayed woh Mohabbat nai kehlayi jaaati balki it could be just an attraction or sumthin else but just for time being



bohat hi khoobsurat alfaaz may byaan kiya hay aap ne nellu :)

aaj kal ye TOPIC bohat nazar aa rha hay TM pe :-ss
MUhabbat bohat khoobsurat naam hay bohat khoobsurat jazba hay par aaj kal to is k naam k saath saath iski pakeezgi ka bhi hashar kar diya hay logon ne:s

"muahbbat aik pakeeza jazba hay jo aitmaad k baghair adhoora hay
muhabbat belos hoti hay jissey chaha jaata us se is chahat k badley may kuch nhi maanga jaata iski misaal aik maan ki muhabbat hay maan apne bachon se muhabbat karti hay kisi bhi gharz k baghair unki na farmanio ko darguzar karti hay aur maan k pyar may kabhi kahi koi kami nhi aati .

BELOS muhabbat ki sab se barri misaal ALLAH ki apne bandey se muhabbat hay jo apne bandey ko nawazta hay usk gunah maaf farmaata hay nafarmaani k baad bhi tauba ka haq daita hay aur tauba qabool farmaata hay

Muhabbat karne waale sirf aik cheez bardaast nhi kartey "SHARAKAT" ALLAH bhi apne bandey ki muhabbat may sab gunah maaf farmatey hain siwaye shirk k .

MUHABBAT karne waalon k dil bohat wasee hotey hain sachi muhabbat karne waaley sab kuch fatah kar laitey hain :)
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top