net pay sach

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
yah agree wid MORGENSTERN...zahir hai jub koi personal hona chahay ga or humare pas koi answer nahi hoga to lil bit hume jhot ka sahara lena he parta hai
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
yah agree wid MORGENSTERN...zahir hai jub koi personal hona chahay ga or humare pas koi answer nahi hoga to lil bit hume jhot ka sahara lena he parta hai

zarori nahi k jhoot hee bolaa jahai yeh bhi too hoo saktaa hai k app iss person ko yeh bool doo k sorry janab main app ko iss barey main nahi bataa saktee
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
well maira kabhi aisay logon say wasta nahi para jin say may jhot bole k apni baat khatam kar doon..just aik andaza he lagaya tha bas {(popcorn)}
 

MorgenStern

Newbie
Sep 19, 2008
133
12
0
Germany
nahi na kuch log bht hi dheet hote hain lol...I hate such peoples...but aisey hi kabhi kabhi jhoot ka sahara lena parhta hai
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
well maira kabhi aisay logon say wasta nahi para jin say may jhot bole k apni baat khatam kar doon..just aik andaza he lagaya tha bas {(popcorn)}

ya baaao tkoch hazem nahe hoei moja {(upset)}{()|vbb
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
(asda)

yahan sab sach sach yeh bataye

k wo net per kitna % sach bolte hain {m.don)}

99% such bolti hoon

1% suk pay chorti hoon shayad kabhi anjanay ya bhool chook ya mazaq main kaha ho. Islam main jhoot to kisi halat main bolnay ki ijazat naheen.


Jaisa ka 2 ya 3 deen pahlay hi aik hadees parha kisi nain sawal kia Muhammad Sallah o Alaihi Wasallim say kia musalman bakhil ho sakta hai aur aik aur baat poochi aap Sallah o Alaikhi Wasallim naheen kaha han ho sakta hai laikin jhoota naheen ho sakta. Us shuksh nain teen batain poochi theen.

I try not to lie since my buchchpun. No one ever told me not to lie.

Jahan par jhoot bolnay ki zaroorat paish ati hai wahan par main jawab hi kuch naheen deti jhoot say buchnay k liaay.

Main ghar main bhi buchchpun say kisi mar ya daant say buchchnay k liaay bhi jhoot naheen bola karti thi balkay aaj tuk such maan leti hoon agar main koi ghalti karti hoon ya kuch aisa kah deti hoon to is wajah say k yay thori si, dant, mar ya kisi ki narazgi Allah ki narazgi say hazar darjay bahtar hai.

Haan aksar mujhay bhi shaitan bohat bahkata hai jhoot bolnay k liaay par main koshish karti hoon shaitan k bahkaway main na aoon.


Meri is such ki adat pary her dost rishtaydar nain kuch maloom karna hota hai to mujh say poochta hai k maloom hai main such boloon gi. Sub achchi tarha jantay hain main jhoot naheen bolti. Haan meri is baat ki wajah say sub mujhay bewaqoof samajhtay hain per main samajhti hoon main aqalmand hoon Islam k lihaaz say haan duniawi lihaaz say bayshak bewaqoof hoon.

Aap logon ka kia khial hai main bewaqoof hoon k aqal mand?

Allah ki khushi k laay jhoot naheen bolti aur dunia k logon ki parwa naheen karti.
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Meri aap sub say iltija hai k jhoot na bola karain jo koi bhi jhoot bolta hai Allah ko naraz karta hai dunia k logon ki khushi k liaay. Jo bohat hi ahamaqana harkat hai.

Sorry I forgot to add main na hi amli zindagi main jhoot bolti hoon aur na hi net pay is liaay k net pay sub samajhtain hain kay computer k peechay wo logon say chupay hotay hain is liaay jitna jhoot bol lain koi farq naheen parta yay bhool jatay hain kay net ya computer k peechay bhi Allah daikh raha hota hai. Allah say to kaheen chupa naheen ja sakta.

Na hi loag itnay ahmaq hotay hain k aap ka jhoot pakar na sakain. Wo kahtain hain na jhoot k paon naheen hotay so aik na aik din jhoot pakra jata hai. Such kabhi na kabhi samnay zaroor ajata hai. Such ka hamaisha bol bala hota hai. Bus Allah k yahan dair hai andhair naheen. Bohat time bhi lug sakta hai per such zaroor samanay ata hai.


Jhoot khudh jhootay insaan ko bhi pasand naheen ata agar koi aur us say jhoot bolay to. Jhootay insan ki yay dhoghli policy naheen hoti k khud to jhoot bolta hai per jub koi aur jhoot bolta hai to wo pasand naheen karta.

Agar main yahan pay abhi jhoot bolna shuru kar doon to koi aik bhi fard mujhay pasand naheen karay ga aur na hi meri kisi baat ko ahmiat day ga. Khuwah wo khud kitna bara hi jhoota kioon na ho.

Jhoot say ijtinaab karna chahyay Allah ki khushnoodi k liaay. Main nain to daikha hai baaz loag faltoo kioon baton main bhi jhoot boltay hain jis say koi faida naheen hona hota. Shayad unki adat par gai hoti hai jhoot bolnay ki is liaay.
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
wow gr8 reply Precious..really ap nay kafi achi batain ki..main ap ki baton say kafi impress hoi..nice reply {(popcorn)}
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Thanks redrose.

Main nain to sirf apnay baray main suchchai likhi hai aap ko pasand ai bohat shukria.

Waisay impress ka bharam toot na jaay. Mujh main bohat si buraiaan bhi bhi hain. jub wo pata chalain gi to mera yay sheesha ka but aap ki nazron main toot bhi jaay ga. Ziada dair naheen lagay gi.
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
i think koi bhi perfect nahi hota dear..her insaan may hazaron buryaan hotein hain..lakin hamesha humari achiayaan he humari buryon ko chupa deti hain..so koshish kijye k hamesha acha sochiye to burai kabhi ap k kareeb nahi aye gi..or jo hain wo bhi bhag jayein gein {(popcorn)}
 
Top