Paranormal Activities In World

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalamo Alaikum Guys.. well naam sun ke he aap sab ke mind main aisi makhlooq ka taswur ubhra hoga jo humari ankhoon se posheeda hai magar kabhi kabhi ye makhlooq yani Jinnat apney aap ko show karney ki koshish karti hai. Jinnat ke wajood pe har muslim yaqeen rakhta hai ke ye bhi Allah ki makhlooq main se hain jin ka Zikar Quran aur Ahadees se sabit hai toe in ke wajood se inkaar ka sawal he peda nahi hota.. well aata hon is taraf ke is terha ki ye thread bananey ki zaroorat kyon pesh aai so us ki waja ye hai ke recently kuch waqiat humare khandan main pesh aye jis ka belong mere mamu ke ghar se hai so main aap ke sath pora waqia share karta hon..

Mere Mamu ka ghar North Karachi main hai 480 Sq. Yards pe ye ghar is terha se bana huwa hai ke 3 taraf koi ghar nahi jab ke samney ki taraf ghar baney huwe hain. Mamu ne ghar ke ground floor pe half partition kar rakhey hain half pe aik primary tak school hai jab ke half pe aik aur family ko rent pe ghar de rakha hai. aur khudh 1st floor aur 2nd floor use karte hain mamu dubai main hotay hain so ghar main sirf bachey aur mami hoti hain. Ramzan se pehle ki baat hai ke wohan par kuch pani ki problem hogai toe meri mami ghar ko lock laga ke 2 days ke lye apni sister ke ghar chali gaien.

2 Din ke baad jab woh log wapis aaye toe jaise he oper jakey door open kya toe front pe kitchen hai then TV launch hai . wohan pe kitchen se Tv launch tak sab jaga pani pani ho raha tha like jaise thori dair pehle he kisi ne ghar dhoya hoo ye dekh kar woh log buhat pareeshan huwe kitchen main wash beson waghera check kya ke kaheen khula na reh gaya ho magar aisa kuch nahi tha sab nalkey b band thay .. pora ghar check kya gaya magar koi maujood nahi tha khair mami ne is waqiye ko zyada tool nahi diya ke sab dar na jayen aur bahaney bana diye bachoon ke samney .

2nd waqia bhi Tv launch main huwa .. mamu ki 2 betian hai jo ke twins hain dono abhi 2 years ki huwi hai recently us main se aik ko mamu dinning table jo ke sheeshey ki hai us par bitha ke kitchen main work karney lagien.. aur dosri beti un ki dinning table ke neeche ghusi khel rahi thi jaisa ke bachey aksar karte hain. huwa ye ke jo oper bethi thi us ne decoration waley apples utha liye jo ke kafi solid thay aur khelte khelte usey dinning table ke sheeshey pe mara jis se sheesha buri terha se toota aur woh oper se neeche giri aur sath jo neechey khel rahi thi us oper b kanch gira .. ye dekh kar mami bhagti huwi aaien aur us waqt kuch aur family members bhi aye huwe thay woh bhi jaldi se aye ronay ki awaz sun ke .. jab dono ko kanch ke dhair se uthaya gaya aur jaldi se dekha gaya ke kahan lagi hai kanch kahan ghusa hai magar sab ye dekh ke heraan reh gaye ke un dono ko aik halki si kharash tak nahi aai na aik b khoon ka katra nikla .. how is this possible ke koi kanch ke sath girey aur aik jo jis ke oper kanch girey usey choot tak na lagey?

3rd waqia kuch aisa huwa ke us se hum sarey he pareeshan ho gaye recently mamu ke ghar pe dawat thi sab khandan ke log aye thay Eid ke 2nd day ki baat hai . khair humari family aur kafi famlies usi din wapis raat main ghar agaien but aik barey mamu ki family aur meri nani woheen pe ruk gaien. raat ko sab soo rahey thay ke achanak nani ke zoor zoor se chilaney ki awaz aai jab ke meri nani kafi bahadur hain aur soom o salat ki paband bhi hain.. sab bhag ke gaye un ke pass toe dekha nani kafi ghabrai huwi hain aur bed ke neechey ishara kar rahi hain.. jab sab ne dekha bed ke neechey toe koi nahi tha jab ke nani boley ja rahi thien ke woh neechey aik admi ghusa huwa hai . sab ke mind main pehle yahi aaya ke koi choor ghusa hai.. pora ghar dekha gaya magar main door se le kar sab door band thay kisi ke ander aney ka sawal he peda nahi hota tha sari windows b ander se band thien.. then nani ke thorey hosh sambhley toe then she said ke woh soo rahi thien ke aik admi aya aur un ka paon pakar ke khechney laga yahan tak ke unhen bed se neechey gira dya Allah ka shukar unhen zyada choot na lagi. aur woh hans raha tha then woh bed k neechey chala gaya un ke chillaney par lekin jab sab aaye toe koi maujood nahi tha khair is waqiye ko b hum sab ne khuwab ka naam de dya hai takey chotey bachey dar na jayen aur mamu ke bachey sab he chotay hain ..

So aap sab kya kehte hain in waqiat ke hawaley se? apne apne point of views share karen . is ke ilawa bhi kafi kuch main share karon ga aap se apne sath honay waley experiences bhi aur apne se related logoon ke bhi aap sab bhi apne experiences share kar sakte hain ya kuch aise experiences jo aap se related logoon ke sath huwe hon. Allah hum sab ko apne hifz-o-Aman main rakhey Aameen

THANKS
REGARDS
ZEE
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb..
raat ke 3am apki kahani parhi to mera to hojaega kaam...
aik hi baat kehna chahonga...jinnat ache bhi hote hein aur bure bhi...agar ap unhe tang karegein to ap ko attack karegein.......
mere saath koi khas to nahi howa waqiya but haan bachpan mei bht si jaga haunted dikhne ko milien thi
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
@whiteros @faari @omore @Messi @Jan-e-jahan @Sparkofighter
مسلم @Qalandar

ღ*HõOriã*ღ[DOUBLEPOST=1347174200][/DOUBLEPOST]@anoush[DOUBLEPOST=1347174251][/DOUBLEPOST]
walakumsalam wrwb..
raat ke 3am apki kahani parhi to mera to hojaega kaam...
aik hi baat kehna chahonga...jinnat ache bhi hote hein aur bure bhi...agar ap unhe tang karegein to ap ko attack karegein.......
mere saath koi khas to nahi howa waqiya but haan bachpan mei bht si jaga haunted dikhne ko milien thi
arey parh loo darney se kuch nahi hota :D
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam​
dats really quite scary​
:s
well asa mery saath tu kabhi nahi hova per nano bataya krti hai ka un ka tym mai asa hota tha​
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikumussalaam Zeeshan bhai

aapka ishaara jinnaat o shayateen ki taraf hai so
bilkul jinnaat o shayateen hote hain lekin aaj kal
loug inka naam bila wajeh istemaal karke paise
kamaane ke chakkar mein hote hain aur khud
ko ulma bolte hain khairrrr mauzu ko chhorte huwe

aapki family ke mauzu ki jaanib aate hain so sheeshe
wala waaqea to aam baat hai ise ALLAH ki rehmat kahiye
kyunke eik dafa mere saath 7 feet ki oonchaiye se glass gira
kaanch ka can u believe it use eik nishan tak nahin aaya ??
aur eik dafa us glass ki hi jori mere side me rakhi huwi thi
mera hath laga use wo bas zameen ko touch hote hi chakna
choor ho gaya mein khud heirat me aa gaya tha

aur 2nd waaqea ke hawale se eik aur baat abhi recently
Quetta ki jaanib eik buss accident huwa bus khaaiy se giri thi
kuch loug mare the aur tamaam zakhmi huwe the humaare
jaanne wale bhi saath the usme do u know eik 3 saal ki
bachi saath thi jise kharosh tak nahin aaya woh bilkul
sahi salamat thi SUBHANALLA WA ALHAMDULILLAH

teesre waaqea per yeh kahunga ke bila shuba tang karne
waale jinnat o shayateen hote hain unse bachne ka tareeqa
hai ke hum apne ghar ko MUSALMAANI ghar banayen bhai
matlab ke ghar mein QURAN SHAREEF ki tilawat ho

aur bhi bohot si cheezein jinme ghar ka holiya ISLAMI
banana chahiye to insha'ALLAH tamaam aise masaiyl
khud ba khud hal hongen Ameen .
 
  • Like
Reactions: $HADOW and Zee Leo

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
hmmmmmmmmm niceee thread or beshak yeh such hai jinnat ka wajod mojod hai or musalman bhi hote hain or ghair muslim b hote hain lekin insaan se darte hain or woh islye ke insan ko tamam makhloqat per sharf hasil hai to hum jis tarha dusri makhloqat per qabu rakh lete hain ussi tarha jinnat per b qabu rakh sakte hain lekin phir yeh sawal paida hota hai jinnat insan se darte hain to woh insan ko apne qabu main kaise le lete hain to iska javab yeh hai ke jinnat insan se 100 gunah zyada paye jate hain lekin aise waqiyaat boht kam ronma hote hain or uski wajah sirf yeh hai ke jis tarha hum janwaron per sharf rakhte hain or unko apne qabu main le lete hain lekin unhi main se kuch janwar aise b hote hain jo be qabu ho ker insan ko hi apne qabu main kar lete hain lekin woh sirf hamari apni hi koi ghalti hoti hai us janwar ki insanon per sharf rakhne ki daleel nhi hoti
islye baat sirf apne apne imaan ki ajati hai agr insan ka apne Allah per or uske kalam per pakka yaqin hai to usko phir is baat per b yaqin rakhna chahiye ke Allah ne insan ko ashraful makhloqat ka darja dya hai jinnat ya kisi dusri makhloq ko nhi islye woh apse poshidah reh ker bhi apse 100 qadam dur rehte hain or ap usko na dekhne ke bawajod bhi us per bartari rakhte hain
 
  • Like
Reactions: hoorain and Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
walikum salam​
dats really quite scary​
:s
well asa mery saath tu kabhi nahi hova per nano bataya krti hai ka un ka tym mai asa hota tha​
kaisa hota tha? :eek:[DOUBLEPOST=1347184958][/DOUBLEPOST]
Wa'alaikumussalaam Zeeshan bhai

aapka ishaara jinnaat o shayateen ki taraf hai so
bilkul jinnaat o shayateen hote hain lekin aaj kal
loug inka naam bila wajeh istemaal karke paise
kamaane ke chakkar mein hote hain aur khud
ko ulma bolte hain khairrrr mauzu ko chhorte huwe

aapki family ke mauzu ki jaanib aate hain so sheeshe
wala waaqea to aam baat hai ise ALLAH ki rehmat kahiye
kyunke eik dafa mere saath 7 feet ki oonchaiye se glass gira
kaanch ka can u believe it use eik nishan tak nahin aaya ??
aur eik dafa us glass ki hi jori mere side me rakhi huwi thi
mera hath laga use wo bas zameen ko touch hote hi chakna
choor ho gaya mein khud heirat me aa gaya tha

aur 2nd waaqea ke hawale se eik aur baat abhi recently
Quetta ki jaanib eik buss accident huwa bus khaaiy se giri thi
kuch loug mare the aur tamaam zakhmi huwe the humaare
jaanne wale bhi saath the usme do u know eik 3 saal ki
bachi saath thi jise kharosh tak nahin aaya woh bilkul
sahi salamat thi SUBHANALLA WA ALHAMDULILLAH

teesre waaqea per yeh kahunga ke bila shuba tang karne
waale jinnat o shayateen hote hain unse bachne ka tareeqa
hai ke hum apne ghar ko MUSALMAANI ghar banayen bhai
matlab ke ghar mein QURAN SHAREEF ki tilawat ho

aur bhi bohot si cheezein jinme ghar ka holiya ISLAMI
banana chahiye to insha'ALLAH tamaam aise masaiyl
khud ba khud hal hongen Ameen .
bilkul theek kaha aisa main b aik waqia dekh chuka hon aik bacha flat ke 5th floor se gira neechey mitti pari thi ghar main jo use hoti hain aur usey kuch na huwa.. aur MashaAllah mamu aur un ke ghar waley kafi islamic hain aur recently hajj bhi kar ke aa chukey hain..[DOUBLEPOST=1347185046][/DOUBLEPOST]
behter hy ap kisi ko dikha lain agar kuch howa tu b pata chal jay ga
abhi dobara phir toe kuch nahi huwa bus neechey school se desk aur chair khecney ki awzen ati hain sab ne un ko mashwara dya hai ke neechey maghrib ke baad light jala ke rakhen coz kafi arsey se school hai ub wohan aur school band hoti he andhera rehta hai wohan par shayad usi waja se ye sab ho raha hai . Allah behtar janta hai[DOUBLEPOST=1347185079][/DOUBLEPOST]
wa asalam

zee app k mamo ke family ke himmat hy k wo us gher main rah ray hain







View attachment 53298
tum ko chalna hai us ghar main ? :p
 

hafsa91

Active Member
Aug 19, 2012
339
308
63
mje tu lagta ha wo cheez twins babies ko protect kar rhi ha tm unhy check karwao,babies, ko,i mean dekho n aus ne unhy hurt ni hone dia tu ho sakta h au se related kuch ho
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
hmmmmmmmmm niceee thread or beshak yeh such hai jinnat ka wajod mojod hai or musalman bhi hote hain or ghair muslim b hote hain lekin insaan se darte hain or woh islye ke insan ko tamam makhloqat per sharf hasil hai to hum jis tarha dusri makhloqat per qabu rakh lete hain ussi tarha jinnat per b qabu rakh sakte hain lekin phir yeh sawal paida hota hai jinnat insan se darte hain to woh insan ko apne qabu main kaise le lete hain to iska javab yeh hai ke jinnat insan se 100 gunah zyada paye jate hain lekin aise waqiyaat boht kam ronma hote hain or uski wajah sirf yeh hai ke jis tarha hum janwaron per sharf rakhte hain or unko apne qabu main le lete hain lekin unhi main se kuch janwar aise b hote hain jo be qabu ho ker insan ko hi apne qabu main kar lete hain lekin woh sirf hamari apni hi koi ghalti hoti hai us janwar ki insanon per sharf rakhne ki daleel nhi hoti
islye baat sirf apne apne imaan ki ajati hai agr insan ka apne Allah per or uske kalam per pakka yaqin hai to usko phir is baat per b yaqin rakhna chahiye ke Allah ne insan ko ashraful makhloqat ka darja dya hai jinnat ya kisi dusri makhloq ko nhi islye woh apse poshidah reh ker bhi apse 100 qadam dur rehte hain or ap usko na dekhne ke bawajod bhi us per bartari rakhte hain
beshak Insan Ashraf-ul-makhlokat hai aur apni ghaltioon ki waja se he mushkilat main parta hai, magar woh banda agar woh jin tha toe meri nani ko kyon nishana banaya .. kaha jata hai ke insanoon se pehle Allah ne dunya main jinnat ko basaya magar ye apas main khoon rezi karney lagey toe Allah ne asman se iblees bheja jo farishtoon ki fauj le kar aya aur us ne tamam jinnat ka khatma kar dya aur jo bach gaye woh andhere aur gharoon ki taraf dakhel diye gaye.. ub insan jis zamaney main hain wohan hum ne un veeranoon ko abad kar dya gharoon aur darakhtoon ko b khatam karney lagey hain shayad yahi waja hai ke aise waqiat ka silsila barhta ja raha hai humari aam zindagi main in ki dhakal andazi shayd isi wajoohat ki bina pe hai . Wa Allah ilm[DOUBLEPOST=1347185394][/DOUBLEPOST]
mje tu lagta ha wo cheez twins babies ko protect kar rhi ha tm unhy check karwao,babies, ko,i mean dekho n aus ne unhy hurt ni hone dia tu ho sakta h au se related kuch ho
nahi woh Allah ka shukar hai set hain aur jaisa @S_ChiragH ne kaha woh Allah ke maujzoon main se aik maujza bhi ho sakta hai
 

hafsa91

Active Member
Aug 19, 2012
339
308
63
beshak Insan Ashraf-ul-makhlokat hai aur apni ghaltioon ki waja se he mushkilat main parta hai, magar woh banda agar woh jin tha toe meri nani ko kyon nishana banaya .. kaha jata hai ke insanoon se pehle Allah ne dunya main jinnat ko basaya magar ye apas main khoon rezi karney lagey toe Allah ne asman se iblees bheja jo farishtoon ki fauj le kar aya aur us ne tamam jinnat ka khatma kar dya aur jo bach gaye woh andhere aur gharoon ki taraf dakhel diye gaye.. ub insan jis zamaney main hain wohan hum ne un veeranoon ko abad kar dya gharoon aur darakhtoon ko b khatam karney lagey hain shayad yahi waja hai ke aise waqiat ka silsila barhta ja raha hai humari aam zindagi main in ki dhakal andazi shayd isi wajoohat ki bina pe hai . Wa Allah ilm[DOUBLEPOST=1347185394][/DOUBLEPOST]
nahi woh Allah ka shukar hai set hain aur jaisa @S_ChiragH ne kaha woh Allah ke maujzoon main se aik maujza bhi ho sakta hai
hmmm may b t u phr ghar hi haunted ho ga,u knw hamara ghar new bana ha bt jo puaran tha na wo haunted tha,main pehly bht darti thi even soye howy b dar jati thi ,khair ye koi nai baat nahi main abi b dar jati hn bt main e aisi cheezain dekhi b hoi hein
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
hmmm may b t u phr ghar hi haunted ho ga,u knw hamara ghar new bana ha bt jo puaran tha na wo haunted tha,main pehly bht darti thi even soye howy b dar jati thi ,khair ye koi nai baat nahi main abi b dar jati hn bt main e aisi cheezain dekhi b hoi hein
phir tum apna experience share karoo na :eek:
 

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
hmmmmmmm darna pady ga but jinhoty to hain lekin is tarha tang krna ye sirf suna hai,,,.....baqi ALLAH JANY
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
hmmmmmmm darna pady ga but jinhoty to hain lekin is tarha tang krna ye sirf suna hai,,,.....baqi ALLAH JANY
han tang bhi karte hain :eek: tum socho leti ho aur aise koi achanak se paon pakar ke khecnhey lagey ke jaise kaheen le kar ja raha hon raat ka andhera ho aur hans raha ho woh then what shoul u do? :oops:[DOUBLEPOST=1347186507][/DOUBLEPOST]
ohr kabhi,n aisy moun kyu n bana rhy ho
huff batao naa slap1)}
 
  • Like
Reactions: hafsa91

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
beshak Insan Ashraf-ul-makhlokat hai aur apni ghaltioon ki waja se he mushkilat main parta hai, magar woh banda agar woh jin tha toe meri nani ko kyon nishana banaya .. kaha jata hai ke insanoon se pehle Allah ne dunya main jinnat ko basaya magar ye apas main khoon rezi karney lagey toe Allah ne asman se iblees bheja jo farishtoon ki fauj le kar aya aur us ne tamam jinnat ka khatma kar dya aur jo bach gaye woh andhere aur gharoon ki taraf dakhel diye gaye.. ub insan jis zamaney main hain wohan hum ne un veeranoon ko abad kar dya gharoon aur darakhtoon ko b khatam karney lagey hain shayad yahi waja hai ke aise waqiat ka silsila barhta ja raha hai humari aam zindagi main in ki dhakal andazi shayd isi wajoohat ki bina pe hai . Wa Allah ilm[DOUBLEPOST=1347185394][/DOUBLEPOST]
nahi woh Allah ka shukar hai set hain aur jaisa @S_ChiragH ne kaha woh Allah ke maujzoon main se aik maujza bhi ho sakta hai
nhi yar aisi baat nhi coz ap jo bata rahe ho woh sab kaha jata jabke quran khud apne aap main ek daleel hai so jinnat bhi insano ki tarha ache or bure naik or bad dono qism ke hote hain or quran main b kafi jagha insan or jinnat ka name ek sath le ker unhe namaz or naik kaam karne ki talqeen ki gayi hai thats why jinnat masjidon main b hote hain or insano se zyada hote hain harm shareef main tawaaf bhi kar rahe hote hain or insano se zyada hote hain lekin jis tarha insaan Allah per imaan rakhne ke bawajod or deen se dur rehne ki wajah se boht se aise kaam kr rha hota hai jo hum per haraam kye gaye hain jaise sharaab peena jadu tona karna ya or bhi boht se aise kaam jiski ijazat islaam nhi deta lekin phir b kuch muslim kar rhe hote hain
isi tarha hi jinnat ko b insaan ke saamne show hone ki ijazat nahi lekin jo jinnat musalman hi nhi woh phir show b hojate hain insan ke samne or unki mout ka zariya b ban jate hain lekin ahadees ke mutabiq jis ghar main quran pak parha jata hai aise shayateeni jinnat us ghar se 100 qadam dur rehte hain so isi lye hi hamen weeran jaghon per ke jahan koi ghar ya basera mojod na ho or quran pak na parha jata ho to hamen quran ki surton ki tilawat ki naseehat ki jati hai lekin dusri janib yeh b haqiqat hai ke woh jinnat chahen musalman na ho lekin phir bhi insan ko hi un per sharf hasil hai
 
  • Like
Reactions: hoorain and Zee Leo

hafsa91

Active Member
Aug 19, 2012
339
308
63
han tang bhi karte hain :eek: tum socho leti ho aur aise koi achanak se paon pakar ke khecnhey lagey ke jaise kaheen le kar ja raha hon raat ka andhera ho aur hans raha ho woh then what shoul u do? :oops:[DOUBLEPOST=1347186507][/DOUBLEPOST]
huff batao naa slap1)}
abi mood ni ha
 
  • Like
Reactions: Zee Leo
Top