Polling For the Ghazal Competition Jume'2009

  • Work-from-home

Choose the best one

  • Choose the best one

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    1
  • Poll closed .

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May


Ghazal section walon kaysay ho aap sab???

umeed kartay hayn Allah k fazal se sab

sehatmand tandrusst hongay.

toh janaab Muqabla e Ghazal ki Polling

Aaj se shrow ki jaa rahi hay.


Rules

(1) Apnay aap ko Vote nahi dena (aysa karnay walay ko Muqablay mayn se kharij kar dia jayyega).

(2) Apni pasndeeda sharing ko vote dayn.

(3) Aur haan gupshup kar saktayn hayn


so enjoying reading and Voting too


so the sharings are:-


(1) posted by Different Person

Jo DIL ko Be-kal rakhta he, Woh Chand Nahein Ek CHERA he,
Jo Sham-o-Sehar Tarapta he, Woh Phool Aisa Lehja he.

Ek Aahat he, Har Raste Par, Ek Dard sa he, ManziL ManziL,
Kiya Janiye Qis Khoj mein He, Kiya Kahiye Kon AkaiLa He.

Jin Shakhon Par Kuch Phool Khiley they, Chahat ke 100 Rang liye,
En Shakhon Par Ab Kuch Bhi Nahein, Ek Shookha Patta Thehra He.

Kine he Vaadey Khuwab huwey, Kitnay he Bandhan Toot gaye,
Aye DiL, Aye DiL, Be-Taab Na ho, Yeh Duniya he Yeh Duniya he.

Lout Aye Jane Waley to Yeh Samgho DiL ki Jeet Hui,
Warna to Akaili Ra'hon par kab Lout k Koi Aata he,

Us Paikar Naz ko Kon Kahey, Ek Khuwab he Jaagti Aankhon ka,
Woh Aankhein kiya Kuch Kehti hein, Ab kon kahey Sab Dhoka He.


(2) posted by good frndz

mohabbatoN meiN bhi ka'ee madd-o-jazar deikhey heiN
saba ki dastak pe toot'tey huwey ghar deikhey heiN

meiN us ki sookhi hui aaNkhoN pe kya yaqeeN karta!
meiN ne thehrey huwey paani meiN bhaNwar deikhey heiN

pat'tey toot'tey heiN to shaakoN ko khooN rulaatey heiN
tum ne khizaaN meiN kabhi ghaor se shajar deikhey heiN!

kisi chaman ka mujhey koi nishaaN kaheeN na mila
haaN dasht ke saaey meiN ne ta'hadd-e-nazar deikhey heiN

meiN ne na thakney ka sabaq seekha hey parindoN se
wo jab miley heiN un ke paroN meiN safar deikhey heiN

nasha ho 'ishq' ka ya 'janm-o-janam' ke rishtoN ka
meiN ne dinoN meiN utartey ye asar deikhey heiN


(3) posted by azzanyaal

[FONT=&quot]Kisi Ki AankhOon May KhwaB LikhnA Tou Soch Lena
Falak Pay Koi Sahaab Likhna Tou Soch Lena


Hain Roshni Kay Tamam Rasty Bujhy Bujhy Say
MusaFtOon Ko SaraaaB Likhna Tou Soch Lena


Main PaniYoOn Kay HusaaR May Hun Gumaa’n JazEera
Gar Iski BaBat KitaaB Likhna Tou Soch Lena


Main Dust-e-Furqat May Jalay KhaeMoOn Ko Dekhti Hun
Jhulastay Sahra Ko Aab Likhna Tou Soch Lena


Mery MuQaDder Ki Dhalti ShaKhOon Say Poch Lena
Badalti RuTt Ka AzaaB Likhna Tou Soch Lena


KhaLoOs-o-Maher-o-Wafa Ki RahaIn KaRri Hain
MuhaBbaToOn Ka NiSaaB Likhna Tou Soch Lena[/FONT]


(4) posted by Kool~Nomi

Suna hoga bohat tum ne... kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne.... kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka
magar tum ne kabhi humdam...kahin daikhay kahin parkhay
kisi tehreer ke aansoo
mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hoN....woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hoN...woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main...mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain...meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta...mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil...usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam
meri tehreer ke aansoo ..



(5) posted by Zulqarnain

VERANIAN ACHI LGTI HAIN TANHAIYAN ACHI LGTI HAIN
MJKO GHAM-E-SANJOG KI KHAMOSHIYAN ACHI LGTI HAIN


FIZAON MAY URNA BADLON KO CHULAINA KHUABHI TO HY
TABIRAIN NA SAHI PR PANCHIYAN TO AZAD HI ACHI LGTI HAIN

BE RUSWAI KI RAVISH PR MOHABAT LAKH RUSWA SAHI
PHIR BHI GHAZLEIN TO MOHABAT KI ACHI LGTI HAIN

YOUN TO SAFAR TE HOTA HY ANDHERON MAY BHI
PR MANZIL KI TALASH MAY ROSHNIYAN ACHI LGTI HAIN

TM BIN JEENA MAHAL SAHI PR NA MUMKIN NAHI
K MJKO HIJR KI YE SHAMEIN BHI ACHI LGTI HAIN

BAT BAT PR TMHARA NAAM LENA OR PHIR SOCHNA
K TMSE JURRI TO YADIEN BHI ACHI LGTI HAIN

PAR JAE JB ZINDAGI PR UDASIYON KA QAHAT...................
TO KHUSHIYON KI MUSKURATI BARISHIEN ACHI LGTI HAIN

MAY YAHAN TU WAHAN YE KaiSA WAQT-E-ZINDAGI HY
MOHABAT MAY TO QAREEB QAREEB ZINDAGIYAN ACHI LGTI HAIN

DUNIYA DARI MAY IN AANKHO KO SANBHAL RKHNA
K MJKO YE MASOOM AANKHEN ACHI LGTI HAIN...


(6) posted by aishakarwa 123

dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'
dharkanon ko jaga deti hain ,'aankhen'
dil pe chalta nahi jaadoo ,chehron ka kabhi
dil ko to ,deewana bana deti hain, 'aankhen'

woh zubaan se izhaar nahi karte to na kare,
haal -e-dil suna deti hain, 'aankhen'
aata hai jab jawani ka daur ,to my love
sundar sapne ,basa deti hain ,'aankhen'
jab koi gum aata hai hum per,to b izhaar karti hain ,'aankhen
mana ke neend aati hai ,'aankhon ' me hi
magar kabhi kabhar ,neend ura deti hain ,'aankhen'
to dekha tumne mere yaar
khushi ho ya gum izhaar karti hain aankhen...............................


(7) posted by yasir 101

Mataa-e-Kausar o ZamZam k paimaane, teri aankhein
Farishton ko bana deti hain deewaane, teri aankhein


Jahaan-e-rang o bu uljha hua hai in k ddoron mein
Lagi hian kaakul-e-taqdeer suljhaane, teri aankhein


Ishaaron se dilon ko cheirr kar iqraar karti hain
Utthaati hain bahaar-e-nau k nazraane, teri aankhein


Wo deewaane zamaam-e-laala o gul thaam lete hain
Jinhein mansoob kar deti hain veeraane, teri aankhein


Shagoofon ko sharaaron ka machalta roop deti hain
Haqeeqat ko bana deti hain afsaane, teri aankhein


(8) posted by miss a.y. karwa

Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal
Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koyiiiiiii

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe Hum
Ye Aankhein Teri, Yaan Paimaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,
Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain Inmein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,
Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya Hume In Aankhon Ne Teri

Der raat jab kisi ki yaad sataaye…
thandi hava jab zulfon ko sahlaaye..
karlo aankhein band aur so jao..
kya pata jiske hai khayaal…
wo khwabon mein aa jaaye
 
  • Like
Reactions: Silent Girl
Top