Tafreehmela bethak

  • Work-from-home

HINATA

Newbie
Jun 26, 2009
11,843
2,832
0
daikhi jo meri nabz tu kuch lamha soch ker
kaghaz liya or ishq ka bemar likh dia
sadky q na jaon mai asy tabib per
nuskhy mai jo sharbat-e-dedar likh diya
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,

Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,
Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Na Rang Aankhon ka lal Rakhna


Na viRan viRan sa hal Rakhna

Jo chahtoon main likhay thay main nE

Wo lafz saREy sanbhal Rakhna
 

babar87

Newbie
Nov 12, 2009
126
69
0
36
daikhi jo meri nabz tu kuch lamha soch ker
kaghaz liya or ishq ka bemar likh dia
sadky q na jaon mai asy tabib per
nuskhy mai jo sharbat-e-dedar likh diya


---------- Post added at 08:59 AM ---------- Previous post was at 08:58 AM ----------

Na Rang Aankhon ka lal Rakhna


Na viRan viRan sa hal Rakhna

Jo chahtoon main likhay thay main nE

Wo lafz saREy sanbhal Rakhna


---------- Post added at 09:00 AM ---------- Previous post was at 08:59 AM ----------

Ye Risaalay ye kitaabein ye iLm ka souda...

iK shakhs ki yaadOn ko bhulaanay ke liye hay.

__________________
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye puchne ke liye aaya hu mein,
Ke kyu har raat ko mera dil rota hai...

 

HINATA

Newbie
Jun 26, 2009
11,843
2,832
0
ik shama bujhai kai or jala lain
hum gardish-e-douran sy bari chal chalain hain
 
Sep 1, 2009
3,166
601
0
Udaas Poor
Hum ghoom chukay basti ban main
aik aas ki phans liay man main
koi sajan ho , koi peyara ho
koi deepak ho , kopi tara ho
jab jeevan rat andheri ho

aik bar kaho tum meri ho

jab sawan badal chhaey hon
jab phagan phool khelaey hon
jab chanda roop lotata ho
jab sooraj dhoop nahata ho
ya sham nay basti gheri ho

aik bar kaho tum meri ho

haan dil ka daman phela ho
qun goori ka dil mela ho
hum kab tak peet k dhokay main
tum kab tak door jharokay main
kab deed say dil ko seri ho

aik bar kaho tum meri ho

kia ghagra sood khasaray ka
yeh kaj nahin banjarey ka
sab sona roopa ly jaey
sab dunya, dunya ly jaey
tum 1 mujhy behteri ho

aik bar kaho tum meri ho

(Ibne Insha)
 
  • Like
Reactions: SaRkaR

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
zindigee se dertey ho...?
zindigee to tum bhi ho..
zindigee to hum bhi hein.
admi se dertey ho?
aadmi to tum bhi ho.
aadmi to hum bhi hein...
admi zuban bhi hai..
aadmi beyan bhi hai....
uss se tum nahin dertey...???
herf aur maani ke rishta -hai- aahun se..
aadmi hai wabesta..
aadmi ke daamun se zidigee hai wabesta..
uss se tum nahin dertey...???
unkahi se dertey ho?
jo abhi nahin aayee uss gherhi se dertey ho?
uss gherhi ki aamed ki aagehi se dertey ho?
pehley bhi to guzrey hein..
dorr narsayee ke..
be-riya khudaiyee ke..
phir bhi ye samajhtey ho?
heych!arzoomundi.... ...
ye hai wo khuda wendi..
tum mager ye kiya jano...
lub ager nahin hiltey..
haath jaag uthtey hein..
haath jaag uthtey hein rah ka nishan bun ker..
haath bol uthtey hein..sobah ki azan bun ker...
tum mager ye kiya jaano?
roshni se dertey ho?
roshni to tum bhi ho..
roshni to hum bhi hein...
raat ka libaada bhi khak ho gaya akhir..
chaak ho gaya aakhir..
aadmi chuluk uthey..
aadmi husey dekho..
sheher phir busey dekho..
tum abhi se dertey ho?
haan abhi to tum bhi ho..
haan abhi to hum bhi hein..
tum abhi se dertey ho..........
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Tootey khwaboon ke kuch tukry tumhare naam laya hoON
Suno! Apni jaagti hui raaton ka ilzaam laya hoon

Daaman churaa lo mujhse tum, yaa ta'aluq tarq kar dalo ab
"Mujhe bhula nahi paao gii tum" mei yeh paighaam laya hoon

Tumhari hansi, tumhaarey lafz, tumhari saansein, tumharey raang
Dekho tumhari yaadein chun chun kar tamaam laya hoon

Merey seeney sey lag kar jab tum aansuon se rooyi thin
Uffaq pe doobti hui woh surmaayi shaam laya hoon

Apni Zindagi baaqi mere hissey mei likh do kaash!
Tumhaari wafa-o-mohabbat ka mounh mangtaa daam laya hoon

Khusbuoun mei lipat kar tum kaabhi to utroo merey paas
Aaj ek tohfaa-e-Ittar mein tumhaare naam laya hoon

Tumhein phoolon sa rakhoun ga, tumhein phoolon sa chahoun ga
Tumharey araam ki khatir apna sab araam laya hoon

Meeri baanhoun ke jeisa koi aur saath na paao gi
Faqat tumhaarey liye youn khud ko sarey-e-aam laya hoon

Kaho ey pagal larkii agar manzoor hai tum ko
Khumaar ban kar tumharey dil ka chalakta jaam laya hoon !!
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Kuch Is Tarah Se Usay Pyar Kerna Parta Hai
Ke Apne Pyar Se Inkaar Kerna Parta Hai

Kabhi Kabhi To Wo Itna Qareeb Hota Hai
Ke Apne Aap Ko Dewaar Kerna Parta Hai

Khuda Ne Usko Ataa Ki Hai Wo Maseehai
Ke Khud Ko Jaan Ke Bemaar Kerna Parta Hai

Wafa Ki Raah Main Dushwarian To Aati Hain
Wafa Ki Raah Ko Hamwaar Kerna Parta Hai

Wo Haath Rakh Ke Meray Dil Pe Jab Poochta Hai
To Mujh Ko Dard Se Inkaar Kerna Parta Hai
 
  • Like
Reactions: SaRkaR

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Dil Ko Tere Sukun De Wo Ghazal Kahan Se Laun
Bhul Ke Ghazal Apni Tere Ghazal Kaise Sajaun

Dil Mein Utar Jayein Woh Lafz Kahan Se Laun
Bhul Ke Kuch Yaadein Tere Yaad Kaise Dil Mein Basaun

Dil Tera Chura Le Woh Geet Kahan Se Laun
Chuu Le Jo Suron Ki Taal Woh Dhun Kaise Banaun

Dil Ka Dard Chura Le Woh Tasveer Kahan Se Laun
Kayi Tufanon Ko Ek Tasveer Mein Kaise Samaun

Tufanon Se Tumhe Bacha Le Woh Naav Kahan Se Laun
Behte Dariya Ke Rukh Ko Rok Kaise Tumhey Bulaun

Dilon Ko Jod De Woh Taar Kahan Se Laun
Tute Rishton Ke Dhagon Ko Kaise Sulghaun

Dil Ko Tere Sukun De Woh Ghazal Kahan Se Laun
Dard Apna Chupa Kaise Tere Dard Ko Apna Banaun

Dil Ko Tere Sukun De Woh Ghazal Kahan Se Laun
Bhul Ke Ghazal Apni Tere Ghazal Kaise Sajaun..
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Bin tery dil lagta nahi tum aa jayo na
Kuch bhi jajta nahi tum aa jayo na

Bohat koshish ki khud ko sajany ki
Tanha kuch sajta nahi tum aa jayo na

Baharin guzrin kih aa gai khazan
Dil ka mosam badalta nahi tum a jayo na

Ab peron sy sabh i patt y bhi jhar gye
Kih phool koi khilta nahi tum aa jayo na

Dunia mein rishton ki kami nahi koi
Tery jaisa koi milta nahi tum aa jayo na

Dil ki awaaz sunayon to aakhir kisy
Kafiyat koi samjhta nahi tum aa jayo na

intazar karty kih rat kat t i hi nahi
Din hai kih nikalta nahi tum aa jayo na

Muntazir hai ALI kih kab loto gy tum
Kih dil ab sanbhalta nahi tum a jayo na
 
Top