Tm debate contest 2011/12 round 2

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam doston sub se pehle mein qabil e tareef dost ML bhai ke post ka jawab dena chahunga

unhone kaha ke lectures ko student mob se rocord karte hain phir baad mein unhein sun ker usse faaiyda
utha sakte hain sum thing like that..... to mein mohtaram se poochhna chahunga ke kya mobile mein hi
recorder dastiyab hai?

inka eik aur nuqta ke colleges mein students ki tadaad zyada hoti hai is hi liye wahan yeh policy nahin chal
sakti khair school tak BS ki team maan gaiy ke wahan bina mob guzara ho sakta hai aur inse mujhe poochhna hai
ke janaab emergency ka college ke kitne feesad students ko eik saath saamna hoga?

iske baad inhone kaha ke mobiles mein aise activitiez hoti hain ya ab ho rahi hain jo parhaiy ki taraf intrust barhati hain

hongein leikin mp3 mp4 aur aur aise bohot saari cheezein us parhaiy ke intrust se pehli aati hain aur students jo inko
responsible wale lagte hain auri tne mature ke khud samjhein ke mobs ka kyaisa istemaal karna hai students ko pata hai
to kya woh teachers aur woh staff ko nahin pata hota jo woh saare students ko mobiles off rakhne ka kaha karte hain
aur agar youn hai to qabil student ko sirf lecture ke time hi entry karne dein ke woh mature hai itna ke samajh sakta hai sub
ke use kab aana chahiye college dunya bhar mein mobile ki wajah se taleem ki taraf aane wale kitne students hongein?
per parhaiy ki raah se hatne walon ke charche aur proofs youtube tak hain woh bhi har mulk ke students ke

rahi baat mere baat ke mazaq lagne ki thankyou

Faari sis calls ke liye lambi line bhala kyun lagne lagi?
aur emergency call walon ko kya pehle call karne ka
nahin diya ja sakta?

aur eik minute yeh pco wali baat out of college pe ki thi mene
jab student college se bahir aa jata hai tab ke baare mein
Hoor sis ki baat ka jawab diya tha college ke inside eik se
do telephones wale rooms availabl hone chahiyen thats it

ab agar koi part time job kar raha hai, aur late bhi
ho jaye ooper se pco bhi band ho??? to mobile
bhi uska kaam karna chhorh de bhale hi uske paas
hai to?

aur ab Hoor sis ko jawab dena chahunga jinhein meri
post eik drama script ki tarah lagi aur unhein laga ke
mene happy neding ki baat ki to mene aisa kuch
nahi kaha mene bhi real life ke mutaliq hi baat ki aur
yeh bhi kaha ke bila wajeh points nikal ke mobiles ko
zaroorat sabit karne ki koshish ki jaa rahi hai jaise ke
banda part time job kar raha hai late bhi ho jaye
phir college ke bhi baahir ho aur phir pcos bhi band hon
to uska mobile bhi bnad ho jaaye to ????

aaj ki tareekh mein Pakistan ke andar hi sister students ne
apne colleges mein kya kya karwa ke dikhaya telephone lagwana
koi badi baat nahin aur agar amal karna start ho jaaye to chief justice
ki jaanib se order aa jaye koi strong action liya jaaye to zahir si baat
hai ke telephones ka intezam kar diya jaayega

mene to ghour kiya shayad aap ne meri poori post hi nahin parhi aapke
room band hone ki baat ke jawab pe mene likha tha ke jab cell phones
ka istemaal students band kar dengein to to staff ki majaal hi nahin hogi
ke ke students ki moujoodgi mein band kiya jaaye telephones room tab ke liye
koi female bhi rakh sakte hain us telephone room ke bahir yaa phir woh sutdent
jo aetbaar ke laayaq ho aur agar kisi jagah bomb blast ka waqiya peish aa jaye
to faqat us jageh pe moujood lougon ko call karke itlah ki zaroorat nahin hogi
poora ilaqa blast ko sun lega aur mob ko non allow college mein hona chahiye
poore ilaqe mein nahin

chalein agar das qadam per nahin to har 5 mins ke walk se pehle eik pco aa jata hai
aur agar baat ko younhi liya ja raha hai to un lougon ke paas wale mobile ko bhi
problem ho sakti hai charge khatam ho sakta hai balance khatam ho sakti hai phone
hang ho sakta hai to unhein card recharge karne wala apna boss apna charger
yaa phir od teen batteriez ke saath ghoomna chahiye ????

mujhe to kuch comments hansi mazaq se zyada kuch nahin lag rahe

CNG bnad hone se eik raat pehle announcement ho jaati hai

baaqi strike wale din to colleges band hi rehte hain aksar auqaat phir
bhi in cas aap lougon ke kahe huwe tamaam nuqton ko liya jaaye

woh studnet college se bahir nikalne ke baad kisi bhi bande se do minute ke
liye mob maang sakta hai aur araam se baat kar skata hai
is line ke saath ke i am studnet aur aap ko to pata hi hai ke colleges mein
phone allow nahin hai

kis tarah mobile ko zaroorat bana ke peish kiya ja raha hai baat to samajh ke hadh se baahir hai

mobs zaroorat nahin shouq o khwahish mein shumaar hone wali cheez hai tab bhi students the
colleges thin aur haadse bhi peish aate the jab mobs nahin the

Thats it...

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
hum hooria ki chand ahem nuqat per baat kerna chahein ge, 1st of all hamare khayal mien jo hooria happy ending wali baat kerrahi hein k ye sirf films mein possible hei mager you have to say that films ko chor ager hum apen deen islam ko apnai to us mien full yakeen se koi kaam anjam diya jai to happy ending ho jati hei,
2nd aap ne kaha k ye pakistan hei europe nahi to mein aap ko bata doon, k pakistan bhale europe na ho but is ki ahmiyat europe se ghat nahi i mean pakistan bhi ab advance country hei aur yahan bhi pooch taach ho sakti hie ager thora sa zor laya jai.
1 aur baat keh doon k ager ferz karein k badkismati se office mein phone na ho to bohot argent kam ki soorat mein aap k professors k paas bhi cell phones hein aap ki majboori ko wo samajh sakte hien or aap ka kaam zaroor hoga.
well sis First I'll Like to Clear my Point of view regarding "Happy Ending" well sometimes kise baat ko Describe kernay yah apna Msg dosEron tak Convey kernay k liye hum Exmaples ki zurorat parti hay Jo humari baat ko Clear ker deti hain sO That was Jus an Example Jisay aap nay dOsera rukh day ker baat Deen-e-Islam ki terf lay aaen..! well Topic se hat ker baat ho gie Mazrat se kehti hon aap ki baat Bilkul bhi topic se related nahi..! main nay reality aur story k dermain differnce ko clear kia aur us k bad Jo main nay likha shyed aap nay usay Ignor ker dia hay Otherwise aap mera baat kernay ka Purpose samjh jatain...! anyways...! Come to the pOint..!

I m Pakistani n also Lives in Pakistan..! sO being a Pakistani meray mulk main aur meri surrondings main kia ho raha hay us ka 100% tu nahi Laken 80% tak tu andaza mujhay bhi hay. Main phir reality ki hi baat keron ge as I said alreday in my prEvious reply..! Main nay pichlay reply main CNG, Terrorism aur students ki problems se related jO baatain ki kia woh Pakistan main nahi ho raha..! ager nahi ho raha tu aap ko haq hay k aap mujh se Ikhtlaaf keran..! aur aap nay khud hi keh dia "yahan bhi Advancements ho rahe hain aur poch taach ho sakti hay ager thora sa zor dia jaye tu". baat tu yaheen pe akay bigar jati hay k rules bantay hain Laken Implement nahi hotay so mera kehnay ka muqsad bhi yahe tha.

Professor ka cell phone college yah university ki had tak kaam asakta hay..! In Case ager aap ko aak hi call krni hay..! Ager student rastay main khawaar ho raha hay, road pe khara time waste ker raha hay, exam se late ho raha hay, Job holder student Job se late ho raha hay, strike ki waja se phans gya hay yah phir khuda nakhwasta road accident main zakhmi ho gya hay, Traffic Jam main hay yah phir Gari kharab ho gie hay tu kia woh aak professor apnay sath hire keray ga us ka cell phone use kernay k liye..? Obviously NO.
 
sweet maha

Newbie
Dec 12, 2011
146
79
0
29
well sis First I'll Like to Clear my Point of view regarding "Happy Ending" well sometimes kise baat ko Describe kernay yah apna Msg dosEron tak Convey kernay k liye hum Exmaples ki zurorat parti hay Jo humari baat ko Clear ker deti hain sO That was Jus an Example Jisay aap nay dOsera rukh day ker baat Deen-e-Islam ki terf lay aaen..! well Topic se hat ker baat ho gie Mazrat se kehti hon aap ki baat Bilkul bhi topic se related nahi..! main nay reality aur story k dermain differnce ko clear kia aur us k bad Jo main nay likha shyed aap nay usay Ignor ker dia hay Otherwise aap mera baat kernay ka Purpose samjh jatain...! anyways...! Come to the pOint..!I m Pakistani n also Lives in Pakistan..! sO being a Pakistani meray mulk main aur meri surrondings main kia ho raha hay us ka 100% tu nahi Laken 80% tak tu andaza mujhay bhi hay. Main phir reality ki hi baat keron ge as I said alreday in my prEvious reply..! Main nay pichlay reply main CNG, Terrorism aur students ki problems se related jO baatain ki kia woh Pakistan main nahi ho raha..! ager nahi ho raha tu aap ko haq hay k aap mujh se Ikhtlaaf keran..! aur aap nay khud hi keh dia "yahan bhi Advancements ho rahe hain aur poch taach ho sakti hay ager thora sa zor dia jaye tu". baat tu yaheen pe akay bigar jati hay k rules bantay hain Laken Implement nahi hotay so mera kehnay ka muqsad bhi yahe tha.Professor ka cell phone college yah university ki had tak kaam asakta hay..! In Case ager aap ko aak hi call krni hay..! Ager student rastay main khawaar ho raha hay, road pe khara time waste ker raha hay, exam se late ho raha hay, Job holder student Job se late ho raha hay, strike ki waja se phans gya hay yah phir khuda nakhwasta road accident main zakhmi ho gya hay, Traffic Jam main hay yah phir Gari kharab ho gie hay tu kia woh aak professor apnay sath hire keray ga us ka cell phone use kernay k liye..? Obviously NO.
Well very nice replies by hooria sis i like it.hum apne alfaz mein ye kehna chahein ge k sis, ye to aap ne keh diya k traffic hadsa pesh aajai to professor hire nahi ker sakte, to janab 1 aur cheez mein explain ker doon k aap ki team k kafi members ne kaha k professor or principal school ya collage university mein sakhti kerte hein aur ager koi class k doran ye bahir be fazool cell phone use kare to use punish kiya jata hei, but ager aap dekhein to bazahir aise rules bane hein mager is per koi amal nahi kiya jata, jese hooria sis ne kaha k pakistan mein baatain to ki jaati hein but us per amal koi nahi kerta, saare rules naam k rules hien, isi terhan bohot se lerke aur lerkiyan univesity aur collage sirf isi liye jate hein k wo wahan apne lover's se g bher baat karein, aur badkismati se un k khayal mein collage & university sab se saif place hoti hie, aur wo is safe place ka najayaz faida uthate hien apne maa baap ko dhoka dete hein, un ki aankhon mein dhool jhonkne ki koshish kerte hein, principel to apne dafter mein betha hota hie, aur ager ferz karein k principal koi nigran bhi rakh le to wo aasani se 50 rupe mein bik jata hie, and professors to class tak se wakif hote hien, un ko kya pata k grounds aur extra places mein kya ho raha hei?
 
Ummm Its ur Greatness sis That yOu Like my views..! thx.

well sis Aap nay aur aap ki team k kuch aur replies main yah baat pahlay bhi ki ge the k Bohat se Girls n Boys College/University sirf is liye Jatya hain k woh apnay affairs chala sakain yah phir apnay Lovers se mill sakain..! tu main nay is baat ko bhi apnay aak shuro k reply main Explain kia tha k Jab aak student college/uni level pe chala Jata hay tu woh wahan numerous logo se communicate kerta hay face to Face "Not through cell phone or any other source" Jab 2 Insan aak Jagha beithay baat ker rahay hain In reality phir un main ghalt Qism ki dosti yah pyar etc jaise koi cheez ho Jati hay tu aap batain yahan cell phone ka kia kasoor hua..? un ka na tu wrong no mila na text chat hue na kise k cell no lay ker baat hue. unhon nay Face to Face aak dosery se communicate kia ak relation banaia. sO Jus cell phone hi aise Nuqsaanat ka zimadar nahi. aap un Factors ko bhi mind main rakhain.

In Other case ager aisa cell phone k use Kernay ki waja se bhi hota hay tu aap Is Category main tamam students ko shamil nahi ker saktay. cuz her koi yah aim lay ker uni nahi Jata na her kise ki tarbiat aise hote hay. Yah apni apni soch ki baat hay k aap kis mahool main dhalna aur kis rang main rangna chahtay hain..! Her Insan apna mahOol apny sath lay ker aata hay. ager sab students yah aim lay ker hi aaen k apnay lover se milnay ja rahay hain tu I think phir Educational Institutes ko band ker dena chahiye. Bohat se students k pass cell phone hota hay laken woh usay apni pocket yah bag se ussi waqt nikaltay hain Jab un ki koi call aaye yah unhain kerni ho baqi dhyan woh apni studuy ko detay hain. Teachers ki na Farmani bhi wahi students kertay hain Jo apni study k sath sinecre nahi hotay Jab k woh students Jo perhna chahtay hain Jin ki periority study hay wOh rules k khilaaf nahi jatay. Chahay teacher samnay ho yah phir office main beithay hon. sO Humain tasveer k dono rukh samnay rakhnay chahian aur Jo rukh sahi hay us ko appreciate kerna chahiye.
 
mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Wa'alaikum assalam doston sub se pehle mein qabil e tareef dost ML bhai ke post ka jawab dena chahunga

unhone kaha ke lectures ko student mob se rocord karte hain phir baad mein unhein sun ker usse faaiyda
utha sakte hain sum thing like that..... to mein mohtaram se poochhna chahunga ke kya mobile mein hi
recorder dastiyab hai?

inka eik aur nuqta ke colleges mein students ki tadaad zyada hoti hai is hi liye wahan yeh policy nahin chal
sakti khair school tak BS ki team maan gaiy ke wahan bina mob guzara ho sakta hai aur inse mujhe poochhna hai
ke janaab emergency ka college ke kitne feesad students ko eik saath saamna hoga?

iske baad inhone kaha ke mobiles mein aise activitiez hoti hain ya ab ho rahi hain jo parhaiy ki taraf intrust barhati hain

hongein leikin mp3 mp4 aur aur aise bohot saari cheezein us parhaiy ke intrust se pehli aati hain aur students jo inko
responsible wale lagte hain auri tne mature ke khud samjhein ke mobs ka kyaisa istemaal karna hai students ko pata hai
to kya woh teachers aur woh staff ko nahin pata hota jo woh saare students ko mobiles off rakhne ka kaha karte hain
aur agar youn hai to qabil student ko sirf lecture ke time hi entry karne dein ke woh mature hai itna ke samajh sakta hai sub
ke use kab aana chahiye college dunya bhar mein mobile ki wajah se taleem ki taraf aane wale kitne students hongein?
per parhaiy ki raah se hatne walon ke charche aur proofs youtube tak hain woh bhi har mulk ke students ke

rahi baat mere baat ke mazaq lagne ki thankyou

Faari sis calls ke liye lambi line bhala kyun lagne lagi?
aur emergency call walon ko kya pehle call karne ka
nahin diya ja sakta?

aur eik minute yeh pco wali baat out of college pe ki thi mene
jab student college se bahir aa jata hai tab ke baare mein
Hoor sis ki baat ka jawab diya tha college ke inside eik se
do telephones wale rooms availabl hone chahiyen thats it

ab agar koi part time job kar raha hai, aur late bhi
ho jaye ooper se pco bhi band ho??? to mobile
bhi uska kaam karna chhorh de bhale hi uske paas
hai to?

aur ab Hoor sis ko jawab dena chahunga jinhein meri
post eik drama script ki tarah lagi aur unhein laga ke
mene happy neding ki baat ki to mene aisa kuch
nahi kaha mene bhi real life ke mutaliq hi baat ki aur
yeh bhi kaha ke bila wajeh points nikal ke mobiles ko
zaroorat sabit karne ki koshish ki jaa rahi hai jaise ke
banda part time job kar raha hai late bhi ho jaye
phir college ke bhi baahir ho aur phir pcos bhi band hon
to uska mobile bhi bnad ho jaaye to ????

aaj ki tareekh mein Pakistan ke andar hi sister students ne
apne colleges mein kya kya karwa ke dikhaya telephone lagwana
koi badi baat nahin aur agar amal karna start ho jaaye to chief justice
ki jaanib se order aa jaye koi strong action liya jaaye to zahir si baat
hai ke telephones ka intezam kar diya jaayega

mene to ghour kiya shayad aap ne meri poori post hi nahin parhi aapke
room band hone ki baat ke jawab pe mene likha tha ke jab cell phones
ka istemaal students band kar dengein to to staff ki majaal hi nahin hogi
ke ke students ki moujoodgi mein band kiya jaaye telephones room tab ke liye
koi female bhi rakh sakte hain us telephone room ke bahir yaa phir woh sutdent
jo aetbaar ke laayaq ho aur agar kisi jagah bomb blast ka waqiya peish aa jaye
to faqat us jageh pe moujood lougon ko call karke itlah ki zaroorat nahin hogi
poora ilaqa blast ko sun lega aur mob ko non allow college mein hona chahiye
poore ilaqe mein nahin

chalein agar das qadam per nahin to har 5 mins ke walk se pehle eik pco aa jata hai
aur agar baat ko younhi liya ja raha hai to un lougon ke paas wale mobile ko bhi
problem ho sakti hai charge khatam ho sakta hai balance khatam ho sakti hai phone
hang ho sakta hai to unhein card recharge karne wala apna boss apna charger
yaa phir od teen batteriez ke saath ghoomna chahiye ????

mujhe to kuch comments hansi mazaq se zyada kuch nahin lag rahe

CNG bnad hone se eik raat pehle announcement ho jaati hai

baaqi strike wale din to colleges band hi rehte hain aksar auqaat phir
bhi in cas aap lougon ke kahe huwe tamaam nuqton ko liya jaaye

woh studnet college se bahir nikalne ke baad kisi bhi bande se do minute ke
liye mob maang sakta hai aur araam se baat kar skata hai
is line ke saath ke i am studnet aur aap ko to pata hi hai ke colleges mein
phone allow nahin hai

kis tarah mobile ko zaroorat bana ke peish kiya ja raha hai baat to samajh ke hadh se baahir hai

mobs zaroorat nahin shouq o khwahish mein shumaar hone wali cheez hai tab bhi students the
colleges thin aur haadse bhi peish aate the jab mobs nahin the

Thats it...

{(thx)}
.http://www.cellphonesinlearning.com/

....
http://mlearningworld.blogspot.com/2010/07/from-toy-to-tool-cell-phones-in.html

...
http://www.pontydysgu.org/2010/11/research-on-mobile-learning/
..
http://www.education.com/magazine/article/cell_phone_learning/

sweet maha

Newbie
Dec 12, 2011
146
79
0
29
Well hum aik aur point wazih kerna chahein ge k akser Students school's mien mobile isi liye ke ker jate hein k wo apne teacher's ko impress ker sakein, aur bohot bar aisa huwa hie, 1 time government schools mein lerke aur lerkiyan expensive mobiles la ker apne teacher's ko bhi dikhate the, mere relatives mein mere 1 rishtedar ne mujhe bataya k school mein lerke mobile le ker aate hien aur wo apne expensive mobile teacher ko dikhate hien aur teacher bhi un se poochne lag jata hie k kitne ka liya, aaj kal is ka kya rate hei, aur hamari perhai waheen per reh jati hei, teacher class mein us lerke ko zyada ahmiyat deta hei jo k apne pas mobile rakhta ho, kyun k ager teacher ko koi zaroori baat kerna ho to lalach ki wajah se students se jhoot bol ker mobile mangta hei k zara thori der k liye dena unrgent baat kerni hei.
Aur doosri baat ye k collages mien mobile phone k zerye se cheeting bohot aasan ho gai hei, yahan m.c quiz section wala paper out hota hei aur wahan lerko ko dhara dher mobile per sms k zerye se saare sawalat k sahi jawab wale option mil jate hein.
Ab aap kahein ge k examinar ko chahiye k wo sakhti kare but aap khud hi batain pakistan mein aisa ho hi nahi sakta, ya to examinar 4 peson k liye bik jai ga, ya to taaluq ki wajah se kuch nahi kahe ga. thats it.
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIEKUM
DOSTO topic ko agye barhte hain..mere qabil dost tayab ne kafi achi daleel di hy ab kuch hmari b sun len..ehem ehem{(thx)}
ye sach hy k aaj kal ke dour me mobile phone ka sbse ziyada use horha hy ..itna k log ab land line ko dekhte b nahi..
well manti hoon technology ne kafi taraki kerli hy,,,with this hm insan b technology se itne connected hogye hian k hmen ye tak yaad nahi raha k pichle zamane me log yahn tak kese barhe..aaj hamra mulk js makam per hy ..baz o kaat logon ki farmaishen technology se jurti ja rahi hian jesa k mobile phones,,aur es khuwahish me sabse aagye hain hmare nojwan,school collages uni k students,,,janab student life life a aik ehem dour hota hy agr students apne carrer se bekhabr en chezon me lage rahnge to apni study ko dekhnge kab..mana k zaarurat ejad ki maa hy,,bilkul durust kaha..magr sirf mobile phone kun?landlines hain teligrams hain,,js se door door tak rabta akha ja skta hy,,aap ye to mantey ho k agr aik baar kisi cheez me dil lag gya to phr us se dil uthana bht mushkil hy..jesa k mobilephone..aik bar chat kerliye phr to bas lagey rahe mobile per,,lots of cards,easy loads ke khrache alag se,,aur dosra students study per concentrataions nahi ker payenge..jab ke schoolon collges wagera me land line ki facilities hti hy ,,js k through her student apne ghar emergnecy me inform kerskta hy,,but mibile phone ka estimal her student ko aadi bandeta hy ,,aik bar use kerliya phr bar bar dil karega use kerne ko jo k achi baat nahi,,aur phr ajakl mms jese examples b horhe hain..well mobile phone se connected aiese bh si cheezen pesh askti hian jn se mahool ke kharaba hone ka andesha b hoskra hy.....

thanxxxx
 
faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
good maha .and asma but we dont agree with u jese k ap ne kaha k baat krne k liye telegram hein aur telephone hein lkn dekhein agr hume kisi door relative ko kisi ki engagement pr invite krna ho koi good news deni ho tu kya telegram krein..... letter ko tu puhanchty puhanchy hafta lag jata hai kabhi friday ki chutti kabhi sunday ki chutii kabhi post man ki strike ab jb letter milly tab taak chahiye engagement ho bi chuki ho ya koi aur eham baat jo batana zaroori ho letter tab milly jab kuch ka kuch ho gya ho hum telegram tb use krty thy jb mob jesi ejad nae thi aur zahir hai majboori ka naam shukriya hai lkn us waqt bi loog apne kaam se 1 mahena pehly letter post kr dete thy ta k waqt pr mill saky lkn aj kl hr cheez fast hai duniya taraki kr rahi hai hum abhi bi letter pr phansy rahe gy kya text msg hai ap wo kr sakty ho 1 second me ap ka pigam ap ke friends k pass deliver ho jata hai rahi baat telephone ki tu miss actually kuch loog ye samjhty hein k telephone ki zaroorat nae kiyun k agr ghar k 2 fard k pass mobile ho ga tu wo hi un ko sab facilities de de ga tu wo land line ko itna zaroori nae samjhy gy aur esa hota bi hai k aj kl ziyada tar mobile hi tamaam zarooriyaat puri kr raha hai thanXxxxx
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam

mein sub se pehle Taiyab bhai ke post ka reply dena sahi samjhoonga kyunke wahan bohot si ghalat fehmiyan thin

mohtaram hum ne aapke reply ko poori tarah hi parha tha per sum thin like that kehne
ki wajah yeh thi ke aapka poora poora post to nahi nchaapna tha naa to kuch alfaaz likh ker kehna para
ke sum thing like that short words mein aap ke baat ko kehne ki koshish karne ke baad aur ab topic pe aate
hain

ab bachi baat record karke karne ki lectures ko aur phir unhein net pe dene ki aur computer colleges ki baat to
ke video recording audio recording ke saath saath phir net ki baat..........
to janaab yehi hum keh rahe hain ke is tarah hi mobile ko bila wajeh zaroorat banaya ja raha hai
lecture ke waqt record karke lecture ko baad mein PC net se share nahin kiya ja sakta ya ghar aa ker
apne mobile net se share nahin kiya ja sakta???

at the time zaroori hai yahan lecture suna aur wahan net ki zaroorat start ho gaiy
its not like that students pehle araam se record karke baad mein use share kar skate hain
aur agar mobile colleges mein laana band ho jaaye to aapki wali baat zaroorat eijaad ki maa hai
aise bhi recorders aa jayengein jin me net ho......

aur mere paas mobile hone wali baat ka reply mein nahin de sakta woh personal pe aa jata hai
plus aap ne eik aur baat koi bhi ghalat samjha mene yeh nahin kaha ke ke BS ki team kisi
baat ko cover nahin kar paa rahi aap hi ke group ke memberaan ne arz kiya ke school ke sirf
functions mein aur colleges mein routine timing mein bhi mobiles use karne diiy jaaye

aur yeh bhi kaha ke ji haan schools mein bachon ke liye phones ka intezam bhi ho sakta hai
per collegs mein nahin in jumlon ke binah per woh baat ki gaiy thi humari taraf se

samajh se baahir ki baat hai ke halke se mobile se milne wale faiyde ke liye hum use school
collegs mein le jaayen aur students ki parhaiy kharab karne ke saath saath be hayaiy barhne
mein apna haath shamil karwayen

rahi baat aapke diye huwe links ki to unhein nahin dekhna aap ne jo bhi kehna hai yeheen
pe keh dein links aap ne diye to aap hi un pe baat karein mein kyun aapke links do dekh ke
aankhein khol ke mehnat se parh ker baat karoon.???

rahi baat research ke results ki ya mobile ke education mein istemaal hone ke faaiyde ke baare
mein research dikhane ki to kahiye janaab kitne links chahiyen aapko iske ke mobile ka
ghalat istemaal hota hai colleges mein.???

hum 80-90 percent nuqsanaat ke aage 10 percent achhaiy ko dekh kar ghalti hi kar rahe hain

aur rahi baat Faari sis ke post ki to woh unki post sirf telegram aur telephone se mobile ko behetter
sabit karti hai jo humara topic nahin so sorry woh post reply jaisi nahin

hum agar is tarah har naiy technology ko zaroorat ka naam dengein to haqeeqi zarooriyat ko bhool
bethengein aur sirf aur sirf technologiez ke peechhe parengein

college jaane ke liye bag books aur pens wagheira hi kaafi hain eik achhe aur hunermand student ke liye
aur jise bahane karne hain uske ghar mein bhi college ho phir bhi use problem hogi jaise

eik mashhoor qoul hai

kuch karna ho to loug angaaron pe bhi chal jaate hain
kuch na karna ho to phoolon pe bhi kahan chal paate hain

thats it
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Well hum aik aur point wazih kerna chahein ge k akser Students school's mien mobile isi liye ke ker jate hein k wo apne teacher's ko impress ker sakein, aur bohot bar aisa huwa hie, 1 time government schools mein lerke aur lerkiyan expensive mobiles la ker apne teacher's ko bhi dikhate the, mere relatives mein mere 1 rishtedar ne mujhe bataya k school mein lerke mobile le ker aate hien aur wo apne expensive mobile teacher ko dikhate hien aur teacher bhi un se poochne lag jata hie k kitne ka liya, aaj kal is ka kya rate hei, aur hamari perhai waheen per reh jati hei, teacher class mein us lerke ko zyada ahmiyat deta hei jo k apne pas mobile rakhta ho, kyun k ager teacher ko koi zaroori baat kerna ho to lalach ki wajah se students se jhoot bol ker mobile mangta hei k zara thori der k liye dena unrgent baat kerni hei.
Aur doosri baat ye k collages mien mobile phone k zerye se cheeting bohot aasan ho gai hei, yahan m.c quiz section wala paper out hota hei aur wahan lerko ko dhara dher mobile per sms k zerye se saare sawalat k sahi jawab wale option mil jate hein.
Ab aap kahein ge k examinar ko chahiye k wo sakhti kare but aap khud hi batain pakistan mein aisa ho hi nahi sakta, ya to examinar 4 peson k liye bik jai ga, ya to taaluq ki wajah se kuch nahi kahe ga. thats it.
well sis aak terf tu aap ki team yah kehti hay k teachers Mobiles ko students k liye harmful samjhtay hain so issi liye woh is cheez ko allow nahi kertay aur abhe aap keh rahe hain k Teachers students k Expensive mobiles se Imperss hotay hain aur khud bhi students se lay ker use kertay hain..! Kia yah Khula tizaad nahi...? lolzzz

Beside Joke..! Cheating ki baat ka reply already meri terf se dia gya tha..! Cuz Jab cell phone Educational institutes main allow nahi thay Cheating tab bhi aam the..! Cheating k liye bohat se sources use hotay hai Not Mobile..! ager wahan sakhti ho ge tu Chahay woh mobile ho yah any other source koi bhi cheating ki jurat nahi kerta aur kernay walay pakeray bhi Jatay hain aur Jahan dheel ho wahan Cheating samnay books khol k aur paper sheets exchange ker k bhi ho Jati hay so Cell phone ko source of cheating kehna na insaafi hay..!
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
ASSALAM WALIEKUM
DOSTO topic ko agye barhte hain..mere qabil dost tayab ne kafi achi daleel di hy ab kuch hmari b sun len..ehem ehem{(thx)}
ye sach hy k aaj kal ke dour me mobile phone ka sbse ziyada use horha hy ..itna k log ab land line ko dekhte b nahi..
well manti hoon technology ne kafi taraki kerli hy,,,with this hm insan b technology se itne connected hogye hian k hmen ye tak yaad nahi raha k pichle zamane me log yahn tak kese barhe..aaj hamra mulk js makam per hy ..baz o kaat logon ki farmaishen technology se jurti ja rahi hian jesa k mobile phones,,aur es khuwahish me sabse aagye hain hmare nojwan,school collages uni k students,,,janab student life life a aik ehem dour hota hy agr students apne carrer se bekhabr en chezon me lage rahnge to apni study ko dekhnge kab..mana k zaarurat ejad ki maa hy,,bilkul durust kaha..magr sirf mobile phone kun?landlines hain teligrams hain,,js se door door tak rabta akha ja skta hy,,aap ye to mantey ho k agr aik baar kisi cheez me dil lag gya to phr us se dil uthana bht mushkil hy..jesa k mobilephone..aik bar chat kerliye phr to bas lagey rahe mobile per,,lots of cards,easy loads ke khrache alag se,,aur dosra students study per concentrataions nahi ker payenge..jab ke schoolon collges wagera me land line ki facilities hti hy ,,js k through her student apne ghar emergnecy me inform kerskta hy,,but mibile phone ka estimal her student ko aadi bandeta hy ,,aik bar use kerliya phr bar bar dil karega use kerne ko jo k achi baat nahi,,aur phr ajakl mms jese examples b horhe hain..well mobile phone se connected aiese bh si cheezen pesh askti hian jn se mahool ke kharaba hone ka andesha b hoskra hy.....

thanxxxx
Asma sis aap k Points pe Faari nay already reply kia hay Laken yah main kehna chahon ge k Technology k bharty hua Istymal issi liye hay k yah ab Insan ki basic needs main shamil ho chuka hay..! aap Jis dor ki baat ker rahe hain Jis main latters yah telegram etc use hotay hain communication k liye us dor main logo ki needs aur Life style waisa tha so un ka guzara ho gya..! Laken aaj logo nay apna life style aisa bana lia hay k woh in k bina guzara nahi ker saktay..!

Us zamnay main computer nahi tha Laken aaj hay..! aaj yah na sirf Educational Institutes main balkay zindagi k tamam fileds main basic requirement hay..! Jab bhi koi vacancy aaye us k sath yah cheez lazmi hote hay k "Must be Computer literate". Ab hum yah tu nahi keh saktay k purany zamnay main computer nahi tha so tab bhi log job kertay thay..! well baat waheen aajati hay k her dor ki apni needs hote hain aaj ka dor bohat fast hay so is ki requirements bhi aise hain..! aur cell phone bhi un main se aak hay.

Cell phone main BOhat se students apna data save kertay hain. apnay leactures k Important points Jo un k handouts bananay main kaam atay hain..! woh students Jo hostels main rehtay han aur jin k pass computer nahi yah phir computer pe Internet ki facility nahi woh Mobile pe Internet use ker k apna kaam chala saktay hain cuz aaj study main Internet is Essential..! apnay ghar walon se communicate kerna as i said already..! aur cell phone se un k pass yah facility hote hay k woh kabhe bhi Free Time main apnay ghar walon se communicate ker sakain..! Is se un ki Privacy bhi disturb nahi hote. so cell phone students k liye aak helper hay woh us se bohat se benefits hasil kertay hain..!
 
sweet maha

Newbie
Dec 12, 2011
146
79
0
29

well sis aak terf tu aap ki team yah kehti hay k teachers Mobiles ko students k liye harmful samjhtay hain so issi liye woh is cheez ko allow nahi kertay aur abhe aap keh rahe hain k Teachers students k Expensive mobiles se Imperss hotay hain aur khud bhi students se lay ker use kertay hain..! Kia yah Khula tizaad nahi...? lolzzz

Beside Joke..! Cheating ki baat ka reply already meri terf se dia gya tha..! Cuz Jab cell phone Educational institutes main allow nahi thay Cheating tab bhi aam the..! Cheating k liye bohat se sources use hotay hai Not Mobile..! ager wahan sakhti ho ge tu Chahay woh mobile ho yah any other source koi bhi cheating ki jurat nahi kerta aur kernay walay pakeray bhi Jatay hain aur Jahan dheel ho wahan Cheating samnay books khol k aur paper sheets exchange ker k bhi ho Jati hay so Cell phone ko source of cheating kehna na insaafi hay..!
Hooria aap ki baat se hum ikhtelaf karein ge wo aise k aap kehti hein k mob, ko sources banana theek nahi, to mein keh doon k mc quiz k jo answer jitni aasani se mob, per send hote hien aur hal hote hein wo koi nahi ker sakta, ager hall sakht ho bhi to mobile se nakal aasan hei, sakht hall mein aap ko bahir se koi bhi shakhs nakal waghera la ker nahi de sakta, aisa kerna bohot mushkil hota hei, jabke mob to sirf jaib se nikalne ki ahtiyat hei bas phir sab aasan hei, aur sawal ka bhi masla nahi kyun k sawal itna bara nahi hota, aur aap to janti hein k aaj kal computer touch typer se zyada fast speed mobile use kerne wale student's ki hei jo far far sms likh dete hein aur zara bhi der nahi lagate, aaj kal ki new technology mein aise mob, niklein jin mein zyada space hota hei likhne ka, and mms is another option, aap bahir page per nakal likh ker us ki photo kheench ker mms k zerye se send ker sakte hien aur student thora zoom ker k aasani se perh sakta hei.
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
yeh topic kaha se kaha ja rahe hai...
I'll suggest to both group k atleast one reply per day post kare but loggical, because aise mei yaha waha k extra baate kerne se confusion badhenge and confusion badhenge then hum sab out of topic baate kerne lagenge... so jho ghalat hai voh ghalat hain usay debate k zerye sahi mei convert nai kersakte but we can take out some good points from them so voh positive and sane ideas bayan kare jho k majority k mind ko attract kersake and ek new vision bana sake yeh nai k hum khud ko sahi and dusre ko ghalat sabit kerne k koshish mei sahi baato k against jaye no thats not our point...I wish members of both group should understand what Iam saying...
 
Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalamualaikum Haazeerin aur naazeerin, mai ek baar phir apne views ke saath haazir hu..

Chaliye hum sab yaha debate kar rahe hai dono pehlu se against me ya favour me, to har kisi ko haqq hai apne apne views dene ka, mai mere mohtaram Bhai, Tayyab bhai ki mehnat se bohot hi khush hu ke wo apne views kaafi achi tarah se pesh-e-nazar kar rahe hai hum sab ke, aur Meri behna Hoor ne bhi apne ache views diye hai saat me baaki membaraan ke bhi kaafi ache nukte hai is topic per, to chaliye mai aata hu phir se topic per...

Jaisa ke meri Mohtaram dost Faari ne ye kaha ke Cell phones har jagah allow karna chahiye is modern zamaane me telegraph ya telegram ke zaraaye se koi baat apne rishtedaar ya apne dost ehbaab tak agar pohchaya jae to bohot der hojaegi ya to koi strike ya phir koi chutti, to mai aap sab ko bataadu ke yaha schools/colleges/Universities ki baat ki jaa rahi hai naa ki aam zindagi ki to hame ye zaroori nahi hota ke college me rahe utni der me hi koi important news doosron tak pohchana zaroori hojae wo baat hum schools/colleges/Universities se baaher nikal kar bhi kar sakte hai ya phir apne ghar jaaker chahe koi daawat ho ya koi buri khabar ho.

Agar learning ki baat hai to hum kaafi achi cheezen seekh sakte hai cell phones ke zaraaye se jaise ke Tayyab Bhai ne bataya, lekin agar hum har cheez Cell phones se seekhenge to phir computers ya Laptops rakhne ka kya faida, Cell phones se koi bhi bata seekhne ki baat aaye to mai yaha ye kehna chahunga ke Scientific Research ke mutabiq sabse pehle Cellphones rakhne se jo radiations nikalti hai usse bohot se nuqsaanat hai..
Jaise ke Cancer ya bohot si aisi beemariyan paida horahi hai jisse Insaanon ke liye behad nuksaan de hai aur iska qulasa mujhe karne ki zarurat bhi nahi hai ALHAMDULILLAH mere bhai aur behene bohot hi matured hai to in sab ko ye kaafi achi tarah se pata hai ke Cell phones ke use se kya kya nuqsaanat hai.
Aur rahi baat kuch knowledge seekhne ki to mai yaha ye batana chahunga ke sabse pehle cell phones use karne ka effect bachon ki aankhon per hoga, ek misaal dena chahunga hamare gharon me agar koi TV dekta hai to use door se dekhne ko kaha jaata hai warna uski aankhon ko nuqsaan hoga, to bhaiyo aur behno agar TV dekhne se nuqsaan hota hai to phir Cell phones jaisi cheezon se aankhon ko kya nuqsaan nahi hota ye to ek choti si cheez hai jaisa ke iska display itna chota hota hai hame baaz cheezen to zoom karke dekhni parti hai, to agar koi bacha schools/colleges/Universities me cell phone use karta hai to use waha rehke koi cheez seekhna ho to wo school/Universities hi kyun jaaye ghar me bait kar Cell phone se study karle, ya phir yaha ek raasta aur bhi hai agar school me Cell phones allow kiya jaana chahiye kyun ke usse bohot si cheezen seekhne ko milti hai to phir teachers, Lecturers ka kya kaam wo Cell phone hi rakh kar seekhlen, haan agar Schools/Universities me ye allow nahi kiya gaya to bache apni studies per to concentrate kar hi paate hai achi tarah se balke unhe apne ghar jaake koi cheez seekhna ho to wo tab ye cell phones ka istemaal kar sakte hai kuch der ke liye..

Kuch State governments ye step bhi le chuke hai ban on the use of cell phones in schools and colleges.Unlog ka kehna cell phone ke istemaal se ye help hoti hai ke serious aur unhealthy (Socio-psychological ramifications) iska matlab hai ke ek individual ko dusre ko samajne me problem hoti hai kyun ke inka dimaagh kahi rehta hai aur baat kuch karte hai.

Roz marra ki life me dekha jae to NEWS PAPERS bhare hote hai ye news se ke kai khism ke disorders aur disfunctions hote hai cel phones ke istemaal se jaise ki youngsters communicate karte hai har tarah ke emotions ke saath ek dusre se aur iska result hota hai larai ya jhagra ab to waahiyaat qism ki baaten bhi dekhne ko mili hai as per News Papers NEW York Times aur UAE ke ek National News Paper me.

Iska aur ek nuqsaan ye hai ke wo texting me itna short forms use karte hai isse distortion of languages kaha jaata hai jisse wo unhe itni aadat hojaati hai ke short forms use karne ki apni Ehem zindagi ke imtehaano me bhi baaz waqt short forms hi likh dete hai, spellings bhool jaya karte hai aur short forms likh dete hai . Cell phones aise waahiyaat cheezon me bhi istemaal hote hai jaise ki criminal activities me istemaal hote hai, built in cameras ki wajah se to itna nuqsaan horaha hai ke mai aap sab ko khule aam iske baare me nahi bata sakta kyun ke ye ek family forum hai.

Cell phone ka usage morally pshycologically aur physically bohot effect karta hai, Regular usage Cell phones ka sense of hearing per effect karta hai. Doctors itne saare cases se pareshaan hai jisko RSI kaha jaata hai Repetitive Stress Injury, kyun ke research aur study se pata chala hai ke Text Messages regularly karne se lambe arse tak repetition of stress hota hai jis ki wajah se choti aur bari bimaariyan paida hoti hai..

When traditional bullying occurs in a school, teachers are often able to control, but cyber bullying makes it difficult to detect and control.

Cell phone main BOhat se students apna data save kertay hain. apnay leactures k Important points Jo un k handouts bananay main kaam atay hain..! woh students Jo hostels main rehtay han aur jin k pass computer nahi yah phir computer pe Internet ki facility nahi woh Mobile pe Internet use ker k apna kaam chala saktay hain cuz aaj study main Internet is Essential..! apnay ghar walon se communicate kerna as i said already..! aur cell phone se un k pass yah facility hote hay k woh kabhe bhi Free Time main apnay ghar walon se communicate ker sakain..! Is se un ki Privacy bhi disturb nahi hote. so cell phone students k liye aak helper hay woh us se bohat se benefits hasil kertay hain..!

Ab aata hu meri pyari Behna Hoor ki taraf…
To mai ye batata chalu ke har behtar cheez ye technology se use ki jaa sakti hai to as per you Guriya kya pehle ke log par likh kar pass nahi hote the kya pehle ke log ache marks nahi laate the, kya pehle ke logon ku Computer ya Cell Phones ke baare me knowledge nahi hai, aisa bilkul nahi hai kyun ke agar hum koi government ya private sectors me jaa kar dekhenge to wahi bare budhe log waha computers per kaam kar rahe hote hai aur wahi log Cell phones bhi istemaal karna jaante hai, To ye sab to woh puraane log bhi jaante hai jo pehle computer use karna nahi jaante the ya Cell phone use karna nahi jaante the wo to ab ye sab use kar rahe hai to ye kehna bilkul ghalat hoga ke Cell Phones se hi lectures save karen aur baad me jaaker use study kare ya phir usme koi data save karen agar aisa hua to saare ke saare is per hi depend hojaenge......
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
we agreee sabah sis ...
hmen jo topic diya gya obviously hm us per hi baat krenge na... and we are trying that,,
meri b aik request hy debate me hm others examples ki bajye apni apni raye share karen ..that what we feel,,jese ke tayyab ne kuch links share kiye...
we are here for give our suggestions that waht we feel about the topic..

move on to the topic...cell phones ka brhta hua use es baat ko sabit kerta hy k 2day ese kitni ehmiat di ja rahi hy,,
so me sirf itna kehna chahti hoon..that school life me mobile phoness are not good,,aaap me se kayi students hain ,,kya aap study ke dooran cell phone open ker k beth ajte ho?nahi na?teachers ese allow nahi kerte ,,mana ke recrording ka es me options hota hy ..to wo to aik aur dicta tape,,js me aap easily apna lecture record ker skte ho,,
cell phones sirf aur sirf makhsoos zarurat k liye ..but u know that ajakl eska use kstrha horha hy,,
 
waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
please every one zara tareeke se posting karein mein note ker raha hoon k dono teams bari bari posts nahiker rahi hein aur hooria sis se bhi keh doon k aap bhi dekh ker post kerein aap is terhan lagatar posts na karein apne against member ka intezar karein, ager ghalati se ho. i mean ager aap or aap k partner 1 hi time mein post ker dien to dono salah mashwarah k baad 1 banda apni post delete ker de, and koshish karein k out of topic jane ki koshish na karien.
Ager next kisi ne aisa kiya to aap ki post delete ki jai gi.
thanks
Regards Waqas Naseer
 
Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Mai Muazerat Chahta hu aap sabs se mai ye topic per likhne me itna buzy hogaya tha ke sabke replies nahi dekhe iski wajah se maine post kardiya jab maine post kiya to ye sab replies nazar aaye..Aage se aise nahi hoga...
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
please every one zara tareeke se posting karein mein note ker raha hoon k dono teams bari bari posts nahiker rahi hein aur hooria sis se bhi keh doon k aap bhi dekh ker post kerein aap is terhan lagatar posts na karein apne against member ka intezar karein, ager ghalati se ho. i mean ager aap or aap k partner 1 hi time mein post ker dien to dono salah mashwarah k baad 1 banda apni post delete ker de, and koshish karein k out of topic jane ki koshish na karien.
Ager next kisi ne aisa kiya to aap ki post delete ki jai gi.
thanks
Regards Waqas Naseer
well brOther Load shading ka prblem her koi Face ker raha hay..! sO sometimes aisa accidentally ho Jata hay k Posts aak sath ho Jain..! ager meray reply pe mukhalif team ki terf se objection aaya hay tu Obviously us point ko main hi clear keron ge..! This's the rEasOn..!
 
waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan

well brOther Load shading ka prblem her koi Face ker raha hay..! sO sometimes aisa accidentally ho Jata hay k Posts aak sath ho Jain..! ager meray reply pe mukhalif team ki terf se objection aaya hay tu Obviously us point ko main hi clear keron ge..! This's the rEasOn..!
ager aap keh dein k load shading ki wajah se aap edit nahi ker saki to aap baad mein hum se keh ker mazrat ker sakti hien, now no more comments just concentrate on your debate, you have only 1 hour and 30 mins remain.
 
Status
Not open for further replies.
Top