TM debate Round 1- Group E (Sabah and Mohsin) vs. Group K (Sarkar and Desikuri)

  • Work-from-home
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
apke kahne k mutabek sub k sub alug rah ker bhi
aapne parents ki madad kerskate hain MashAllah kia soch hay apki kia parents ko paisay ki he zarrorat hotie hay piyar ki or protection ki nae lets take an example of a gardner aik mali aik plant lagata hay osko bara kertaa hay tou jab woh oski dekh baal kertaa hay jab woh plant bara hotaa hay tou woh os mali ko saya provide kertaa hay fruite daytaa hay jis say mali ko oski mehnat ka phal dekh ker zehni sakoon miltaa hay parents ki misaal b aisee hay parents olaad ko bara kertie hay or jab olaad bari hoo ker parents ko piyar or izat respect dytie hay tou un parents ko zehni sakoon miltaa hay is main faidaa sirf parents ka nahi bul kah olaad ka b hay k unki dono jahaan ki zindage sanwar jatie hay app mujhay koi aik religon btaoo jis main parents ki khidmat ki base money ki imdad ko kaha hoo sab religon parents ko piyar or respect daynay per zoor daytay hain jab parents apnay buchoo k sath rehtay hay tou woh faimly joint faimly kehlatie hay or yahi sucessfull tareeqa hay life guzarnay kaaaaa


 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Mere bhai mohsin ne meri post ghour se read nhi ki shayed aur meri soch pe comment kar diya..Mai apni baat dobara duhra deta hun..
Last post mai main ne kaha k ager kisi k 1 se zada bete shadi shuda hun tu parents kisi aik bete(son) k sath rehte hain..Ab is mai ye b add kr doon k farz karein aik beta shadi shuda hai aur us k baad abi aik unmarried hai tu parents unmarried k sath hi rahein gein.. Tu jab uski b shadi ho jae gi tu parents phr b kisi aik son k sath hi rahein gein..Is lye ap ki ye baat k parents ki khidmat karne se konsa mazhab rokta hai aur ap ki maali and plant wali baat tu invalid ho gai...Dosri baat ye k yahan baat sirf parents ki nhi ho rahi bul k joint family ki ho rahi hai jis k bare mai ap ko apna concept thora clear karni ki zarorat hai...Kyu k joint family mai sirf parents aur aulad nhi aur b dosre rishte hote hain..
Teesri baat mai joint family nhi honi chaeye k favor mai dunya k sab se aala aur sache mazhab ISLAM ki roshni mai aik daleel doon ga..
Hamara deen Islam humein sikhata hai k aurat ko parda karao...aur Aurat ko hukam hai k kisi b na-mahram ki nazar us k chehre pe na pare... In simple words Islam mai parda karne ka sakht hukam hai...
Ab na-mahram mai kon kon hota hai .Ye sab ko pata hi ho ga mai yahan sirf dever bhabi ka zikar karon ga k aik aurat k lye apne majazi khuda yani husbend k sage bhai se b parda karne ka hukam hai kyu k wo us k lye na.-mahram hai.
Ab aap ye bataein k ager aik larki ki shadi joint family mai hoti hai tu wo kaise khud ko bacha sakti hai? Ya aik joint family mai rehte howe aurat kaise parde ki pabandi kar sakti hai?
 
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
array baray baray peero k ghar joint faimlies rehtie hain app mujjhay koi aisa ALim yaar PEER sahab btao jin k ghar main joint faimly naa hoo os perday ka matlab kuch or hay joo ap thiori c study keroo gay tou pata lag jay ga rahi baat yay k parents ko kise aik baitay k sath rahnaa chaiyay tou goya parents do insan nahi kise game ka samaaan hoo gay k kbi kise k pass kabhi kise k pass parents jab tak zinda hotay hay unka piyaar apni olaa k liyay aik hotaa hay koi b insan yay nahi chhtaa k oski olaa alag rahay app apnay parents ki misaal lay loo woh b nahi chahtay k app un say alag hoo jao jab hum chotay hotay hain tou apnay maan baap say zaraa door ja ker peraishaan hoo jatay hain q k humaray liyay humaray parents say ziada koi b important nahi hotaa q k woh humara khial rakhtay hain humari zarortou ko samjhtay hain unko pora kertay hain tou jb humaray parents borhay hoo jatay hain tou unko b hum say versay hi piyaar ki zarorat hotie hay ager woh aik baitay k ghar rahin gay tou baqi buchay b tou unki olaa hain kiya unko un buchoo ki yaad nahi aya ge abb parents koi ball tou hain nahi k kabhi kise k hath main chlay jain kabi kise k hath main aik tree ki example doo ga k aik tree ki sab say important cheez oski root hotie hay oski root k bgair naa woh tree kise kaam ka or sirf root bgair apnay tree k kise kaam ki nae and in our life parents are roots and chilerns are tree so yay donu aik ojay k bgair aisay hain jaisay aik tota howaa samaan jisay repairment k liyay bht sa time chiyay joint faimly ager aik joint faimly ko aik chair samjha jay tou iniviual faimly aik totiee howee chair samji jay gee jo os waqt tak use nahi hoo saktie jab tak woh chmpletly aik chair naa bun jay ager joint faimly ka toot ker indiviual hoo b jay tou aik invidual faimly ka end joint faimly he hay.
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
mer bhai apni debate k lye aap islam k batae howe asoolo ko tabdeel na karein...ye na ho k anjane mai aap gunah k murtakib ho jaein..parde ka jo hukam hai us ka as a muslim sab ko pata hai k islam mai parda kissi kehte hain...is lye aap ka ye kehna k wo parda kuch aur hai .theek nahi..is baare mai aap kuch study karein ta k aap ko clear ho sake....

aur aap bar bar sirf parents ka zikar kar rahe hain..halan k hamara topic parents aur un k bachey nahi joint family hai.. jis pe tu aap baat hi nahi kar rahe...off the topic example dene ki bajae topic ko nazar mai rakh k example dein tu baat samaj mai aae.....


aap se mai ne pehle b kaha k joint family ka jo concept aap k zehn mai usey aap ko sahi karne ki zaroorat hai...kyu k joint family mai sirf parents and bachey nahi hote..aur b buhat se rishte hote hain jo mai pehle b bata chuka hoon...


ager aap k concept pe chala jae k jo parents apni aulaad k sath rehte hoon wo b joint family hi ho gi

tu is tarah tu kahein b koi individual family hai hi nahi..kyu k jo b shadi shuda couple alag b reh raha hai tu ALLAH k hukam se un k bachey b hote hain tu aap kya kahein gein k ab wo b joint family ban gai?
 
  • Like
Reactions: d3siikurii

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
sarkar mai aapke es baat k hawale se kuch
kahna chahungi jess mei aapne kaha tha k jiub
koi joint family mei shadi kare toh voh kaise
hijab ki pabandi kare??
toh jais k humara debate topic hain k kia joint
family aajke modern nezam mei chalna
chahye ya khatam hone chaye??
toh yeh elsie kaha gaya hai k ager kessi ko
aajke moder zamane mein kafi cheeso se
obstacle kiya jara raha toh yeh serf joint
families mei he huti hain..
jaise k gher ki lerki ko bahir college mee ya
university mei kessi na mohharam lerke se
baat kerne ki ijazat na dena.. ager bahir jaye
toh hijab pahne aur her terha k lougu se baat
na kerna to en sub se family k loug he mana
kerte hain and aap kahte hain k joint family
mei hijab kerna mushkel hain so its not true..
kio k joint family mei aisa koi rule nahi bana
hain k loug gher k bahir hijab kare and gher
mei mushkel hain.. balke joint fmaily mei he
sub ko hijab and dhopata pahne ki insist kerte
hain..
kuch bhi na mumkin aur mushkel nahin coz
impossible says Iam possible ager koi kerna
chahe toh gher mei bhi kerskata hain and
joh loug gher k bahir hijab k saath
nahin nekalte toh voh bhi kia joint family k
wajah se hain...
 

d3siikurii

Newbie
Feb 10, 2010
349
190
43
apni duniya me
[FONT=&quot]Sabah[/FONT][FONT=&quot] ji aap topic change kari hain…agr yeh baat sarkar neh ki hai tu aap apne topic pe kayam rahe..[/FONT]
[FONT=&quot]There are many difficulties in a joint family and this should change!!

actually bohat cases mein yeh bhi hota hai ke
[/FONT] [FONT=&quot]Within the joint family kuch aisi cheezain hoti hain jo islam mein jazeh nai hain..[/FONT]
 
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
Bhai jan app nay pocha k jo b shadi shuda couple alag b reh raha hai tu ALLAH k hukam se un k bachey b hote hain tu aap kya kahein gein k ab wo b joint family ban gai? g haan q k jub woh buchay baray hun gay tou unki shadi hoo jab baray bhai ki shadii ho gee tou woh pehlay hee din alag nae hoo jay gaa woh kuch arsaa joint faimly main tou rahay gaa thats y the end is joint faimly ajj kal her insaan ko security chiyay insan kitnay b bodyguards q na rakh lay bt woh apnay app ko joint faimly main bht secure feel kertaa hay q k joint faimly main osk dukh or takleef ko share kernay walay bht loog hotay hain

---------- Post added at 01:21 PM ---------- Previous post was at 01:17 PM ----------

bhai jaan main nay islamic point of view say sirf hikmat k hawalay say daytaa hoo humray topic main socity ka kahaa gaya hay na k islamic point of view say so app ko meri jitnee b example or islamic milay gee sab m islamic hikmat hoo ge na k point of view social point of view say discussion kerain app.
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Mere bhai ne kaha k jo shadi shuda couple alag rahe aur jab un k bachey ho jaein gein tu wo b joint family ban jae gi,..
Abi mai aik example de raha hun meri oposite team se sawal hai k meri is example mai koi individual family b ho gi ya nhi,
example ye hai k aik aik family mai parents and un k 3 bete(son) aur daugters hain.. Aur 3 beto ki shadi b ho gai aur un mai se sab se bara ya koi b aik apna alag ghar le leta hai aur us mai rehne lagta hai jab k baqi 2 apne parents and sisters k sath hi reh rahe hain..Tu aap bataeye k in mai koi individual family b hai ya nahi? Coz ap ne kaha k jo b couple alag b reh raha hai par jb unki aulad ho jae gi tu wo b joint family ho gi na k individual..Ab meri is example mai koi individual family b hai ya nahi?

Ab aate hain security ki taraf...Tu aaj kal chezein chori hone ka buhat problem hai...Aur jab kisi joint family mai kisi ki koi cheez gum b ho jae tu forun aik dosre pe ilzaam lagna shuru ho jate hain, ya ilzam na b lagein tu dil mai mail aa jati hai k falan ne meri ye cheez churaai ho gi, jis se aik dosre k khilaaf nafrat paida hoti hai ,apas ka pyar muhabbat ahista ahista khatam ho jata hai aur phr larai jhagre shuru ho jate hain,.
Issi tarah ager individual rehne wali family ki koi cheez gum ho jae ya chori ho jae tu kam az kam apne relatives k khhilaf koi baat zehn mai nhi aati..
Issi tarah aurat k haqooq ki vilation b zada tar joint family mai hi dekhi gai hai......Jab k individual families mai is ka rujhaan kam dekha gaya hai.
 
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
Meray bhai jahaan tak chezain chori gumnay or ilzaam laganay ka taluq hay aisaa sirf backward or jahil gharo main hotaa hay or yay main pehlay hee bool chukaa hoo k c walidain ki tarbiat hoo ge vesaa hee buchoo ka bvehavior ager tarbiat achee hoo ge tou buchay her chez aik dojay ki ijazat say lain gay ager ijazat na b lain tou aik dojay p itnaa trust hoo ga kah woh aik osray p kum uz kum chori ka ilzaam nahi lagain gay. Aik shadi shuda joray main suchaa piyaar hotaa hay is baat say koi inkar nahi kiya ja saktaa ager piyaar suchaa hoo tou jis say piyar kiya jata hay tou oski her chez say piyar kiya jata hay osk her rishtay say piyaar kiya jata hay or ager piyar main banawat hoo tou joint kiya ager woh individual b hoon tou kush nae rah sktay ager aik orat apnay husband ko oski achi batou ki waja sy piyaar kerti hay tou wohi achii batain os k behan bhaio main hee hou gee q k sab ke tarbiat aik he ghar or aik he insan nay ki hay.
jahaan tak ap k sawaal ka taluq hay woh oskaa jawaab yay hay k jab 3 bhaio ki shadi hoo jatii hay tou baraa baitaa foren tou alag nahi hotaa naa osko bht time lagtaa hay new ghar new mahol ko arange kernay main tab tak woh joint faimly main rehtaa hay iska matlab k faimly chal rahi hay or woh is joint faimly ka end ak inividual faimly banaa k kertaa hay so end wali chez joint faimly howee na.hence joint faimly kise b ghar ka end hay or isko tor ker insan jo merzi ker lay akhir main woh joint faimly ki taraf ataa hay or jab insan borhaa ho jataa hay tou oska experience b barh jata hay or sab he buzurg joint faimly k haq main hay.q k koi nahi chahtaa k unki oolaad jinhain woh paidaa honay say akataa rakh ahay hay jawani main alg hoo or yahi aj k door ka taqaza b hay jitnay invidual ghar hoon gay utni ziada construction ho ge or jitnee ziada construction hoo ge humaray forest or aagricultural areas main utni ziada kami hoo ge yay na sirf humaray mahool bul k humare economy k liyay b dangerous hay hence individual are dangerous for us economicaly and enviornmently joint faimly is best
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
OFF THE TOPIC BUHAT EXAMPLE DETE HAIN MERE BHAI MOHSIN...YAHAN PE HUSBEND WIFE K PIYAR KA ZIKAR KYUN? AUR MERI EXAMPLE K JAWAB KAISE DIYA SEE..

MOHSIN SAID:...

jahaan tak ap k sawaal ka taluq hay woh oskaa jawaab yay hay k jab 3 bhaio ki shadi hoo jatii hay tou baraa baitaa foren tou alag nahi hotaa naa osko bht time lagtaa hay new ghar new mahol ko arange kernay main tab tak woh joint faimly main rehtaa hay iska matlab k faimly chal rahi hay or woh is joint faimly ka end ak inividual faimly banaa k kertaa hay so end wali chez joint faimly howee.

IS MAI MUJEY YE CHEEZ SAMAJ NAHI AAI END JOINT FAMILY KAISE HO GA? JAB MIAN BIWI ALAG GHAR MAI REHNE LAGE TU YE END JOINT FAMILY KAISE HO GAYA>? IS KA JAWAB YAHI HAI K JAB TAK AAP JOINT FAMILY K CONCEPT KO SAMJEIN GEIN NAHI ..TAB TAK AAP ISSI TARAH LEFT RIGHT KI EXAMPLE HI DETE RAHEIN GEIN...

DOSRI BAAT MOHSIN NE AULAD KI TARBIYAT KI KI HAI..


MOSHIN SAID:

Meray bhai jahaan tak chezain chori gumnay or ilzaam laganay ka taluq hay aisaa sirf backward or jahil gharo main hotaa hay or yay main pehlay hee bool chukaa hoo k c walidain ki tarbiat hoo ge vesaa hee buchoo ka bvehavior ager tarbiat achee hoo ge tou buchay her chez aik dojay ki ijazat say lain gay ager ijazat na b lain tou aik dojay p itnaa trust hoo ga kah woh aik osray p kum uz kum chori ka ilzaam nahi lagain gay

BACKWARD AUR JAHIL GHAR B HAMARI COMMUNITY KA HISSA HAIN AUR PAKISATAN KI ZADA TAR ABABDI GHAREEB GHARAANO SE TALLUQ RAKHTI HAI..SO AAP YE MAAN GAE K JOINT FAMILIES MAI AISA HOTA HAI AUR YAHAN AKSAR JOINT FAMILIES INHI BACKWARD FAMILIES MAI HI HAI..

JAHAN TAK BAAT HAI BACHOO KI TARBIYAT KA TU IS PE B YE HAQEEQAR BAYAN KAR DOON K BACHOON KI TARBIYAT B INDIVIDUAL FAMILY MAI ZADA ACHE TAREEQE SE HO SAKTI HAI...BACHOON KI TARBIYAT MAA BAAP KA KAAM HAI AUR YAHI ACHE TAREEQE SE KAR B SAKTE HAIN..

AIK JOINT FAMILY MAI JAB BACHEY KI TARBIYAT SHURU HOTI HAI TU WO SHURU SE HI CONFUSION KA SHIKAAR HO SAKTA HAI...COZ US KI MAA USEY KUCH SAMAJATI HAI AUR DADI US KI APNE TAREEQE SE TARBIYAT KARNA CHATI HAIN ISSI TARAH AUR B JITNE LOG GHAR MAI REH REHE HOTE HAIN SAB K SAB AIK MASOOM AUR KACHE ZEHEN KO APNE MUTABIQ DHAALNA CHATE HAIN..JIS SE NUQSAAN KISI AUR KA NAHI US BACHEY KA HOTA HAI JO MUNTASHIR ZEHEN K SATH BARA HO RAHA HOTA HAI..

ISSI TARAH AGER AIK INDIVIDUAL FAMILY MAI BACHEY KO SIRF US K PARENTS JO B SAMJATE..BATATE HAIN WOHI KUCH WO SEEKHTA HAI AUR AIK NORMAL INSAAN KI TARAH PARWARISH PATA HAI..

TEESRI BAAT MERE BHAI MOHSIN NE ECOMIC PE KI...

MOHSIN SAID:
aj k door ka taqaza b hay jitnay invidual ghar hoon gay utni ziada construction ho ge or jitnee ziada construction hoo ge humaray forest or aagricultural areas main utni ziada kami hoo ge yay na sirf humaray mahool bul k humare economy k liyay b dangerous hay hence individual are dangerous for us economicaly and enviornmently

MOHSIN AAP IS BAAT SE MUTTAFIQ HAIN K JITNI ZAYADA INDIVIDUAL FAMILY HO GI UTNE ZADA CONSTUCTION B HO GI...TU MERE BHAI YE ECNOMICALY FAADEMAND HAI...YE AAP KISI ECNOMICS K EXPERT SE POCH SAKTE HAIN............AUR PAKISATAN KI MAJORITY KYU K GHAREEB HAI AUR AIK GHAR K ZAYADA SE ZAYADA 2 YA 3 ROOMS HOTE HAIN...AB IS MAI GUZARA KAIS HO? AIK JOINT FAMILY MAI REHTE HOWE 3 ROOMS K GHAR MAI KAISE PARENTS ,GRAND PARENTS ,UNCLES AND UNKI FAMILIES KAISE APNI PRIVICY KO BARQARAR RAKHTE HOWE ZINDAGI GUZAREIN>?
 
  • Like
Reactions: d3siikurii

d3siikurii

Newbie
Feb 10, 2010
349
190
43
apni duniya me
[FONT=&quot]Rahe baat tarbiyat ki research shows if the family isn’t a peaceful environment for an individual, the satisfaction of needs and development of the individual may be affected. Leaving them with stress, low self esteem and don’t have a strong moral basis because of the broken down of the family.[/FONT]
[FONT=&quot] [/FONT]
[FONT=&quot]In the joint family system there are also financial issues which cause conflict within a peaceful environment. I have seen families living by the joint family system who are sharing the burden of each other but not happily. Later on these small financial issues become the cause of tension among family members. Erupting the peaceful environment a family should have.[/FONT]
[FONT=&quot] [/FONT]
[FONT=&quot]Eg definition of the word family[/FONT]
[FONT=&quot]a. [FONT=&quot]A fundamental social group in society typically consisting of one or two parents and their children.[/FONT][/FONT]
[FONT=&quot]b. [FONT=&quot]Two or more people who share goals and values, have long-term commitments to one another, and reside usually in the same dwelling place.!!![/FONT][/FONT]
[FONT=&quot] [/FONT]
[FONT=&quot]also in the joint family system one member is the dominating head which results in disrespect and clash of opinions.. agr koi head sei agree na kareh tu that is considered as disrespect. Everyone that exists in this world has the right to express the feelings and share their opinions, but if the disagree with the head that is considered disrespect…[/FONT]
[FONT=&quot] [/FONT]
[FONT=&quot]mein ek JOINT family ki example doongi jis mein bachon ke tarbiyat ko bhi effect kartah hai saath saath usual ghar ke jahgron ko bhi outline kartah hai jiseh individuals physically, emotionally aur financiall bhi effected hotein hai choti choti baton pe in the joint family system..[/FONT]
[FONT=&quot] [/FONT]
[FONT=&quot]2 bhai apne parents ke saath reh rahe hain ek ki shadi ho chuki thi aur ek ke liyeh rishtay dhoondhe jah rahe the..[/FONT]
[FONT=&quot]chote bhai ne ek din keh hi dia usne apni bhabhi ki choti behan ke saath shadi karni hai lekin unfortunately bhabhi ke ghar wale nahin maneh… us din sei aaj tak dewar aur bhabhi ki kabhie baat nahi huwi, aur toh aur ghar mein sections hogayeh..[/FONT]
[FONT=&quot]ooper wala portions bareh bhai ka hai jis mein chote bhai ki family not allowed even children..[/FONT]
[FONT=&quot]bottom wala portion chote bhai ka hai, kis mein barah bhai aur ki family not allowed. [/FONT]
[FONT=&quot]Ab rahi baat parents kin a who ooper ken a neechay ke..[/FONT]
[FONT=&quot]Do alaida bills ateh hain ghar mein, aur khana bhi alag alag paktah hai..[/FONT]
[FONT=&quot] [/FONT]
Yeh tu sirf ek kahani hai, lekin yeh rare nahi hain har doosreh ghar mein aisa hai…all I can say joint families are more affected..thats why say no to the joint family system….
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
yaha sub debate ko chor ker ek dusre ki baate note ker rahe hain.. whats this..
plzz ager koi tareeke se topic ko contioue karega then ok otherwise yeh kia baat hue k saba ji aapne ghaalat kaha sarkar aapne and moshin aapne..
ek dusre ki ghaltia yaha per humne nahin leni hain serf topic per baat kerni hain
yeh hum per depend kerta hain k hum kaise ideas paish kerte hain and sarkar k group unke uper so joh bhi kuch kah raha hain apane unke baat ka jawab dena hain yeh nahin k aap ghlata kah rahe hain ya mai..
ager koi sahi tareke se topic ko continoue karega then ok otherwise mai disqualify kerungi...
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
hamari sari post dekh lein hum ne jawab b diya hai aur topic pe b baat ki hai aur shuru se hi mai b yahi tu keh raha hoon k humein jo topic diya gaya hai us pe baat karein..but no one listen
 
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
Indiviual faimly main insan bilkul akaylaa rahtaa hay unk buchay bevi or woh khud apnay os ghar ko bht miss kertay hain jiss main unk walidain or baqi sab rhtay hain kise insan k pass jab tak koi chez hoo osay oski qadar nahii hotie or jab woh chez naa hoo tou woh osay miss kertaa hay aik insan jab b individual faimly say elehdaa hota hay tou woh sharam or anaa parastie main wapis nae ataa mager jab woh os ghar ko yaad kertaa hay tou os ghar main baar baar chaker lagata hay yaa apni zindagi ko itnaa busy ker laytaa hay k woh pechay na dekh sakay mager ghar ki yaadain tou osk sath hi rehtie hay emotionaly and practically there is alot importance of joint faimly
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
hamari sari post dekh lein hum ne jawab b diya hai aur topic pe b baat ki hai aur shuru se hi mai b yahi tu keh raha hoon k humein jo topic diya gaya hai us pe baat karein..but no one listen
sare post ko dekh ker he kaha hain mai ne khair..
aubserf topic per he baat hugi yeh nahin joh name laker koi kessi ko ghalate tahrae aise mei un bande ki idea bhi change huti hain.. now we can carry on the topic jaha per jess kessi ka last reply tha vohi se start kare..
 

d3siikurii

Newbie
Feb 10, 2010
349
190
43
apni duniya me
ok sabah..


" Indiviual faimly main insan bilkul akaylaa rahtaa hay unk buchay bevi or woh khud apnay os ghar ko bht miss kertay hain jiss main unk walidain or baqi sab rhtay hain" mohsin neh yeh kaha hai..
kis family mein parents hon aur aunki bache aur unkeh bache that is not joint family!!
 
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
well main os faimy ki baat ker raha thaa jis main walid aklotie olaad hu. :)) kher mera matlab thaa k joint faimly main chacha or taya hoo baap ka darja diya jata hay parents say meraa matlab yahii thaa. or akylaa pun tou sabhi ko bura lagta hay. ajj kal k zamanay main b bht c individual faimlies aisee jo invidual sirf majbori ki waja say howee hain woh mjbori job or business hain or woh log ajj b joint faimly ko prefer kertay hain
 
May 7, 2010
362
102
343
Mianwali Piplan
joint faimly main jab b lerai hoo tou sab ki nahi hotie jahaann piuyaar ho wahan lerai hotie hi hay or jab lerai hotie hay tou samjhanay or sullah kerwany k liyay ghar walay he agay atay hain fir yay lerai mohabbat m tabdeel ho jatie hay individual m aisaa nahi hotaa.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
a quick reminder for this thread...this thread will be closed on june 8 2010 at 12am..according to my time..according to pak time..it will be closed on wednesday morning at 9am..thanks.....and please make sure u end ur debate wid ur conclusion and give ur views about ur against group..
 
Top