walakumsalam wrwb...Assalam u alaikum
kese mizaj hain ap k waqas pervez? mujhe pehchana ya nahi,yar tum ne to canada ja k khabr hi nahi li..hume bhool gya..aur na hi phir Pakistan ka chakar lgaya,khair choro in baataon ko..ghar me sb kese hain? main ab engineering kar raha hon,kayi baar socha tumhe khat likhon tum ne to ek baar b zehmat nahi ki, skol life jb boht yaad aati hai to tum b boht yaad aate hon.kya maze the...aur bata kesi guzr rahi hai,mangni wangi karwa li, hmmm acha yeh bata k pakistan wapis kb aao ge.jb aao to mujhe call zarur karna ya aane se pehle ek chithi likh dena,ab hum ne iqbal town wala ghar b badal lia hai ,warna wahan cricket match khelne ka apna hi maza tha..yaad hai na sb kuch tumhe.
acha ab ara kam se bahir jana hai mujhe..khat ka jawab zarur likhna.hume apni duaon me yaad rakhna
ALLAH HAFIZ
Tumhara mukhlis Dost
brother yahi to is letter ki khasiyat(speciality) hai.k isme jisko likha gaya hai uska naam mention nahi kia maine laikin jisko likha hai agar wo parhle to usse khud hi samajh aajayega inshaAllah k ye letter ussi keliye hai.wah wah wah...
waise yeh khat hai kis ke lie..koi naam nai hai..na hi address hai
pohchega kaise
brother yahi to is letter ki khasiyat(speciality) hai.k isme jisko likha gaya hai uska naam mention nahi kia maine laikin jisko likha hai agar wo parhle to usse khud hi samajh aajayega inshaAllah k ye letter ussi keliye hai.
waqas bhai mere ek dost thei afzal main aur wo jab baat karte thei na to koi hamari discussion ko samajh hi nahi paata tha k hum kis k baare me aur kis taaluq se baat kar rahe hain.main samajhta hon ye bhi ek tarha ka kamal hi hai.
kisko?jee jee..mai samjh gaya hon ke apne kisko likha hai..
wssalam u alaikum.. A'araaf UncleAssalam o alaikum Wrwb.
jab bhi main un dinon ko soonchta hon to khushi mahsoos hoti hai.ek waqt tha tab tum bhi posting acchi kia karti thi aur tumhare mazameen parhne ko ji chahta tha.laikin aaj ye section soona soona hai.najane kyun aisa hua k kuch mere bhi halaat aise hi hain.na thrd banane ko ji karta hai aur nahi posting ko.laikin ek qayal dil me aata hai fir sonchta hon k kuch na karne se kuch karna behtar hai laikin fir waqt k haathon majboor hojata hon.kaam hi kuch itna ziada hota hai k ab in kamon keliye waqt nahi mil pata hai.laikin tumhari kia majboori hai main nahi janta.kyun ye baarishein fir nahi hotin ab kyun baarish me phool nahi khilte.ab wo baat nahi rahi ek waqt aisa bhi tha jab tumhare dum par ye section zinda hua tha.aur usme ek jaan si aagayi thi.par ab soona soona sa lagta hai.
khair
aapka dost Arshad.