TM Mushahira...

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
32
Karachi
well salam allzz....
members k israar per ab hum ne TM Mushahira Contest arrange kiya hai....{(baby2})

so karna bus ye hai k.....yahaan jo bhi member sub se ziada aur achhy sheir submit karwai ga woh hi jeety ga...{(dance)}

ab achhy ashaar ka intekhaab main to kar nahi sakta....{}{78iu

so is k liye polling ho gi..{(baby2})

so guys and guls be ready!!!{(thinkg)}
NOTE:-
AISA SEIR JO K PEHLY SE KISI NE SUBMIT KARWAYA HO AGAR AAP USKO DOBARA SUBMIT KARWAIN GEY TO USY CONTEST MEIN NAHI COUNT KIYA JAI GA!!!
 

Anahita

Newbie
Sep 2, 2009
10
16
0
karachi
sitam yeh na tha
ke ek dor e wafa jee ker
ehd o peeman bert ke
mohabat aashna hoey
aur phir juda hoey

sitam yeh bhe nahi
ke yaqeen abb guman hoa
wo dor abb nasyaan hoa
mohabat ka imtikhan hoa

sitam to yeh hai ke
wo pal jab m'adoom hoa
phir humain m'aloom hoa
hasti e jaan wo na tha
nashan e rah tha wo
manzil e takmeel na tha

abb us kitab e ishq ki
kya nayi surat ho ge
na m'otbar lafzoN ki
kisko zaroorat ho ge
us nok e qalam ki chuban
hai sitam der sitam


---------- Post added at 11:49 PM ---------- Previous post was at 11:46 PM ----------

mery sajna
tery bin zindagani ka
har aik lamah adhora hy
bus aik ''dukh'' hy
jo poora hy

 

Anahita

Newbie
Sep 2, 2009
10
16
0
karachi
Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye


---------- Post added at 11:58 PM ---------- Previous post was at 11:56 PM ----------

Jab Raat Ki Naagin Dasti Hai,
Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai,
Jab Chaand Ki Kirne Tezi Se
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,
Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu
Zanjeeron Me Bandh Jaate Hai
Sab Jazbo Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hia,
Jab Raqs GaMonka Hota Hai
Khwabin Ki Taal Pe Saare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai
Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Me JhuMte Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho...


---------- Post added 09-26-2009 at 12:00 AM ---------- Previous post was 09-25-2009 at 11:58 PM ----------

Chalo ye farz karte hain
K tum Mashriq, main Maghrib hon
Chalo yeh maan lete hain
Bara lamba safar hai yeh!
Magar ye bhi haqeeqat hy tmhari zaat ka suraj
bht sa rasta chal kar, meri hasti mein doobay ga!


---------- Post added at 12:03 AM ---------- Previous post was at 12:00 AM ----------

Is arzu say agay,

k0i rasta nahi hai,

Tumhain kis kadar hai CHAHA…

Tumhain yeh paTa nahi hai

koi paL Bina tumhare,

Bhala kaise beet jaye?

Mere pas Tum nahi ho,

Mere pass kuch nahi hai,

Meri har dua ka mehvar,


Bas Ik ARZOO Tumhari,

Is arzu se agay,

k0i rasta nahi hai,

Tumhein kIS qadaR hai CHAHA……

Tumhain yeh Pata Nahi HAI….


---------- Post added at 12:10 AM ---------- Previous post was at 12:03 AM ----------

Thakan tu aglay safar k liye bahana tha
usay tu u bhe kise aur simt jana tha


wohe charaag bujha jiski loo qayamat thi
usi par zarb padi jo shajar porana tha

mata-e-jan ka badal eak pal eak sarshari
salook khawaab ka aankhoun se tajirana tha

hawa ki kaat shagafoun ne jazb kar le thi
tabhe tu lehja-e-khushbo bhe jarehana tha

wohe firaaq ki batain wohe hikayatain wisaal
nae kitaab ka eak eak warq porana tha


---------- Post added at 12:11 AM ---------- Previous post was at 12:10 AM ----------

Kaash is zindagi mein ye bhi nazaara dekhoon.
Aankh meri ho magar khwaab tumhara dekhoon..

Mere hi dil mein nahin ishq ki shamaa roshan.
Teri ankhon mein bhi chaahat ka sharaara dekhoon."

Tujh se milne ki duaa lab se nikal jaati hai.
Aasmaan pe jo koi toot-ta taara dekhoon..

Teri aankhon ke samander mein is tarah dooboon.
Ta-qayaamat na kabhi koi kinaara dekhoon..

Ab mujhe koi zuroorat nahin bahaaron ki.
Main to khilne ke liye tera ishaara dekhoon..

Tere haathon ki laqeeron mein hai kismat meri.
Arsh per kyon main muqadder ka sitaara dekhoon..

Jo maseeha tha wohi ban gaya dushman mera.
Ab main jeene ke liye kiska sahaara dekhoon..


---------- Post added at 12:14 AM ---------- Previous post was at 12:11 AM ----------

kitaab-e-zeest ka har warq parhaya hota
zindagi kaisay guzartee hai bataya hota

kantay raastay kai mai palkoon sai uthaoon kaisay
iss mushaqat mai maira saath nibhaya hota

duniya daaree kai takalus sai naheen hoon waqif
tumnay jeenay ka yeh andaaz sikhaya hota

ghoont ghoont zehr peelanay sai tu acha yeh tha
baas ek baar hee sooli pai charhaya hota

aisay bichray kai kabhi loout kai aai hee naheen
khud na aai tu kabhi humko bulaya hota

 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
32
Karachi
well excuse me.....jaisa k abhi tak dekha geya hai k aik hi sath itni saari posts ki wajha se sub mess ho raha hai....so plz aap log aik aur baat ka khaas kheyaal karein aur woh ye hai k aik waqt mein aik hi post karein....us ki thori dair baad doosri post karein....

~ThankYou~{(thinkg)}
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
Meri Mohabbat Aur Tumhari Mohabbat

1 Muhabbat Meine ki He,
Roshan Aankhein Ujley Aansoo,
Tere Pyaar ko Daan kiye hein,
Chahat ke Ahsaas Tumharey Naam kiye hein
Neindein di hein, Khuwab diye hein,
Ruswai ko Naam kiya he,
Apni Zaat pe Dhaq liye hein,
Shachey Jazbon walli Mohabbat,
Teri Zaat pe Sadqey ki he,
Raat Raat bhar Jaag kar kitni
Num Aankhon se Duayein ki hein,

1 Mohabbat meine ki He.




1 Mohabbat Tumne ki he,
Aissie Thos aur Aissie Behis
Jispar DiLka Har Har Aansoo
Paani ki Tarhan Beh Jaayei
Mere Andar Sholey Jalein,
Aur Uski Anna par Aanch Na Aayei,
Banjar Jazbey, Pathan Aankhein
Yeh Jazbon ki Doulat di he,

1 Mohabbat TUMne ki he.
 

HINATA

Newbie
Jun 26, 2009
11,843
2,832
0
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aayegi,
jab chaand sitare chamk rahen ho,
jab yadon k phool mahek rahe ho,
jab didar ko nain taras rahe ho,
jab Aankhon se aansoo baras rahe ho,
meri pagal mohabbat tumhein YAAD aayegi,
jab tanhai se dil ghabraye ga
jab tumhein akela-pan satayega
jab koi khuwab hi nahi aayega
jab phool kitab me hi reh jayega
meri pagal mohabbat tumhein yaad aayegi...
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
zara tum shaam dhalne du
k soraj ko tu jane du
parindo ko tu urney du
zara tum shaam dhalne du
abi tu aasman ka rang nikhre ga
abi khushbo b bikhhre gi
abi mousam b badle ga
abi tu chaand nikle ga
abi manzar badalne main zara si dair baqi hai
abi dil k sambhalne main zara si dair baqi hai
chale jana
abi 2;4 pal..2,4 sadyan sath rehne du
mujey kuch aaj kehne du
bas apne paas rehne du
mujey itna tu kehne du
MUJEY TUM YAAD AATE HO..

 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
Meray dil ki raakh kureed mat usay muskura k hawa na de
Yeh chiragh phir b chiragh hai kahin tera hath jala na de

Naye daur k naye khuwab hai naye mausmoo k gulab hain
Yeh muhabbatoon k chiragh hain inhy nafratoon ki hawa na de


Zara dekh chaand ki pattion ne bikhar bikhar k tamaam shab
Tera naam likha hai rait per , koi lehar aa kar mita na de


Main udaasian na saja sakoon in jisam-o-jan k mazaar par
Na diye jalay meri aankh mein mujhy itni sakht saza na de


Mery sath chalny k shoq mein, bari dhoop uthao gey
Tera naqsh hai mom ka, kahin gham ki aag pighla na de


Main ghazal ki shabnami aankh se yeh dukho k phool chuna
karon
Meri saltanat mera fun hai , mujhy taj-o-takht KHUDA na de
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
Daikh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo
Log jal jayan ge sooraj ki tamanna na karo

Waqt ka kaya hai kisi pal bhi badal sakta hai
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

Kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayan gi
Aur kuch roz abhi aaina dekha na karo

Ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
Apne din raat ko itna bhi akela na karo

Khuaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
Khuaab dekha na karo khuaab dikhaya na karo

Be khiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
Rookh guzre hoye lamhon ko kureedah na karo
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do


 

HINATA

Newbie
Jun 26, 2009
11,843
2,832
0
Phir aaj koi ghazal usk naam na ho jaye,
Aaj kahin likhte likhte sham na ho jaye,

Kar rahe hain intezar usk izhar-e-mohabbat ka,
Isi intezar mien kahin sham na ho jaye,

Nahi laite hain uska naam sar'e aam is darr se,
Kahin naam uska badnamam na ho jaye,

Mangtay hain dua jab wo yaad atay hain,
K judai mere pyar ka anjam na ho jaye,

Sochte hain aksar darte hain tanhai mien,
Usk dil mie kisi aur ka mukam na ho jaye....
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
jin rahoon pe ik umar tere sath raha hoon
kuch rooz se wo raste sunsaan buhat hain
mil jao,kabi lout k na aaon shayed
kamzoor hoon main raah main toofaan buhat hain
ik tum hi nahi meri judai main preshaan
hum b tu teri chah main viraan buhat hain
ik tark-e-wafa pe main usey kaise bhula doon
mujh per abi us shakhs k ehsaan buhat hain
bhar aaein na aankhein tu main ik baat kahoon
ab tujh se bichar jaane k imkaan buhat hain..
 

HINATA

Newbie
Jun 26, 2009
11,843
2,832
0
Ek ajab si betaabi reh gayi uske jaane ke baad
bheer main bhi tanhaai reh gayi uske jaane ke baad,
Bhala bura jaisa bhi kaha us ne phir bhi
uski khuaahish reh gayi uske jaane ke baad,
Kuch bhi tha mere chehre ki raunaqen thein us se barqarar
ab kuch nahi baaqi uske jaane ke baad,
Meri dunya mujh main simat kar reh gayi hai
hoon mein boht tanha uske jaane ke baad,
Zindagi main khushyan jin ki talab mujhe rahi sari umar
ab ujar gayi hain sab umangen uske jaane ke baad,
Khud se karun shikwa yaa apne naseeb se
mein to jaise bikhar gaya hoon uske jaane ke baad,
Dhoka kahun ya bewafai ka naam doon mein
kuch bhi kar lun ho gaya hoon ruswa boht uske jaane ke baad,
Ehad kia tha meine usey bhula doon ga uske jaane ke baad
woh aur hi ziada yaad ayi jub kis irada usko bhulane ka uske jaane ke baad.!
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Ghafil teri yaadon se hua main tu nahi tha
tu tha hi juda tujh se juda main tu nahi tha
ja tu meri guftaar k qabil hi nahi hai
yeh lafz kabi keh k gaya main tu nahi tha
besakhta gabra k pukara tha kissi ko
socho tere hontoon ki sadaa main tu nahi tha
koi tu mere jurm ki tafseel bata de
ae dost tere haq main bura main tu nahi tha





























































 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
( Mohabbat Bakhsh Deti Hai )

Mohabbat Bakhsh Deti Hai
Kabi Ra'anayiaan Aisi
K Jaisay Dhoop K Hotay
Kabi Badal Baras Jaye
K Jaisay Bin Kahay Koyi
Kahi Dil Mai Utar Jaye
Kahi Pariyo Ki Waadi Mai
Barray Se Takht Per Betay
Koyi Phoolo K Daman Se
Koyi Rango K Aanchal Se
Saro Per Sayebaan Ker De


Mohabbat Bakhsh Deti Hai
Kabi Tanhayiaan Aisi
K Jaisay Aag Si Barsay
Jo Sara Tan Jala Dalay
K Jaisay Raastay Mai He
Koyi Raahi Bhattak Jaye
K Jaisay Mun K Andar Kuch
Chanak Se Toot Sa Jaye
K Jaisay Dil PigaL Jaye
Mohabbat Kya Hai Phir Socho !
Ra'anaayi ?
Ya
Tanhaayi ?


---------- Post added at 09:30 PM ---------- Previous post was at 09:08 PM ----------

Akaash ki chilman se sada kiun nahi ati

Eik habbs ka alam hai, hawa kiun nahi ati

Sab ehl-e-janoon bazam se kehte huwe nikle
tere shehar ke logoon ko wafa kun nahi ati.
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Tüm Sè Jäb B Milöön Tüm Sè Kèhnà Chàhöön

Màin Tö Hàr Pàl Tèrè Sàth Rèhnà Chàhöön

Sàeyè Kà Kyà Bhàrösà Süràj Dhàlèy Tö Chüp Jàeyè

Màin Tò Bàn K Làhüu Tèri Ràgön Mè Bèhnà Chàhöön

Is Dhàrkàn Kà Kyà Bhàrösà Kàb Rük Jàeyè

Màin Tò Dil Bàn K Hàmèshà Tèrè Sèènày Màin Dhàràknà Chàhon.
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
Palkon Pe Ruki Boond Bhi Ronay Ko Buhat Hai
Ek Ashk Bhi Daaman Ke Bhigonay Ko Buhat Hai

Ye Waqia Hai Dil Main Meray Teri Muhabbat
Honay Ko Buhat Kam Hai, Na Honay Ko Buhat Hai

Phir Kia Usi Tareekh Ko Dohrao Ge Qatil
Nezay Pe Mera Sir He Pironay Ko Buhat Hai

Her Shaakh Se Utrain Ge Samar Dushmanion Ke
Nafrat Ka Bus Ik Beej He Bonay Ko Buhat Hai

Kis Tarah Se Baatin Pe Charhi Mail Utaarain
Jo Zakhm Badan Per Hai Wo Dhonay Ko Buhat Hai

Abb Saamna Tughyani-e-Darya Ka Hai Mohsin
Ek Leher Bhi Kashti Ke Dibonay Ko Buhai Hai
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
Teray Qareeb Aa Key Bari UljhanOn Mein hOn
Main dUshmanOn Mein hOn K Teray dOston Mein hOn

mUjh Sey gUraiz Paa hAi tOo Raasta Badal
Main Sang e Raah hOn tO Sabhi RaastOn Mein hOn

tOo Aa ChUka hAi Satah Pey Kab Sey Khabar Nahi
Be-dArd Mein Abhi Unhii GehraaiyOn Mein hOn

Aey Yaar e KhUsh Diyaar tUjhey Kya Khabar K Main
Kab Sey UdaasiyOn Key Ghaney JangalOn Mein hOn

tOo lOot Kar Bhi Ehl e tAmAnA kO KhUsh Nahii
Main Lutt Key Bhi Wafa Key Unhii QaafilOn Mein hOn

Badla Na Meray Baad Bhi mOazo e gUftagOo
Main jAa ChUkee hOn Phir Bhi Teri MehfilOn Mein hOn

mUjh Sey BiChar Kar tOo Bhi rOye Ga Umr Bhar
Yeh sOch Ley K Main Bhi Teri KhwaahishOn Mein hOn

tOo Hans Raha hAi mUjh Par Mera Haal Dekh Kar
Aur Phir Bhi Main Shareek Teray QehqahOn Mein hOn

 
Status
Not open for further replies.
Top