Tm nazam contest july'09

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May


{(AOA)}

KAISAY HAIN APP SUB, UMEED KURTA HOON KHARIYAT SAY HON GAY
AUR APP KI SUB KI SLAMTI KA LAYE ALLAH SAY DUA'A GO HOOON

WELL, AAJ MA JULY'09 KA IS MAHEENAY MAY TM KI JANEB SAY AIK NAYA CONTEST LA KUR APP KI
KHDIMAT MAY HAZR HOON

IS MUHABBAT SHAYARI SECTION MAY APP KU AIK "NAZAM" SHARE KURNI HAY

AUR WOO WORD JIS PER APP KU APNI SUB SAY ACHI NAZAM SHARE KURNI HAY

WO
YEH
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
HAY
-
-
-
-
-
-
-
-
-

M O H A B B AT


Rules

1) Ayk member ayk hi NAZAM share karay ga.

2) Pehlay se share kiye gayee NAZAM muqabala mayn shamil nahi hongay.

3) Behas o Mubasa ki ijazat nahi hay.

4) Winner ka pata TM team ki turf say via poll kiya jayyega.

5) Muqabala ki akhiri tareekh 25/07/2009 hay.

6) Winner ka alaan 28th July ku TM team ki taraf say kiya jaye ga aur surprising prize say nawaza jaye ga SO

Best of LUCK of all participants

 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
32
Karachi
hum bahatey rahe ansoo sari raat
ap atey rahe hamain yaad sari raat
din to kat hi jata hai yaadon k sath magar
kat ti nahin hum se ye zalim sari raat
kabhi uthon kabhi bethon
ik pal ka chain hoa haram sari raat
miley they hum jahan aur ki thi jo batain
manzar wohi atey hain ankhon k agey sari raat
kyun ki mohabbat aur galey lagaya ye rog
bas usi din ko kostey rehtey hain sari raat
hum bahatey rahe ansoo sari raat
ap atey rahe hamain yaad sari raat





agar achhi na lgy to i m sorry....mujhy shairi ka itna ilm nahi hai aur na hi mery pass koi bara collection hai


 

Cute-Angel

Newbie
Jan 20, 2009
5,006
3,169
0
Italy
MUHABBAT KI YAHI TAREEF HAY K...
Azal se muhabat mavara lafzon ki maala se
Magar ye bhe haqeeqat hay
Muhabat soch k aakaash per baadal ki soorat mein
Sada parvaaz karti hay
Kabhi baarish ki boondo mein simt kar dil kidharti per,
Utarti hay....Bikharti hay
Adda le kar saba se ye, gulabon se mehk le kar
Dhanak se rang le kar aur setaron se chamak le kar
Haseen aanchal banati hay,
Issi aanchal se phir khawbon k kachay ghar sajati hay
Muhabat aazmati hay,
Kabhi ye sher ban kar lafz ki hurmat bharhati hay,
Kabhi yesaaz bn kar dheeray dheery gungunati hay
Sarapa aankh bn jati hay ye mehoob ko pa kar
Anokha lams bn jati hay ye koe yaar mein ja kar
Na jaanay kon sa mantar parh kar ye hooley hooley se
Kisi ki band palkon mein bina dastak diyeyuk damm,
Utar kar ghar banati hay...muhabat muskarati hay
Ye khushboo hay hamesha phool ki sansoon mein hoti hay
Bana dey chand, tera shab ko jo ye aisa mooti hay
Kask hay daa'eemie iss mein,bohat benaam lazat hay
Muhaabat ki yahi tareef hay k ye muhabat hay
 

misskarwa123

Newbie
Mar 10, 2009
286
207
0
35
myanmar
Phir MOHABBAT kise tum kehte ho?

Khamosh zubaan k lafzon mein ,
Kuch poshida si baaten hain,

In poshida si baton mein ,
kuch chahat ki barsaten hain,

In baaton ko muddat se ,
Seeney me chupa k bethe hain,

kuch paaye bina kuch kho dena,
Yeh 'MOHABBAT' mein humne seekha hai,

Suraj mein ,chand sitaaron me,
Hur shey me tumhi ko dekha hai,

Dharkanon me bhi nagma ban ke,
Sagar ki tarah tum bethi ho,

Yeh 'MOHABBAT' nahi to tum hi kaho,Phir 'MOHABBAT' kise tum kehti ho..........................................
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
Shaam-e-gham tanhai ke siva kyaa degi
Umeed ka aakhri diyaa bhi bhuja degi.......

Chehra chhupane se haqikat nahi chhipti
Khamosh zubaan bhi kai raaz bata degi.......

Tu khud hii nikal ja dil se mere sanam
Mere seene ki jalan sab kuch jala degi.....

Gar hai gunah jooth nazar mein khuda ki
Bolega tu sach to tujhe duniya saza degi.....

Janoon hai saara tujhe mitane ka uspe
naam likha tera hawa bhi ab mita degi.....

Aati nahi raas ishq ke maaron ko zindagi
Hamko sakoon degi to bus kaza degi.....

Mil jayega sakoon us din meri rouh ko
Aansoon koii jis roz
mohabbat
mere liye gira degi.......

Rakhta hai kon yaad guzre waqt ko
baad mere ye duniya mujhe bhi bhula degi.
 

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
mohabbat

Bohut ghumi jahan bhar me
Mujhe awargi lekr
Kabhi sehra,samndar me
Kabhi duniya k melon me
Kabhi jangal me bhatkaya
Ajab wehshat lahu me thi
Nazar bhi justuju main thi
Kai chehre the ankhon main
Unhi chehron ki khuwahish main
Har ik manzil ko thukraya
Sukun phir bhi nahi aya
Bohut ghuma jahan bhar main
To phr akhir khula mujh par
Wo jis ko chor aya tha
Main apne hijr main jalta
Wohi sachi MOHABBAT thi
Usi ki yaad k moti
Bane jeewan ka sarmaya
MOHABBAT aakhri manzil
MOHABBAT aakhri saaya.
 
  • Like
Reactions: Cinderella

CHINTU

Newbie
Mar 24, 2009
349
185
0
37
U.S.A
Gujre huye pal ki yaad

ye hamari ghazal hai aasha rakhta hu ki main bhi is ghazal contest me bhaag le saku


aise hi ek din aap hame mil gaye
hamare dil ki sari baate aap kahe gaye
khush ho gaya tha ye dil ki aap hame mil gaye
aur aapke pyaar me hum paagal ho gaye
achanak aa gaya aisa tufaan
ki hum dono ek dusre se juda ho gaye
bahut hi aas thi aap vapis jarur aaoge
par pata nahi kyu aap to hame bhul hi gaye
kuch logo ko yaad hai kuch log bhul gaye
is judai ke dard ko hum dil me basa gaye
maut aaye nahi aapko aisa khuda ko kahe gaye
kise dikhau is dil ke zakhmo ko
jab aap hi hame chhod ke chale gaye
is tarah aap meri hansti khelti hui
zindagi ko barbaad kar gaye
us gujre huye lamho ki aaj bahut yaad aai
isiliye hum aapke naam ye gazal likh gaye
 
  • Like
Reactions: Cinderella

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
Loog Muhabbut karnay walay


ChuPkay chpkaY jal jatay hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

PorWa sanG nikal jataY hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

Aankhoon aankhOon chal partay hain TarOon ki Qandeel liyay

Chand k sath hee dhal jatay hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

Dil main phOol khila daitay hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

AaG main raag jaGa daitay hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

Pani Beech bataShay sourut Khood tou Ghultay rehtay hain

Hum kOu shaid bana daitaY hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

TlehRatay hain PholOon ki Umeed liYayeilti titli

Aik dIn KhusbOu hou jatay hain

Log MuhabbUt karnaY walaY

Bun jatay hain NaQsh Wafa Ka

Log MuhabbUt karnaY walaY

JhoNka hain baychain Hawa ka

MuhabbUt karnaY walaY

Jali hui dhaRti par jaisaY badal Ghir k aaYin

Basti par hain Fazal Khuda ka

Log MuhabbUt karnaY walaY





(by Amjad Islam Amjad)
 
  • Like
Reactions: Cinderella
Status
Not open for further replies.
Top