*** Islamic QUIZ ***

  • Work-from-home

*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
choti khwab k bare me ham pehle bata chuke hain is thread me
http://www.tafrehmela.com/khuwab/119744-plz-help-me.html
phir bhi apke liye yahan likh rahe hain

khwaab k bare me apke samne ham ek hadees bayan karte hain is par gaur karen

ek aurat Allah k rasul s.a.w k paas aayi aur kehne lagi k mera khawind bohot din se ghar nahi aaye aur maine khwab me dekha ki wo faut ho gaye hain to Aap s.a.w ne kaha fikar na karo kuch nahi hua wo chale gayi phir issi tarah do martab Ap (s.a.w) ke paas aayi aur wohi jawab mila phir chohti martaba wo jab aayi to Allah k rasul s.a.w nahi the to usne Aisha ra se ye khwab kaha to unhone kaha shayad tera shohar mar gaya hoga aur phir baad me ye sach hua uska shauhar faut hogaya...Jab ye baat Aap s.a.w ko pata chali to aap (S.A.W) ne Aisha r.a se farmaya jiska ilm apko na ho uske bare me kisi se kuch na kehna warna hosakta hai apka kaha sach ho

is par gaur karne wali baat ye hai k ham apni taraf se kisi ko koi fatwa na den haan agar hame Quran aur Hadees se dalail hain to zaroor kahen

aur ek hadees me Aap s.a.w ne farmaye agar kisi ko koi achcha khwaab aaye to wo Allah ki taraf se hai aur usse khush hona chahiye aur dusron ko bhi ye khwaab kehna chahiye aur agar koi bura khwaab dekhe to wo shaitan ki taraf se hai usse ispar tawajjo nahi deni chahiye aur nahi hi kisi se kehna chahiye

ab aap ko agar ye shadi wala khwaab acha laga apk liye acha hai to aap khush hon shayad apke haq me kuch behtar hi hoga
agar ye apk liye bura hai to bas iss par dhyan na den Allah bohot bada hakeem hai

aapse aur sare doston se guzarish hai ki aap sab Quran aur hadees ko samajh kar padhne ki koshish karen
ham duniya ki kitaben to padhlete hain par deeni ilm se piche rehjate hain

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
oh thank u so much =D>=D>
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

sanwel bro u ks city me rehte ho u ki zuban samej me nahi ati:(
choti ham suadi me rehte hain

urdu hi to bolte hain choti par itni wasi urdu nahi shayad hamari

kya samajhme nahi aaya apko kaho
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
Hazrat muhammad (S.a.w) k un sahabi ka naam batayen jin ko huzoor ne beta banaya huwa tha jin ki shadi huzoor ne apni cousin se karwai thi phir talaq hu gayi tu huzoor ne un se shadi karli.? aur is baat ka zikir quran mein bhi hei.

Aur saath hi us cousin ka name bhi batayen?
is ka jawab nahi hei kiya kisi k pass?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Hazrat muhammad (S.a.w) k un sahabi ka naam batayen jin ko huzoor ne beta banaya huwa tha jin ki shadi huzoor ne apni cousin se karwai thi phir talaq hu gayi tu huzoor ne un se shadi karli.? aur is baat ka zikir quran mein bhi hei.
is ka jawab nahi hei kiya kisi k pass?
Mazirath k sath janab apka ye sawal hi nahi dekhe ham

Zaid bin Haritha jo ke Allah k Rasul S.A.W ko tohfe me mile the gulam ki haisiat se phir Aap S.A.W ne unhe aazad kiya aur apna muh bhola beta bana liye phir wo Zaid bin Muhammad kehlane lage lekin Allah tala ne isse mana farmaye k baap k naam k bagair kisi dusre ka naam na joden aur unhone Hazrat e Zainab R.A se nikah kiya tha phir unko talaq dediya....phir Allah k Rasul S.A.W ne Hazrat e Zainab R.A se Nikah kiya....
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
Mazirath k sath janab apka ye sawal hi nahi dekhe ham

Zaid bin Haritha jo ke Allah k Rasul S.A.W ko tohfe me mile the gulam ki haisiat se phir Aap S.A.W ne unhe aazad kiya aur apna muh bhola beta bana liye phir wo Zaid bin Muhammad kehlane lage lekin Allah tala ne isse mana farmaye k baap k naam k bagair kisi dusre ka naam na joden aur unhone Hazrat e Zainab R.A se nikah kiya tha phir unko talaq dediya....phir Allah k Rasul S.A.W ne Hazrat e Zainab R.A se Nikah kiya....
mashallah
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
can sumbody plz tell me dat wat iz "fatwa" and wat is it for???
jab koi masla pesh aata hei jo logon ko mein nahi milta ya milta hei hadith ki book mein aur quran mein lakin woh usey samajh nahi
patay tu aalim se poochtay hein agar woh bata dey tu sahi warna Mufti se poochtey hein jis ne islamic law ko aur ziyada parha hota hei (aalim banay k baad MUFTI BANAY K LIYe 2 saal mazeed parhna parta hei)
tu phir woh fatawon ki book se dekh ker masla bata deta hei agar koi aesa masla hu jo pehlay na pesh aaya hu is zamanay mein hi pesh aaya hu tu phir doosray maslak mein (Imam shafi aur imam malik aur imam ahmed bin hanbel) maujood hota hei tu us sey bata deta hei.

For Example:

1947 mein pakistan banay k baad bohat si aurtein pakistan pohanch gayin aur un k husband nahi pohnchay. aur yeh bhi pata nahi tha k mar gaye ya zinda hein. ab masla paida huwa k kab tak us (husband) ka intezar kar sakti hei. kab us k liye jaiz hei k woh dosri shadi ker ley.

ab agar Hanafi maslak (imam Abu hanifa) k mutabiq tu yeh hei k aurat doosri shaadi nahi ker sakti jab tak k us k husband ki umar k log na mar jeyen .ab yeh aurat k liye bara mushkil hei woh tu khud mar jaye gi us waqt tak.

doosri teraf imam malik ka maslak hei k aurat sirf 4 saal husband ka intezar karay aur phir doosri shadi karley. tu pakistani ulama ne jo k hanafi hein imam abu hanifa ko follow kartay hein lakin fatwa imam malik k qaul k mutabiq diya. k aurat ko sirf 4 saal intezar karna paray ga.

second example:

agar koi insan kisi cheez koo khareedtra hei aur us ne us ko us cheez ko dekha nahi hei tu hanafia ka maslak hei k jab woh usey dekhay ga aur usey pasand na aayi tu usey wapis karnay ka ikhtiear (choice) hu gi.

aaj kal baray baray orders doosray mulkon se mangwaye jatay hein aur un ko dekha nahi jata. order milta hei phir dekha jata hei

ab masla yeh hei k agar imam abu hanifa k maslak per amal kiya jaye (yani order milney k baad agar pasand na aye tu wapis karwa do) tu bara masla hu jaye ga k itney order ki shipment ki us k pesay lagay tax diya us k pesay lagay aur order wapis karwany ki wajah se sab zaye hu jaye ga.

tu phir imam shafi k maslak per amal kiya aur woh yeh hei k order wapis nahi karwa saktay.

Third Example:

Hadith mein hei k aurat 3 deen aur 3 ratein akeli safar na karay. aur ualam ne us waqt ki teen raten aur teen din ka hisab lagay tu 48 mile bana. yani log itna safar kartay teh 3 din aur 3 raton mein.

ab masla yeh huwa k aaj kal k dor mein air plane hein us mein aurat ek din mein hi pakistan se usa pohanch jati hei jo k 48 mile se bohat ziyada hei.

abhi tak yeh masla mere ilm k mutabiq solve nahi huwa. kam se kam pakistan k baray ulama ne tu nahi diya koi fatwa is maslay per hu saka hei k ek aadh mufti ne koi fatwa diya hu tu diya hu. yeh masla abhi tak dama dol hi hei.
 
Top