*** Islamic QUIZ ***

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mere question hain..
Hazrat Mohammad (S.A.W) k kitne baite (SONs) the and unke names kiya the??
masha Allah apka khair maqdam hai is thread me

Total Sons - 3
1.
Syedna QASIM from Khateeja.R.A

2.Syedna Abdullah (Tayab, Tahir) from Khateeja R..A
3.Syedna Ibraheem from Maria Qubtia R.A All the sons died in their child hood, first 2 are burried in Jannat-ul-Moalla Makkah and Last one is in Jannat-ul-Baqqi Madina.
 

*Maryam*

*"T"* I desErve ThE BeSt n thE BeSt is YOU *"T"*
Super Star
Feb 12, 2010
7,334
3,408
913
Riyadh KSA
Jazakallah khair Marina bohot hi achcha sawal hai apka

ye kehna k koi Ramzan me mara ya Jummah k din ya kisi aur din wo Jannat me jayega ye bilkul durust nahi hai
aur nahi iski koi daleel hai....ham aaye din dekhte hain kitne loogon jummah k din maut hoti hai aur Ramzan me bhi kitne aise loog marte hain jo ke kafir hain unme se Hindu hain yahudi hain Cristians hain aur kayi digar mazahib k loog jinke bare me ye hargiss nahi kaha ja sakta k ye jannati hain

aur iska ek hi example apko denge ham agar isse baat clear na ho to aap kahen aur wazahat kardenge insha Allah

Jung e Badr kab huyi thi......ye Ramzan ul Mubarakh me huyi thi isme kayi kuffar mushrik mare gaye aur Jo Nabiyon ki talwar se marega uska thikana sidhe jahannum hai wo kya jitne bhi kuffar Jung e Badr me mare gaye wo jannati hain Nauzubillah bas hamare samajh ne k liye ye ek daleel kaafi hai wallahu aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aata kare Aameen

Well bhot acha rply h Saviou...jazakAllah Khair....:)
n its really informative thread ...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mazirath k sath sawal likhne me galti huyi

sawal yun hai
Dawood A.S k bete ka naam batayen jo Nabi the
 

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
Saviou can u clear it..ye mashoor h k jin logoon ki Ramadan m death ho jati h..wo janati hoty hn... to kya un k sab ghunha maaf hojaty hn..kya koi poch nhi hoti hun sy..
is there any reality ...?​
ناصر بھائی نے آپ کو تسلی بخش جواب دیا میں مزید اضافہ کردوں کہ
انسان کا معاملہ ان کے اعمال کی بنیاد پر ہوگا
لیکن جو مومن ہوگا اور رب تعالی کی رضا کے ساتھ جنت حاصل کرے گا ان مسلمانوں کے لئے یہ فضیلت ہے کہ اگر ان مومنین کا انتقال ان محترم مہینوں اور ایام میں ہوا ہوگا تو جس طرح ان ایام اور مہینوں کی فضیلت دیگر ایام یا مہینوں پر ہے اسی نسبت سے ان مومنین کے لئے فضیلت ہوگی اور مزید درجات کے بلندی کا باعث ہوگی
لہذا اس کا تعلق جنت وجہنم سے نہیں بلکہ فضیلت اور درجات سے ہے
اللہ تعالی ہمیں دین کا پختہ اور نافع علم نصیب فرمائے
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
ناصر بھائی نے آپ کو تسلی بخش جواب دیا میں مزید اضافہ کردوں کہ
انسان کا معاملہ ان کے اعمال کی بنیاد پر ہوگا
لیکن جو مومن ہوگا اور رب تعالی کی رضا کے ساتھ جنت حاصل کرے گا ان مسلمانوں کے لئے یہ فضیلت ہے کہ اگر ان مومنین کا انتقال ان محترم مہینوں اور ایام میں ہوا ہوگا تو جس طرح ان ایام اور مہینوں کی فضیلت دیگر ایام یا مہینوں پر ہے اسی نسبت سے ان مومنین کے لئے فضیلت ہوگی اور مزید درجات کے بلندی کا باعث ہوگی
لہذا اس کا تعلق جنت وجہنم سے نہیں بلکہ فضیلت اور درجات سے ہے
اللہ تعالی ہمیں دین کا پختہ اور نافع علم نصیب فرمائے
Aameen
Jazakallah khair janab mazeed wazahat k liye

---------- Post added at 07:52 PM ---------- Previous post was at 07:51 PM ----------

suleman alahis salam
Masha Allah sahi jawab Jazakallah khair

aur iska zikr sure Saad aayat no 30 me hai


---------- Post added at 09:38 PM ---------- Previous post was at 07:52 PM ----------


name the Prophet who is famous for beautiful Qiraaat!!

 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
Aameen
Jazakallah khair janab mazeed wazahat k liye

---------- Post added at 07:52 PM ---------- Previous post was at 07:51 PM ----------



Masha Allah sahi jawab Jazakallah khair

aur iska zikr sure Saad aayat no 30 me hai


---------- Post added at 09:38 PM ---------- Previous post was at 07:52 PM ----------


name the Prophet who is famous for beautiful Qiraaat!!

hazrat daood

---------- Post added at 05:11 PM ---------- Previous post was at 05:09 PM ----------

sorry to interrupt but kya koi mujhe bta sakta hai k is it da word Astaghfirullah or AstaghfirAllah???
Astaghfirullah
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Name the uncles(Chacha) of Prophet Muhammed(PBUH) who accepted Islam
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
q= kiya apne khwab suna sekte hen friends ko parents ko ya sanwel bro ap jase samejdar insan ko:D
buray khuwab tu sirf us ko suna saktay hein jis se tabeer leni hu warna us k elawa kisi ko nahi hafith mein is se mana farmaya hei. achay khuwab suna saktay hein
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
Hazrat muhammad (S.a.w) k un sahabi ka naam batayen jin ko huzoor ne beta banaya huwa tha jin ki shadi huzoor ne apni cousin se karwai thi phir talaq hu gayi tu huzoor ne un se shadi karli.? aur is baat ka zikir quran mein bhi hei.

Aur saath hi us cousin ka name bhi batayen?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
q= kiya apne khwab suna sekte hen friends ko parents ko ya sanwel bro ap jase samejdar insan ko:D
choti khwab k bare me ham pehle bata chuke hain is thread me
http://www.tafrehmela.com/khuwab/119744-plz-help-me.html
phir bhi apke liye yahan likh rahe hain

khwaab k bare me apke samne ham ek hadees bayan karte hain is par gaur karen

ek aurat Allah k rasul s.a.w k paas aayi aur kehne lagi k mera khawind bohot din se ghar nahi aaye aur maine khwab me dekha ki wo faut ho gaye hain to Aap s.a.w ne kaha fikar na karo kuch nahi hua wo chale gayi phir issi tarah do martab Ap (s.a.w) ke paas aayi aur wohi jawab mila phir chohti martaba wo jab aayi to Allah k rasul s.a.w nahi the to usne Aisha ra se ye khwab kaha to unhone kaha shayad tera shohar mar gaya hoga aur phir baad me ye sach hua uska shauhar faut hogaya...Jab ye baat Aap s.a.w ko pata chali to aap (S.A.W) ne Aisha r.a se farmaya jiska ilm apko na ho uske bare me kisi se kuch na kehna warna hosakta hai apka kaha sach ho

is par gaur karne wali baat ye hai k ham apni taraf se kisi ko koi fatwa na den haan agar hame Quran aur Hadees se dalail hain to zaroor kahen

aur ek hadees me Aap s.a.w ne farmaye agar kisi ko koi achcha khwaab aaye to wo Allah ki taraf se hai aur usse khush hona chahiye aur dusron ko bhi ye khwaab kehna chahiye aur agar koi bura khwaab dekhe to wo shaitan ki taraf se hai usse ispar tawajjo nahi deni chahiye aur nahi hi kisi se kehna chahiye

ab aap ko agar ye shadi wala khwaab acha laga apk liye acha hai to aap khush hon shayad apke haq me kuch behtar hi hoga
agar ye apk liye bura hai to bas iss par dhyan na den Allah bohot bada hakeem hai

aapse aur sare doston se guzarish hai ki aap sab Quran aur hadees ko samajh kar padhne ki koshish karen
ham duniya ki kitaben to padhlete hain par deeni ilm se piche rehjate hain

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Top