My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hum to kitno ko meh jabeen kehtey,
Ap hain is liye nahi kehtey,
Chand hota na asman pey agar,
Hum kisey ap sa haseen kehtey,
Ap kay paon phir kahan partey,
Hum zameen ko agar zameen kehtey,
Ap ney oron sey kaha sab kuch,
Hum sey bhi kuch, kabhi, kaien kehtey,
Ap kay baad ap hi kahiye,
Waqt ko kesey hum’nasheen kehtey,
Wo jo wahid hai main bhi wahid hun,
Kis sabab sey hum afreen kehtey.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ahat si koi aye to lagta hai kay tum ho,
Saya koi lehraye to lagta hai kay tum ho,
Jab shakh koi hath lagatey hi chaman me,
Sharmaye lachak jaye to lagta hai kay tum ho,
Rastey kay dhundalkey me kisi mor pey kuch dor,
Ik lo si chamak jaye to lagta hai kay tum ho,
Sandal sey mehkati hoi purkaif hawa ka,
Jhonka koi takraye to lagta hai kay tum ho,
Orhey hoye taron ki chamkati hoi chadar,
Nadi koi bal khaye to lagta hai kay tum ho,
Jab rat gaye koi kiran merey barabar,
chup chap sey so jaye to lagta hai kay tum ho.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi,
Main muntazir hun magar tera intazar nahi,
Humi say rang e gulistan humi say rang e bahar,
Humi ko nazm e gulistan pey ikhtayar nahi,
Abhi na cher mohabbat kay geet ay matrab,
Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi,
Tumharey ehad e wafa ko main ehad kya samjhon,
Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi,
Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem,
Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi,
Gurez ka nahi qail hayat sey lekin,
Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi,
Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney,
Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi,
Main muntazir hun magar tera intazar nahi,
Humi say rang e gulistan humi say rang e bahar,
Humi ko nazm e gulistan pey ikhtayar nahi,
Abhi na cher mohabbat kay geet ay matrab,
Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi,
Tumharey ehad e wafa ko main ehad kya samjhon,
Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi,
Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem,
Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi,
Gurez ka nahi qail hayat sey lekin,
Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi,
Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney,
Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Na khat likhon na qalam tujhsey rahey,
Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey,
Rahey bas itna shanasai ka bharam baqi,
Ishar’tan hi dua-o-salam tujhsey rahey,
Na ehad tark-e-ta’aluq na na qurbatien paheem,
Bas ek rabt-e-musalsal madam tujhsey rahey,
Yehi rahey tera nashtar tera tareqey ilaaj,
Isi tarha ghum-e-dil ko dawam tujhsey rahey,
Nazar me aks fishan ho terey jamal ki dhoop,
Dayar-e-jan me sada rang sham tujhsey rahey,
Ab is sey barh k mujhey chahiye bhi kya akhir,
dayar-e-fan me agar mera naam tujhsey rahey.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bicharey to qurbaton ki dua bhi na kar sakey,
Ab ke tujhey sapurdey khuda bhi na kar sakey,
Taqseem ho ke reh gaye sad karchiyon me hum,
Naam wafa ka qarz ada bhi na kar sakey,
Nazuk mizaaj log they hum jesey aina,
Tootey kuch is tarha k sada bhi na kar sakey,
Khush bhi na rakh sakey tujhey apni chah me,
Achi tarha sey tujhko khafa bhi na kar sakey,
Esa sulook kar ke tamashai hans parien,
Koi gila guzaar gila bhi na kar sakey,
Hum muntazir rahey koi mushq e sitam to ho,
Tum musalhat shanaas jafa bhi na kar sakey
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kesey koi chupaye anso,
Akhir ankh me aye anso,
Tujhko ye maloom nahi,
Kitney rat bahaey anso,
Dard ki lazzat or barhi,
Jub anso me milaye anso,
Main ne kajal saf kia,
Or palkon pey sjaey anso,
Us ney meri yad me rahi,
kesey aj bahaye anso.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jo rotey ho’on par hanstey hain unhey khud bhi rona parta hai,
Masror jo aksar rehtey hain magmom bhi hona parta hai,
Asani sey kya milta hai qurbani dena parti hai,
Ik chez ko paney ki khatir ik chez ko khona parta hai,
Izzat, khud’dari or ana ye sab rasmi si chiezen hain,
Ye ishq samundar hai is me har shay ko dabona parta hai,
Har qarb ho zahir chehrey sey ye bat koi lazim to nahi,
Kuch esey qarb bhi hotey hain jinhien dil me samona parta hai,
Ye soch ke yaro rat ko main bas adhi roti khata hun,
Is shehar me esey log bhi hain jinhien bhoka sona parta hai.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Suhana mosam ho aur aaye koi,
Sehra e dil main baras jaaye koi,
Shab o roz ulfat main cheekhta hay darya,
Aisay deewanon ko kia samjhaye koi,
Aankh khuli hay abhi gul e shaakh ki,
Bulbul say keh do geet na gaaye koi,
Kabhi saamnay aay woh khuabida chehra,
Kab tak rait par ghar banaaye koi,
Aay naseem e sehri, meray ghar say na guzarna,
Abhi aankh lagi hay, abhi na jagaye koi,
Meri fitrat main bhatakna hay,
Mujhay raah na dikhaye koi,
Yaan uljhanon main uljhay hain sabhi,
Kon sunay apni aur kia sunaaye koi,
Hawaon nay hilaya hoga tera dar “mehroom”,
Kon dastak day kionkar aaye koi..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Chahat main sambhlnay ka karina to sikha do,
Mushkil main bohat hoon zara jeena to sikha do,
Kiyoun chand say chehray pay baysakoni ki fiza hai
Ankhoon main chupi pyaas ko peena to sikha do,
Main sham dhalay aoon darwazay ko khula rakhna,
Dahleez pay bhi shama ko pighalna to sikha do,
Zakhmoon pe marham rakh ky kuch der to behlao,
Aur daman main howay chhedo’n* ko sena to sikha do..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Phir se aya hai meray angan main duhayi ka mousam,
Meray chehray pay simatt aya hai tanhai ka mousam,
Meri yadoon say kinara kar kay bhi woh khush na hua,
Raas aya na usay meri tarha judai ka mousam,
Ab bhi main hijar ke darwazay pe khara hoon shama liye,
Raah intezar ki dikhata hai uss herjai ka mousam,
Raat kay pichlay pehar chand bhi bekarari main raha,
Uss ne bhi jheyla hai meri tarha tanhai ka mousam,
Phir unhi khawaboon kay jaziray main paband raha hoon,
Janay kyon aas delata hai yeh rehayi ka mousam..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ajab hain uljhnen meri ajab tarz-e-zindgi hai,
Kbhi gham hy apna saya kbhi be-’naam si khushi hai,
Kis pe karoon bharosa? Kis se karoon me shikwa,
Sab naam ke hain rishte barf chehron pe jami hai,
Chaha tu hai sbhi ne par apny apny dhang se,
Jana nhi kisi ne meri zat ki jo kami hai,
Mein ne to Jaan-o-Dil se nibhay sarey rishte,
Iska sila to dekho ankhon mein bas nami hai,
Khud ko bana lo sang-dil yehi sekha hy is chaman se,
Yehi dastan-e-zindgi hy dunya lafzon se bas saji hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mujh say uljhtay raho meray jazbat ki tarha,
Her aik talaq toor doo meray halat ki tarha,
Ho kar khafa mujh say kaheen tum door na jaoo gay,
Wabasta hoo tum sansoon say meri zaat ki tarha,
Sochoon main meri shamil aur tahreroon main ho basi,
Hontoon pay meray rahtay hoo kisi baat ki tarha,
Bholay say main kabhi teri galiyoon main aa basoon,
Hussan ka sadka utar doo kheyraat ki tarha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Toota zaroor ho ga bicharney ke baad woh,
Tarrpa zaroor ho ga bicharney ke baad woh,
Kehta nahin kisi se magar jantey hain hum,
Roya zaroor ho ga bicharney ke baad woh,
Phailaa ke apne gird tasveer aur khatoot,
Bikhra zaroor ho ga bicharney ke baad woh,
Har zakhm ka ilaaj maseehaayi mein nahin,
Samjha zaroor ho ga bicharney ke baad woh,
Raaton ki saayen saayen aur tanhayi ke beech,
Jaaga zaroor ho ga bicharney ke baad woh,
Dehleez par puraney zamaanon ka muntazir,
Betha zaroor ho ga woh bicharney ke baad woh,
Uthtey qaram hamari taraf roktey huye,
Uljhaa zaroor ho ga bicharney ke baad woh..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Iltajayen us ki phir khatir mein laaon kis tarah,
Be’sabab rootha hua hoon maan jaaon kis tarah,
Jis ko aankhen chahti hain mangta hai dil usey,
Kese dhoka doon unhe, us ko manaaon kis tarah,
Ajnabi sa aashnaa tha naam tak poocha nahin,
Main ne maana laut aaye ga, bulaaon kis tarah,
Hum agar yak jaan do’qaalib hain phir tu hi bata,
Rooth jaye tu agar, khud ko manaaon kis tarah,
Dekh ker sotey mmain us ko pyaar aata hai mujhe,
Main bhala soyi huyi qismat kop jagaaon kis tarah,
Woh kabhi rootha hai na main ne manaya hai usey,
Aaj kyon rootha hai woh, us ko manaaon kis tarah,
Maanta hai jo meri har baat, har zid, har lagan,
Us wafaa paikar se saaqi, rooth jaaon kis tarah..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ab kya kahen kya mashghla hum dil’zada logon ka hai,
Awaargi shamon ki hai, aur jaagna raton ka hai,
Dehshat si kuch raston mein hai, kuch shor sa pato’n ka hai,
Ik sarsaraata sa weham shaam ka lamhon ka hai,
Waadon ki rut ruskhsat hui, baaton ko chup si lag gayi,
Milna to ab khawbon mein hai, rishta to bas yadon ka hai,
Jo harf dil pe lage, un ki khalish jo qaatil bani,
Jo keh ke hum mujrim huye, rona ab un baaton ka hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Khamoshi mein shor tha mene suna kuch bhi nahin,
Us ne sab kuch de diya lekin kuch kuch bhi nahin,
Tujh ko kya maloom aye jaan-e-jahan tere bagher,
Mera jeevan katt geya aur mein jiya kuch bhi nahin,
Hukam yeh hum ko mila us ke siwaa kuch mangiye,
Uth gaye dast-e-dua, lab par dua kuch bhi nahin,
Teri khatir umar bhar ka rat’jaga hum ko kubool,
Chahton main aik shab ka jaagna kuch bhi nahin,
Pyar se dekha mujhe lab bhi hilay us ke Khaleel,
Dil dharrak utha mera lekin hua kuch bhi nahin..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hamarey haal pe kis ki nawazishen hon gi,
Khayal o khawb ki be’faiz dastiken hon gi,
Tumhare husn ke charchey har ik zubaan par hain,
Tumhari zaat se kis ko shikayten hon gi,
Tumhare sheher ke munsif hain lootney waley,
Tumhare sheher ki yeh bhi riwaayete’n hon gi,
Hasool-e-adal ki khaatir chale to ho lekin,
Qadam qadam pe lakhon rukaawte’n hon gi,
Jahan milain na tahafuz kisi ki izat ko,
Wohi to ghair’yakeeni hakoomtain hon gi,
Challak gaye peyaaleyy hamari ankhon ke,
Tumhari aankh ki saari karaamtain hon gi,
Nisaab-e-ishq mein shaamil karain ge,
Tumhare husn ki jitni wazaahtain hon gi,
Uthaa rahe hain jo Farooq maikadey se mujhe,
Kisi ko zeher pilaaney ki saazishen hon gi..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Imtihaan hai khudaya, ya azaab chal raha hai,
Amaal ki hai shaamit, ya hisaab chal raha hai,
Yeh hum’nasb luterey, sab mil beth ker khayen,
Ik dusrey ko pakrren to ehtesaab chal raha hai,
Munaafiq ho jo momin, to hai kufaar se bad’tar,
Safo’n mein hamari, Firaun ka nisaab chal raha hai,
Kehne ko yeh zamana, bohat hi bura hai,
Hamarey amaal sa hi kharaab chal raha hai,
Jitna barra hai mujrim, utna barra hai qayed,
Haqeeqat hai yeh siyaasat, yeh seraab chal raha hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Safar main yaad na aye koi thikana humain,
Gham zamaaney ka mila aesa parra ghabrana humain,
Ameer-e-sheher ne kaghaz ki kashtiyan de ker,
Samandron ke safar per kiya rawaana humain,
Jahan se sath zamaney ko le ke chalna tha,
Waheen pe chorr gayi gardish-e-zamana humain,
Har aik simt kharri hain buland deewarain,
Tamaan sheher nazar aaye qaid’khaana humain,
Salook sab ka dekh ker yeh dheyaan aaya,
Ke kash phir miley dushman wohi purana humain,
Nigaah parrti hai phir kyun paraayi shamon par,
Agar aziz hai Mohsin chiraagh khana humain..
 
Top