My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Phir saheloon ki dhoop main kinaray bhatak gaye,
Dukh ke saleeb pe woh gham kay maray bhatak gaye,
Sehraoon main bagola ban kay raha uski talash main,
Jo rasta dekhatay thay woh sitaray bhatak gaye,
Raqeboon say kia gilla karain apnay bhi howay juda,
Qasmeen jo kha rahay thay woh piyaray bhatak gaye,
Hum ko umeed thi woh baharoon ko laien gay,
Jin pay thay takiya kartay woh saharay bhatak gaye,,
Duniya main sarpheroon ki nahi ab bhi koi kami,
Jo masoon thay woh ashiq baycharay bhatak gay
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ishq mein bad khawaas ho jese,
Koi baadal ke pas ho jese,
Naam kesa zubaan pe aaya hai,
Mudatton ki pyaas ho jese,
Tujh sabaa se kalaam karta hoon,
Tu haqeeqat mein paas ho jese,
Katt rahi hai kuch is tarah Arshad,
Damm nikalney ki aas ho jese..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Gehra Wo Is Qadar Darya Laga Mujhay
Sakoot Bhi Os Shakhs Ka Shikwa Laga Mujhay
Ek Aam Aadmi Tha,Bohat Aam Si Baatein
Na Janay Phir Bhi Kiun..Acha Laga Mujhay
Ye Pyaar Ki Kami Hai,Ya Aitmaad Ki ?
Rehta Hai Tere Khoney Ka Dharka Laga Mujhay
Dil De Ke Ham Ne Le Lia Teri Jafaa Ka Gham
Aur Phir Bhi Ye Sodaa Bohat Sastaa Laga Mujhay
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Woh jo lamha tha mohabat ka amar honay laga hai
Youn abad meray dil ka nagar honay laga hai
Ab chandani utarti hai meray sehan main aksar
Teray anay say yeh khali makan ghar honay laga hai
Woh lams tha tera jis nay mujhy mahboos rakha hai
Main khud ko bhula doon ga yeh daar honay laga hai
Wehshat thi jin galiyoon main wo ab door hoi hai
Teri khushboo say muattar yeh shehar honay laga hai
Ikk raz bata doon tujhay aa hussan ki devi
Adaoon ka teri mousam pay assar honay laga hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Pani pay qadam rakh dena kah kuch khawab adhoray hain,
Ankhoon ko sula dena kah kuch khawab adhoray hain,
Betay howay lamhoon ko kuch keh kay bula layna,
Aur unko bata dena kah kuch khawab adhoray hain,
Pher yadoon kay parhan ko youn jism pay saja layna,
Aur charagoon ko bujha dena kay kuch khawab adhoray hain,
Pher sham ki lali main chupay gham kay samundar ko,
Zara sahil pay bula layna kah kuch khwab adhoray hain,
Sulagtay howay armanoo main pher agg bharakti hai,
Rakh ashkoon main baha dena kah kuch khawab adhoray hain…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ye Maujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Ke Sang Tujh Pe Giray Aur Zakham Aaye Mujhe
Mein Apnay Paon Talay Rondta Hun Saaye Ko
Badan Mera Hee Sahi Dophair Na Bhaaye Mujhe
Mein Ghar Se Teri Tamanna Pehen Ke Jab Nikluun
Barhana Sheher Mein Koi Nazar Na Aaye Mujhe
Wohi Tou Sab Se Ziyada Hai Nukta Chee.n Mera
Jo Muskura Ke Hamesha Galay Lagaye Mujhe
Barang-e-Aud Milay Gi Ose Meri Khushbuu
Wo Jub Bhee Chaahay Baday Shouq Se Jalaaye Mujhe
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo,
Mujhko chaha hai tu phir iska dawa bhi karo,
Kaisi uljhan main girftar rahay ho din bhar,
Ho gai raat charagoon ko jalaya bhi karo,
Ajj kuch deer roko pal bhar ko sakoon laynay do,
Itni jaldi main ho tu phir faslay mataya bhi karo,
Woh jo aik dewar meray dil main uthai tu nay,
Khool doo khirky aur aik bar nazar aya bhi karo,
Pher wohi khawab wohi sochain wohi tanhai,
Sahmi ankhoon ko sar-e-sham sulaya bhi karo..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bohat pehle se afsurda chale aate hain hum to,
Bohat pehle ke jab afsurdgi hoti hi nahin thi,
Bohat takraar rehti thi bharey ghar mein kisi se,
Jo shey darkaar hoti thi, wohi hoti nahin thi,
Nikal jatey they sar pe be’sar o samaani laadey,
Bhari lagti thi ghatthrri, aur bhari hoti nahin thi,
Humain yeh ishq tab se hai ke jab din ban raha tha,
Shab-e-hijraan mein jab itni sarsari hoti nahin thi,
Humain in haalon mein hona bhi koi asaan tha kya,
Mohabbat aik thi aur aik bhi hoti nahin thi..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Har taraf phaili thi us ki yaad jungle ki tarah,
Main guzar kar ageya hoon urrtey huye baadal ki tarah,
Aik lamhey ko judaa honey de mumkin hi nahin,
Dheyaan rakhti hai mera woh apne aanchal ki tarah,
Muskuraa kar dekhti hai jab woh khirki se kabhi,
Aik khawhish dil main khil jati hai kompal ki tarah,
Choti choti baton per roney ki aadat hai usey,
Aur ankhon mein mujhe rakhti hai kaajal ki tarah,
Jab bhi paani phenkti hai woh shararat mein Hassan,
Jism lagta hai mujhe bheegey huye thall ki tarah..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Meri Chahat Tha Wo Meri Anaa Bhi Tha
Merey Khamosh Lehjon Ki Ek Sadaa Bhi Tha
Rehta Tha Subha-o-Shaam Wo Mere Wajood Mein
Meri Awaaz..Mera Lehja….Wo Meri Adaa Bhi Tha
Deta Tha Wo Mujh Ko Zakhm Behisaab Magar
Hamdard Bhe Tha Wo Mera..Wo Meri Wafa Bhi Tha
Ab Os Ke Zikar Pe Mein Aksar Baat Badal Deta Hoon
Kabhi Meri Mohabbat Ki Inteha Bhi tha
Ajab Kash Ma Kash Mein Thi Zindagi Meri
Poojna Usay Tha Aur Dil Mein Khuda Bhi Tha
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,
Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain,
Khabar hai khushi ik siraab nazar hai,
Nahin ab miley gi, magar dhoondtey hain,
Jahan barishon ne ujaarri hai basti,
Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain,
Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko,
Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain,
Laraztey huye meri palkon pe aansuu,
Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain,
Mohabbat hai parwaaz se un ko Bushra,
Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tumhain fursatain jo milain kabhi meri wehshaton ko qarar do,
Hon apnay aap say bekhaber meri zindagi sanwar do,
Mujhay saath apnay lay chalo kisi khawab wadi k dar talak,
Mujhay nazar-e-husn-e-bahar do meri chasham-e-tar ko khhumar do,
Iss chammon ke saari ranginiyan tum apnay khatay main daal lo,
Mujhay dard do mujhay ashk do mujhay gul k badlay khhar do,
Main daastane-e-khizan sehi mera ziker ab bhe howa’on main,
Meray hisay ke hain jo neamatain meray zard mazi main dal do,
Hon payar ke purnum sada mujhay rasm-e-ulfat ka kiya pata,
Koch waqat-e-fursat nikaal ker ik shaam mujh ko udhhar do,
Mera mun kabhi nehi manta teray dar ka bun jaon gada*,
Meray lafz bun jaien sada mujhay payar do mujhay payar do,
Nehi aaj tak jo ho saka gham-e-hijer ka ho ab bhala,
Meri zeest jis say guzer sakay mujhay aisay gham hazar do,
Teri merzi meray na khuda gar sunn lay shaukat ke nida*,
Mujhay day sako tau kinara do ya dooor sahil utaar do.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahin ho,
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahin ho,
Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani,
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahin ho,
Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein,
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahin ho,
In ajnabi raahon mein nahin koi bhi mera,
Kis ne mujhe yun apna kaha, tum to nahin ho..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Yunhi be sabab na phira karo, koi shaam ghar mein rha karo,
Woh ghazzal ki sachi kitaab hai usey chupke chupke parha karo,
Koi hath bhi na milaye ga jo milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara fasiley se mila karo,
Abhi raah main kayi morr hain koi aye ga koi jaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya usey bhoolne ki dua karo,
Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo,
Kabhi husn parda nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein,
Jo mein ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,
Nahin be’hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Usey itni garmi-e-shoq se bari dair tak na takka karo,
Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke pas hai,
Yeh tumharey ghar ki bahaar hai, usey aansuyon se haraa karo.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Zara sa muskura dena aj jummey ka din hai,
Gily shikwe bhula dena aj jummey ka din hai,
Khafa hona khafa karna kisi ko bhe acha nahi lagta,
Dua lena dua dena aj jummey ka din hai,
Kisi se bhi shikayat ho use ja kar yehi kehna,
Nai tumse juda rehna aj jummey ka din hai,
Mohabat bantna sub se, galay sub ko laga lena,
Yehi hai bus mera kehna aj jummey ka din hai,
Hume ye jummey ka din phir ataa karna mere Allah,
Sub ko khushi dena aj jummey ka din hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Usey to kho hi chukey phir khayal kya uska,
Yeh fikr kesi ke ab hoga haal kya us ka,
Woh aik shakhss jisey khud hi chorr bethe they,
Karke karna ab kis khatir malaal us ka,
Yeh soch kar na miley phir usey kabhi Khalid,
Na janey ho ga nadaamat se kya haal us ka..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Woh kya din they jab ik larki mere khawbon mein rehti thi,
Woh mere sath hansti thi woh mere sath roti thi,
Lipat jati thi mujhse bhag kar main jab bhi ghar ata tha,
Kahin bhi jab jaaney lagta to woh rasta rok leti thi,
Woh kehti thi mohabbat ka koi mausam nahin hotaa,
Woh subah o shaam chahat ke sunehrey khawb bunti thi,
Hum aksar chandni raton mein sehraa ke taraf jatey,
Woh bheegi rai par mera aur apna naam likhti thi,
Woh daryaa ke kinarey beth jati thi kabhi ja kar,
Mujhe us waqt sohni ki tarah woh sachi lagti thi,
Bicharr janey ka us ke dil mein ik dharrka sa rehta tha,
Woh mera haath gehri neend mein bhi thaamey rakhti thi..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Us ko bhi bachaana hai khud ko bhi bachana hai,
Ik simt hai zaat apni ik simt zamana hai,
Hum se na koi uljhey hum log hain deewaney,
Aandhi se humain zid hai ik deep jalana hai,
Hum dono ko baanta hai daryaa ke kinaron ne,
Iss simt bhi rehna hai us paar bhi jaana hai,
Yeh ishq to fitrat hai kese ho judaa mujhse,
Yeh rog hai matti ka aur sadiyon purana hai,
Basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein,
Itna jo kaha mene ik sheher basaana hai,
Ik aankh hai sehraa to ik aankh samahdar hai,
Kya janiye is dil main kis kis ko samaana hai,
Kehne ko bohat kuch hai aye Saad magar hum ne,
Ik vaada nibhaana hai ik dard chupaana hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jeevan raah pe chalte chalte murr ke dekha barson baad,
Kya khoya kya hum ne aaj yeh jaana barson baad,
Aik zara si deir mein barson ki khamoshi toot gayi,
Kiss ne yeh jheel main pehlaa pathar phenka barson baad,
Bethe bethe aaj kis ki yaad ne yun angrrayi li,
Ashkon ka be’mausam badal toot ke barsa barson baad,
Muddat baad milley hum dono to aesa mehsoos hua,
Waqt ne tasveer ke do tukrron ko jorra barson baad,
Raat mere kamrey mein koi saaya sa lehraaya tha,
Neend urri ankhon ne shayed sapna dekha barson baad,
Taabeeron ke khoj mein aaj apna aap ganwa bethe,
Ansar apna har ik sapna jhonkaa nikla barson baad..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Teri mohabbat ka bhojh ddhonay se reh geya hoon,
Mujhe yeh dukh hai mein tera honey se reh geya hoon,
Mujhe bhi aati hai duniya daari bicharrney waley,
Magar mein iss saanchey pe roney se reh geya hoon,
Kahin hoon mojood main bhi iss dastaan main lekin,
Teri zubaani beyaan honey se reh geya hoon,
Mere hadh-o-haal mukhtlif to nahin hain tujhse,
Magar mein kyon tere jesa honey se reh geya hoon,
Yeh khaak mere lahuu ki peyaasi hai aur Shehzaad,
Yahan mein shaakh gulaab bonnay se reh geya hoon..
 
Top