My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,
Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,
Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,
Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,
Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon,
Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Is liye murr ke dekhna bhi hai,
Pairr sookha hai, haraa bhi hai,
Jo mere gham se ashnaa bhi hai,
Mujh mein ik shakhss dusra bhi hai,
Ab khuda janey shair hai ke sawaal,
Us ne kaghaz pe kuch likha bhi hai,
Sab ult phair hain muqaddar ke,
Warna woh shakhss to mera bhi hai,
Tu mere hadh-o-haal puchta hai,
Kya tere pass aayina bhi hai,
Yeh jo pairron main shor hai Aami,
Is se lagta hai kuch hawaa bhi hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Woh hain pass aur yaad aney lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,
Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,
Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain,
Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,
Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,
Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..

ad
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Woh hain pass aur yaad aney lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,
Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,
Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain,
Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,
Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,
Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Socha tha aik khawb jo dekha nahin geya,
Phir us ke baad umar bhar soya nahin geya,
Kuch main bhi khudpasand tha kuch woh bhi be’niaz,
Toota to phir woh silsilaa jorra nahin geya,
Jab bhi mila, mila woh mujhe aayina badast,
Mujh se zeyada dair yeh dekha nahin geya,
Sompi thi jis ko khayal ki saari amaantain,
Us se mera khayal bhi rakha nahin geya,
Awaargi bhi sath rahi umar bhar Ataa,
Manzil ki simt main kabhi tanhaa nahin geya
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Assar mujh per kare gi kya,
Kisi gulzaar ki khushbu,
Mere dil mein to rehti hai,
Tumhari yaaad ki khushbu,
Tujhe bezaar karti hai dil e abad ki khawhish,
Mujhe abaad rakhti hai dil e barbaad ki khushbu,
Tere aney ke waadey per yeh kesa ratjaga sa hai,
Mujhe soney nahin deti tere irshaad ki khusbhu,
Woh jitne zakham deta hia mujhe sab phool lagte hain,
Mujhe mashoor rakhti hai sitam ki khushbuu,
Jahan dekho sara mohabbat se moater hai,
Kahin sheerin ki khusbu hai kahin farhaad ki khusbu..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Usey pana tha usey khona tha,
Yeh bhi hota tha woh bhi hona tha,
Kitni dair aur us ko rona tha,
Woh jo hona tha woh to hona tha,
Shayed is wastey mili aankhain,
Bojh kuch aansuyon ka ddhona tha,
Kya ghazzab kar liya ankhon ne,
Mujhe to tujhse chup ke rona tha,
Hum ne moti samajh liye they Adeem,
Warna daaman kisey bhigona tha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Ba-zahir ishq sumander main uterna tau laga asaan,
Magar iss ssfar-e-chahat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Ksttay jo roz-o-shab apnay hijer ke aah-o-zaari main,
Tanhye ke akoobat ko na tum samjhay na main sumjha,
Wasal ke wo haseen lumhay jinhay hum yaad kertay hain,
Haqeeqat main uss qurbat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Chalay sargosheyan kertay hum bund aankhain jin ruston per,
Onn ruston ke banawat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Uthha ke sar hajoom-e-shaher main phirna bhe ghalti thhee,
Jahan walon ke aadat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Humain purkaif lumhon main milay jo dost bun bun ker,
Chhupi dil main adawat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Yehi jana hay shaukat nay bus apni kahani main,
Mohabbat ke haqeeqat ko na tum sumjhay na main sumjha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Dosti itni barhi us se judai ho gayi,
Dekhte hi dekhte sabzey se kaayi* ho gayi,
Jesa suntey they kabhi wesa zamana ageya,
Rog sastey ho gaye mehngi dawaayi ho gayi,
Ab to matti main bhi pehli si wafaa baqi nahin,
Khait banjar ho gaye aur rut paraayi ho gayi,
Shaam ko dholakk ki layy per gaa rahi thi larkiyan,
Hum rahe chup chaap aur us ki sagaayi ho gayi,
Ik nazar main cheen kar woh meri duniya le geya,
Aik pal main zindagi bhar ki kamaayi ho gayi..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Main ke pachtaawa na tera hota,
Kash tu ne mujhe socha hota,
Hum marey hote magar jee uthtey,
Tu ne ik baar pukaara hota,
Tum mujhe dekhte apni chat se,
Kaash main shaam ka taara hota,
Main bhattak jata tere rastey se,
Gar kabhi tera ishaara hota,
Jiss gharri tu ne karam farmaya,
Kaash woh lamhaa dobara hota,
Tujh se bhi toot na sakta aye kaash,
Main tera pukhtaa iraada hota,
Tere aangan mein kisi saawan mein,
Ban ke barish hi main utraa hota,
Jis se koi bhi na guzraa ho Shumaar,
Main tere dil ka woh raasta hota..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho,
Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho,
Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se,
Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer to dekho,
Teri tasveer ke peeche hain jaalay bewafayi ke,
Ullat kar tum zara apni, kabhi tasveer to dekho,
De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansu,
Milli jo ishq mein, zara jageer to dekho,
Likha hai naam saahil ka shararat hai raqeboon ki,
Yeh khat mera nahi janaan, zara tehreer to dekho..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kese koi chupaaye aansuu,
Aakhir aankh main aaye aansuu,
Tujh ko yeh maloom nahin,
Kitne raat bahaaye aansuu,
Dard ki lazat aur barhi,
Jab aansuu main milaye aansuu,
Mene kaajal saaf kiya,
Aur palkon pe sajaye aansuu,
Us ne meri yaad main Rahi,
Kese aaj bahaaye aansuu..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta,
Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,
Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,
Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har baar mohabat mai khasaara nahi milta,
Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Insan main haiwaan* yahan bhi hai wahan bhi hai,
Allah nigehbaan yahan bhi hai wahan bhi hai,
Khoon-khawaar darindon ke faqat naam alag hain,
Har sheher beyaabaan yahan bhi hai wahan bhi hai,
Naaron ka sakoon, waadon ke ghar, khawbon ki khushiyan,
Bazaar main samaan yahan bhi hai wahan bhi hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Phir us ke jaatey hi yeh dil sunsaan ho kar reh geya,
Achaa bhala ik sheher tha veeraan ho kar reh geya,
Rut ne mere chaaron taraf kheenchey hisaar baam-o-dar,
Yeh sheher phir mere liye zindaaan* ho kar reh geya,
Kuch din mujhe awaz di logon ne us ke naam se,
Phir sheher bhar main woh meri pehchaan ho ker reh geya,
Ik khawab ho kar reh gayin gulshan se apni nisbtain,
Dil raizaa raizaa kaanch ka guldaan ho kar reh geya..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Pathar ke khuda, pathar ke sanam, pathar hi ke insaan paye hain,
Tum sheher-e-mohabbat kehtey ho, hum jaan bacha ke aye hain,
Hum soch rahe hain muddat se, ab umar guzaaren bhi to kahan,
Sehraa mein khushi ke phool nahin, shehron mein ghamon ke saye hain,
Honton pe tabassum halka sa, ankhon mein nami si aye Faqir,
Hum ehel-e-mohabbat per aksar aesey bhi zamaaney aye hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon,
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon,
Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat,
Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon,
Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar,
Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon,
Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain,
Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon,
Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai,
Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein,
Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein,
Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar,
Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein,
Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko,
Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein,
Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain,
Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein,
Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley,
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein,
Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil,
Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein,
Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main,
Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein,
Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi,
Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Teri mohabbat ka bojh dhhoney se reh geya hoon,
Mujhe yeh dukh hai main tera honey se reh geya hoon,
Mujhe bhi aati hai dunyaa dari bicharrney waley,
Magar main iss sanchey mein roney se reh geya hoon,
Kahin hoon mojood main bhi is dastaan mein lekin,
Teri zubaani beyaan honey se reh geya hoon,
Mere hadh-o-haal mukhtlif to nahin hain tujh se,
Magar main kyon tere jaisa honey se reh geya hoon,
Yeh khaak mere lahuu ki peyaasi hai aur Shehzaad,
Yahan main shaakh-e-gulaab bonay se reh geya hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Har kaam bigarrta hai hum jaison ka ho ho ke,
Un ko bhi koi poochey bethe hain jo ro ro ke,
Hum jaagney walon ko zindon main samajhte hain,
Mar jartey hain kitne hi meri tarah so so ke,
Daaman to hai daaman phir, phailana hi parta hai,
Yeh saaf nahi rehta dekha isey dho dho ke,
Jiss cheez se qurbat ho ajati hai doori bhi,
Ik shakhss ko paa hai ik shakhss ko kho kho ke,
Aye Saad chalo chorro kuch dair ko sasstaa* lo,
Yeh bojh hai sochon ka mar jao ge ddho* ddho ke..
 
Top