My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Ye Siyaasi Bayaan Thori Hai
Dar Sa Lagta Hai Kiun Nateejay Se
Ishq Hai Imtehaan Thori Hai
Chhorr Kar Chal Dya Hamain Yun Hee
Wo Koi Badgumaan Thori Hai
Teer Ki Ja Gulaab Kiun Na Milain
Zindagi Hai Kamaan Thori Hai
Koi Shikwah Karain Tou Kaisay Karain
Apne Mun Mein Zabaan Thori Hai
Ham Ko Takta Hai Jis Haqaarat Se
TU Koi Aasmaan Thori Hai
Hum Se Milnay Ko Chal Ke Aaye Magar
Is Qadar Meherbaan Thori Hai
Koi Basnay Laga Hai Is Mein “ Batool”
Dil Hai, Khaali Makaan Thori Hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tu buraa kyon manta hai meri har aik baat ka,
Tujh ko andaaza nahin shayed mere halaat ka,
Us ne ab ke mausmon ki is tarah taqseem ki,
Mere hissey mein na aya phall mere baghaat* ka,
Main pareshaan hi kahan apni pareshaani se hoon,
Mera sara dukh to hai bass teri kayenaat ka,
Jab yahan ke log sarey din ke sathi hain to phir,
Kon manzar dekhne aata hamaari raat ka,
Is tarah us ke dukhon ne mujh ko pathar kar diya,
Ab mujhe sadmaa nahin hota kisi ki baat ka,
Woh Shabana aaj kal mera mukhaalif* hai bohat,
Jo kabhi hissa hua karta tha meri zaat ka..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Chaand eid’on ka ho gayi ab to,
Mere honton pe ik hansi ab to,
Maut maangey se bhi nahin mitli,
Jaan leti hai zindagi ab to,
Ik haqeeqat se ashnaa kya huyi,
Saans lagti hai ajnabi ab to,
Shor karte huye mere dil pe,
Raaj karti hai khamoshi ab to,
Teri furqat ne thaam li gharriyan,
Lamha lamha hai ik saddi ab to,
Shazia iss qadar udaas ho kyon,
Khilne wali hai har kali ab to..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,
Apni dharrkan teri dehleez pe dhar atey hain,
Aik to hai ke teri chaap* to tarsey mera dil,
Warna panchhi bhi shaam ko ghar atey hain,
Jab se saahil pe kiya tu ne kinaara mujhse,
Joq-dr-joq* meri simt bhanwar atey hain,
Aap kehte hain karri dhoop main jalna kesa,
Ja’bjaa* raah main kitne hi shajar atey hain,
Jab se socha hai mene tujhe shab-e-furqat mein,
Kiss qadar chand sitarey mere ghar atey hain,
Zindagi jab bhi shab-e-hijar ke sanchey* mein dhali,
Us ki jaanib se bhi peighaam-e-seher atey hain,
Un se milte huye aksar mein Ghazal sochti hoon,
Kya woh aese hi hain jesa ke nazar atey hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,
Apni dharrkan teri dehleez pe dhar atey hain,
Aik to hai ke teri chaap* to tarsey mera dil,
Warna panchhi bhi shaam ko ghar atey hain,
Jab se saahil pe kiya tu ne kinaara mujhse,
Joq-dr-joq* meri simt bhanwar atey hain,
Aap kehte hain karri dhoop main jalna kesa,
Ja’bjaa* raah main kitne hi shajar atey hain,
Jab se socha hai mene tujhe shab-e-furqat mein,
Kiss qadar chand sitarey mere ghar atey hain,
Zindagi jab bhi shab-e-hijar ke sanchey* mein dhali,
Us ki jaanib se bhi peighaam-e-seher atey hain,
Un se milte huye aksar mein Ghazal sochti hoon,
Kya woh aese hi hain jesa ke nazar atey hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhss,
Meri mohabbaton se shanaasa tha aik shakss,
Aankhon ko us ke baad sujhayi nahin diya,
Aayiney bant’ta hua guzra tha aik shakhss,
Kal phir nazar bacha ke guzarna para humain,
Kal phir hamari raah main betha tha aik shakhss,
Ik ranj-o-gham ki bheerr muqabil khari thi aur,
Hungaama-e-hayaat mein tanha tha aik shakhss,
Mujh ko bhi dushmanon ki zaroorat thi sheher mein,
Mujh ko bhi apni jaan se pyara tha aik shakhss,
Tark-e-taluqaat pe naadim* na tha magar,
Rukhssat hua to toot ke roya tha aik shakhss,
Ansar woh khawb tha ya haqeeqat khabar nahin,
Bass itna yaad hai kahin dekha tha aik shakhss..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko,
Aur zamane ki nigahon se bacha le mujh ko,
Maanti hoon ke meri zaat main hain aib tamam,
Phir bhi haar apne galey ka tu bana le mujh ko,
Main hoon tasveer teri raah main, koi rond na de,
Dil ke sheeshey main mohabbat se saja le mujh ko,
Main to heera hoon magar kis ko hai pehchan meri,
Pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujh ko,
Us ke hote huye ab ban’na sanwarna kesa,
Apni chahat se kisi rang main dhaaley mujh ko,
Hijar ki dhoop main jalte huye ik muddat se,
Thak chuki hoon zara seene se laga ley mujh ko,
Zindagi mein aajey gi Sassi teri,
Jab bhi dil chahey tera pass bula le mujh ko..

add
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Zindagaani Se Pyaar Bhi Tou Nahi
Mout Ka Intezaar Bhi Tou Nahi
Kon Kehta Hai Kat Na Paaye Gi ?
Raat Hai Rahguzaar Bhi Tou Nahi
Os Gali Mein Chalay Tou Jaayein Magar
Zindagi Baar Baar Bhi Tou Nahi
Ham Ne Dekha Kahan Hai Suud-o-Ziyaa.n
Pyaar Hai Kaarobaar Bhi Tou Nahi
Pyaar Doulat Hai, Ye Sahi Hai Magar
Ba-Khuda Ham Ko Pyaar Bhi Tou Nahi
Khud Kalaami Se Thak Chukay Hain Bohat
Koi Ab Raazdaar Bhi Tou Nahi
Jaan Denay Ka Dar Hai Kis Ko Magar
Saamnay Koi Daar Bhi Tou Nahi
Ye Mohabbat Fazool Shay Hai “Batool”
Pehla Pehla Khumaar Bhi Tou Nahi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jab Saba Ne Kia Izhaar-e-Wafa
Phool Chup Chaap Bikharta Hee Gaya
Aag Bujhnay Lagi Jab Seenay Ki
Tou DhuwaaN Aankh Mein Bharta Hee Gaya
Aap Ne Sirf Maseehayi Ki
Dard Ik Yun Had Se Guzarta Hee Gaya
Jis Ne Bhee Maanga Mohabbat Ka Sila
Dil Ko HaathoN Se Wo Malta Hee Gaya
Koi TofaaN Tou Aaya Hee Nahee
Sheher-e-JaaN Phir Bhee Ujarta Hee Gaya
Jis Ne Bhee Ishq Ki RaahoN Ko Chuna…….
Dasht Aabaad Wo Karta Hee Gaya………!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jab koi naik kaam karte hain,
Jaane man tere naam karte hain,
Tere chehre se dhoop lete hain,
Teri zulfon mein shaam karte hain,
Kis qadar tang hoon mohabbat se,
Log yeh kese kaam karte hain,
Un ki peshaaniyan chamakti hain,
Jo mohabbat ko aam karte hain,
Dil ke dalaa’n mein sajaa kar yaad,
Jashan ka ehtamaam karte hain,
Sochte hain tujhe wuzzu kar ke,
Yu’n tera ehtraam karte hain,
Hum se hi ibtidaa huyi jana’n,
Hum hi ab ehtamaam karte hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Suraag Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe
Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe ?
Mein Os Ki Baaton Mein Gham Apna Bhool Jata Magar
Wo Shaks Ronay Laga Khud Hansa Hansa Ke Mujhe
Ose Yaqeen Ke Mein Jaan De Na Paon Ga
Mujhe Ye Khauf Ke Roye Ga Aazma Ke Mujhe
Jo Apnay Loogon Mein Meri Hansi Uraata Raha
Qareeb Aaya Tou Roya Galay Laga Ke Mujhe
Mein Apni Qabar Mein Mahu-e-Azaab Tha Laikin
Zamaana Khush Howa Deewaaron Pe Saja Ke Mujhe
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jub Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye…..
Zakham Phir Yaad Puranay Aye……..!
Phir Mujhe TooT Ke Chaha Osne…..
Phir Bicharnay kE Zamanay Aye…..
Muskura Kar Hamain Milnay Walay….
Zindagi Bhar Ko Rulanay Aye…….
Kitni Mehroom Thee Neendain Unki…..
Khwaab Bhi Jin Ko Jaganay Aye…..
Teri Chahat Ne Tehernay Na Dia….
Raah Mein Kitnay Thikanay Aye…..
Tu Nahee Hai TOu Hawa Ka Jhonka ….
Ghar Ki Zanjeer Hilanay Aye…….
Isi Umeed Pe Jaago YaaroN….
Ab Wo Kis Waqt Najanay Aye…
Raas Aya Jinhain Sehra …..
Unki Qismat Mein Khazanay Aye….
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
wOhii Gardishien wOhii Paich O Kham Teray Baad Bhii
wOhi hOsley Meray Dum Ba Dum Teray Baad Bhii
Meray Baad Kitna Hii ROop TU Ney Badal Liya
Main wOhi hOn Ab Bhi Teri Qasam Teray Baad Bhii
TU Kisi Key Qalb e AarzOo Mein Tou Dhal Gya
Main Na hO Saka Kabhi KhUd Mein Zum Teray Baad Bhi
TU Chala Gya Sabhi QehqahOn Ko Samait Kar
Meray Pass hAi Mera Zarf e Gham Teray Baad Bhii
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jane anjane mein us ka naam aya hai,
Shayad hawa ke sang ye paigham aya hai,
Kise ke yaad satate hai us ko,
ye hi muhabbat ka anjaam aya hai,
Wo sari raat jagta hai hijar me kis ke,
Us ke aansoun ka ek jaam aya hai,
Jab us ke khushi me bhi shareek na the hum,
Phir us k pagalpan ka hum pr ilzam aya hai,
wo dunya se is qadar kiu roth gya hai,
Mujhe laga hamre jane se us ko itminan aya hai,
Phir akhir kiu wo aj sare aam aya hai,
Us ke muhabbat ka anjam aya hai…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay
Hum Tujhay Bhool Kar Bhi Daikhain Gay
Zakhm Per Sabt Kar Na Lab Apnay
Zakhm Ko Chaara Gar Bhi Daikhain Gay
Hijr Ki Shab Say Honslay Apnay
Bach Gaye Tou Sahar Bhi Daikhain Gay
Raat Honay Do,Loog Sonay Do
Chaand Ko Dar-Ba-Dar Bhi Daikhain Gay
Ik Dua Dil Say Chup Kay Maangi Thi
Us Dua Ka Asar Bhi Daikhain Gay
Ik Puraana Safar Tou Khatam Howa
Ik Nayi Rahguzar Bhi Daikhain Gay
Gin Tou Lainay Do Baykafan Laashein
Bay Sada Baam-o-Dar Bhi Daikhain Gay
Chairr Kar Dil Ki Raakh Ko
Ab Ke Raks-e-Sharar Bhi Daikhain Gay
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ajeeb Shakhs Tha..Jaaney Kia Chahta Tha…
Khud Se Juda Hokar Kia Maar Daalna Chahta Tha…?
Saahil k Rait Pe Wo Likhta Tha Mera Naam….
Phir Usay Lehron Se Bachaana Bhi Chahta Tha…!
Wo Dard Deta Tha Mujhe Ji Bhar Ke….
Aur Mujhe Hanste Hue Dekhna Bhi Chahta Tha…!
Apni Saari Wafaaein Wo Kisi Aur K Naam Kar Key…
Mujh Se Wo Wafa Ki Umeed Bhi Chahta Tha…!
Parindon K Paron Ko Phir Kaat Kar Wo…
Phir Un Ko Urta Hua Dekhna Bhi Chahta Tha…!
Meri Qabar Pe Aaker Raqeeb K Sang Wo…
Mujhe Sukoon Se Leta Hua Dekhna Bhi Chahta Tha…!
Mujhe Wo Paakar Rakhna Chahta Tha Hamesha…
Aur Khud Kisi Aur Ka Ho Jana Bhi Chahta Tha..!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,
Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,
Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,
Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,
Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,
Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,
Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,
Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,
Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,
Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,
Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,
Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,
Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab
Aur Os Per Ye Be Rukhi Sahaab
Pyaar Aur Wo Bhee Ham Karain Tum Se ?
Ham Ko Pyaari Hai Zindagi Sahaab
Ab Wo Saanson Ka Silsila Bhee Nahi
Le Lo Jo Hain Bachi Kuchi Sahaab
Tum Jataatay Ho Pyaar…..Vyaar Magar
Ham Ko Lagtay Ho Ajnabi Sahaab
Is Mein Kuch Aap Ka Bhi Hissa Hai
Ye Jo Palkon Pe Hai Nami Sahaab
Ye Andheron Ka Ik Tamaasha Hai
Aap Kehtay Ho Roshni Sahaab
Ab Wo Qisson Mein Mil Sakain Shaayad
Pehlay Hotay Thay Aadmi Sahaan
Aaj Kal Ho Kis Ke Chakkar Mein ?
Baat Loogon Se Ye Suni Sahaab
Aap Hain Bawafa, Tou Yun Hee Sahi
Aap Ki Baat Maan Li Sahaab
Tum Ko Bhoolay Tou Ye Laga Ham Ko
Dard Mein Kuch Howi Kami Sahaab
Dushmani Ne Thakaa Dia Ham Ko
Ham Se Karlo Ab Dosti Sahaab
Baat, Kia Hai Jo Khaaye Jaati Hai
Tum Ne Poochi Na Kuch Kahi Sahaab
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Os Ne Gulaab Chooh Ke Jo Dekha Meri Taraf………
Aisa Laga GUlaab Ka Mosam Thehar Gaya…………..!
Soye Tou Shab Ke Qaafilay Aankhon Mein Chal Paray………..
Jaagay Tou Jaisay Khwaab Ka Mausam Thehar Gaya………..!
Pal Bhar Mere Sawaal Ka Mausam Nahee Raha……….
Laikin Tere Jawaab Ka Mausam Thehar Gaya……………!
Os Ne Kaha Aankh Mein Gubaar Ka Mosam Kiun ????
Mein Ne Kaha Azaab Ka Mosam Thehar Gaya……………!
Sehraa Mein Wo Saraab Ki Soorat Mila……………
Phir Yun Howa Saraab Ka Mausam Thehar Gaya……!
 
Top