My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay
Hum ab bhe jo zinda hain ehsaan tumhara hay
Jab chhup chhup rotay hain niendon ko tarastay hain
Aisay main humain teri yaadon ka sahara hay
Kehtay hain mohabbat main jaan daitay hain dil walay
Iss rah saiy guzernay ka armaan humara hay
Ab beech sumandar main aaiy hain tau kiya sochain
Kis simt koe kishti kis simt kinara hay
Koch phool k patton main kaantay bhe tau hotay hain
Phir kiya hay ghalat jeewan hum nay jo guzara hay
Manzil he nehi paatay jo chuntay hain rah-e-ishq
Iss payar ke baazi main ik roz khasara hay
Ik rog hay tanhaie ik rog mohabbat hay
Donon ke qarabat nay ik shakhs ko maara hay
Hum dard k maron ke pooch na khaber shaukat
Din raat tarapnay main bas apna guzara hay
 
Kisi Mehwish Se Ulfat Ho Gai Kiya?
Kahin, Khud Se Adaawat Ho Gai Kiya?
Tere Haathon Mein Parcham Ishq Ka Hai
Zamaane Se Baghawat Ho Gai Kiya?
Bohot Shereen Sukhan, Shereen Dahen Ho
Muhabbat Ek Aadat Ho Gai Kiya?
Sajaaye Aankh Mein Furqat Khare Ho
Milan Ki Aas Rukhsat Ho Gai Kiya?
Dil-e-Nadaan Ki Dharkan Barh Gai Hai
Judaai Apni Qismat Ho Gai Kiya?
Kaf-e-Afsos Kaisaa “Zain Sahib”
Lagi Dil Ki, Qayamat Ho Gai Kiya.
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kaha us ne banayen barff ka ik khoobsurat ghar,
Kaha mene december mein hawayen sansanti hain,
Kaha us ne december ki chamakti chandni dekhi,
Kaha mene tere baad mene kuch nahin dekha,
Kaha us ne december mein teri yadain satati hain,
Kaha mene meri jana mohabbat kab bicharti hai,
Kaha usne teri yaadain jalati hain mera aanchal,
Kaha mene december ko chalo phir se bulate hain..
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Teri Yaad Hai Andhere Mein Ujalay Ki Tarah
Kisi Haseena Ke Bikhray Howay Baalon Ki Tarah
Ghabra Jata Hun Jub Bhe Chup Rahon Isi Lye
Mein Bolta Rehta Hun Duniya Waalon Ki Tarah
Apne Hissay Ke Dukh Bunti Rehti Hai Zindagi
Band Kamray Mein Lagay Howay Jaalon Ki Tarah
Wo Mujhe Har Haal Mein Apnaana Chahti Thi
Magar Raddi Mein Biktay Howay Risaalon Ki Tarah
Tanhaayian Chup Chaap Dabooti Raheen Aur Mein
Shor Machata Reh Gaya Nadi Naalon Ki Tarah
Ek Chehra Sadaa Mere Saath Raha….
Kubhi Lamhay Ki Tarah Kubhi Saalon Ki Tarah….!
 
Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,
Hum apna koi zakham dikhaya nahin karta,
Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,
Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,
Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,
Jo pairr barre hote hain saaya nahin karte,
Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,
Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahin karte,
Yeh khel mohabbat ka hai phir soch lo Arshad,
Kho dete hain yahan sab kuch paaya nahin karte..
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mohabbat Ka Nagar Abaad Rakhna,
Bilaa Khauf-o-Hatar Abaad Rakhna,
Mohabbat Mein Koi Asaan Nahin,
Wafaa Ki Reh-Guzar Abaaad Rakhna,
Tum Apni Jagti Ankhon Mein Jaana,
Koi Khawab-e-Seher Abaad Rakhna,
Udaasi Keh Rahi Hai Sheher-e-Jaan Ki,
Hamare Baam-O-Dar Abaad Rakhna,
Kisi Ki Yaad Mein Din Raat Yaawar,
Deyaar-e-Chashm-e-Tar Abad Rakhna..
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Ab Intezaar K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Teri Nigaah Nay Zalim Kabhi Ye Socha Hai,
Teri Nigaah K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Naqaab Un Ka Ulatna To Chaahta Hoon Magar,
Biqarr Gaye To Nazaaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Muqaabla Hai Tere Husn Ka Bahaaron Say,
Naa_Jaanay Aaj Bahaaron Ka Haal Kya Ho Ga ….
 
Neend Aankhon Main Musallat Nahi Hone Deta
Wo Mera Khwaab Mukammal Nahi Hone Deta
Aankh Ke Sheesh-Mehal Se Wo Kisi Bhi Lamhe
Apni Tasveer Ko Ojhal Nahi Hone Deta
Raabta Bhi Nahi Rakhta Hai Sar-e-Wasl Koi
Or Ta’lluq Bhi Muattal Nahi Hone Deta
Wo Jo Aik Sheher Hai Pani Ke Kinaare
Apne Atraaf Main Dal-Dal Nahi Hone Deta
Dil Tou Kehta Hai Ose Lout Ke Aana Hai Yahan Hee
Ye Dilasa Hee Tou Hai Jo Mujhe Pagal Nahi Hone Deta
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai
Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai
Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai
Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai
Wohi Tou “Zaira” Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai,
Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai,
Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai,
Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai,
Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye,
Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai,
Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta,
Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai,
Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se,
Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai..
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….
Jaanay Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi …..
Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi…..
Subah Hotay Hee Mar Gayi Hogi……
Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se….
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi……
Ik Darya Ke Rukh Badaltay Hee….
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi……
Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha…..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi…..
Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein….
Oski Soorat Nikhar Gayi Hogi…..
Ya Ta’luq Na Nibh Saka Os se….
Ya TAbiyat Hee Bhar Gayi Hogi…..!
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya
Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya
Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya
Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh
 
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Na he ibteda pay udaas hon na he inteha pay malaal hay
Bina wasl kaisay guzer gaie mera zindagi say sawaal hay
Tujhay poojnay main guzaar dein main nay sadiyan lail-o-nahar ke
Teray ishq say bandhi hay jo meri chah laa zawaal hay
Meri chahaton say baikhaber tou waadiyun main khhoo gaya
Teri yaad ka ik qaafla meri zaat main badhaal hay
Kaie uljhanoN say sujee hoe meri zindagi ke lakeer main
Kehin qarbay mazi-o-hal hay kehin moj-e-dard-e-wisaal hay
Kabhi khawhishon ke talab mujhay kabhi baiyaqeeni ka dar mujhay
Mera nafs jis simt bhe chalay wohi rusta mera zawaal hay
Teray aks main pinhaan hon main teray dard say jurda hon main
Tujhay soochna tau azeem hay tujhay pana kasb-e-muhaal hay
Kehin ishq hay kehin nuferatain kehin baibasi ke udaasiyaN
Yehi zindagi ke hain raahatain yehi zindagi ka wabaal hay
Kisay dil say shaukat juda krain kisay dil main apnay panah dain
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Wo jo khud Pairvi-e-Ehd-e-Wafa karti thi
Mujse milti thi to Talqeen-e-Wafa karti thi…
Us k Daman mein koi Phool nhi mery liay,
Jo meri Tangi-e-Daman ka gila karti thi…
Aj jo usko bulaya to wo gumsum he rahi,
Dil dharakny ki jo Awaz suna karti thi…
Aj wo meri har ek baat k Ma’ani poochy,
Jo meri soch ki Tafseer likha karti thi…
Uski Dehlez pe sadyon se khara hn
“ZayN”
Mujhse milny k jo Lamhat gina karti thi…
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Khwaabon Ka Ik Jahaan Mujhe De Gaya Koi
Mitti Ka Ik Makaan Mujhe De Gaya Koi
Wo Dil Mein Reh Gaya Hai Ke Dil Se Utar Gaya
Kitna Ajab Gumaan Mujhe De Gaya Koi
Sehra Pe Apnay Ghar Ka Pata Likh Gaya Tha Wo
Mit’ta Howa Nishaan Mujhe De Gaya Koi
Maah-o-Najoom Noch Ke, Soraj Bujha Diya
Phir Saara Aasmaan Mujhe De Gaya Koi
Kishti Mein Chhaid Osne Kia Aur Oske Baad
Kaaghaz Ka Baadbaan Mujhe De Gaya Koi
Osne Gulaab Haath Mein Le Kar Kahaa Batool
Khushbuu Ka Tarjumaan Mujhe De Gaya Koi
 
Top