My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Aaj phir us nay mera haal poocha hai,
Kitna mushkil sawaal poocha hai,
Hichkion ka ajeeb lehja tha,
Baat ko taal taal poocha hai,,
Tum Mujhe chor to na jao ge.
Mujh say Mera khayaal poocha hai,
Aansuon ki zubaan mein uss ne,
Jo bhi poocha kamaal poocha hai.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun
Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun
Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein
Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun
Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhee Shirkat-e-Gair
TU Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun
Justuju Ke Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun
Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhee Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun
Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhee Suno
Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun
Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun
Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun
Mera Mansab Nahee Paighambar-e-Fun Bannay Ka
Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun
Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai
Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,
Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,
Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,
Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,
Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,
Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Pyar ka geet sunaye to kuch baat bane,
Aane wala aaye to kuch baat bane,
Aksar rote rote meri raat katey,
Woh aakar behlaye to kuch baat bane,
Dil kya toota pyar ki kaliyan rooth gayin,
Koi kali muskaaye to kuch baat bane,
Kab tak us ko dhoondon kali raton mein,
Jugnu hath mein aaye to kuch baat bane,
Dil mein jo behta hai daryaa yadon ka,
Aankhon se beh jaye to kuch baat bane,
Us ki chahat us ke us ke pyar mein aaj Hira,
Deewani kehlaaye to kuch baat bane…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya
Ik Haqeeqat Wo Khwaab Banta Gaya
Aks Paani Mein Dekhnay Ke Lye
Kaisay Chehra Gulaab Banta Gaya
Ham Ne Koi Sawaal Tak Na Kia
Wo Mukammal Jawaab Banta Gaya
Pehlay Unwaan Tha Wafa Ka Jo Shakhs
Baad Mein Wo Kitaab Banta Gaya
Neend Ka Tootna Bhee Apni Jaga
Khwaab Bhee Ek Azaab Banta Gaya
Dekhnay Mein Tha Ek Lafz Magar
Ishq Poora Nisaab Banta Gaya
Ham Haqeeqat Samajh Rahay Thay Jisay
Rafta Rafta Saraab Banta Gaya
Saaray Aalam Mein Ham Howay Tanha
Sab Ka Wo Intekhaab Banta Gaya
Pehlay Dil Torna Bura Tha Batool
Baad Mein Ye Sawaab Banta Gaya
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Khaali Kaaghaz Pe Hurf Sajaaya Karta Tha
Tanhaai Main Sheher Basaaya Karta Tha
Kaisa Paagal Shakhs Tha Saari Saari Raat
Deewaaron Ko Dard Sunaaya Karta Tha
Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baaton Par
Aur Phir Khud Ko Aap Hansaaya Karta Tha
Jalnay Lagti Lahoo Main Judaai Tou Ro Daita
Tanhaaion Ki Khaak Uraaya Karta Tha
Chehray Say Tera Rog Chupaata Tou Hans Daita
Aankhon Main Teri Yaad Manaaya Karta Tha
Yaaro Be Waqt Hua Pyaar Usay Lay Dooba
Jo Loogon Ko Pyaar K Gur Sikhaaya Karta Tha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai,
Kabhi rota hai kabhi mujh ko rulaa deta hai,
Kaun aata hai meri ankhon mein jugnu le ker,
Khawhishain kaun mere dil mein jaga deta hai,
Pehle karta hai bare naaz se be-barg o samar,
Phir meri rooh mein phool woh khilaa deta hai,
Woh mera chand meri ankhon se aujhal ho kar,
Ik sitara meri palkon pe sajaa deta hai,
Us ki har roz ki mulaqat se dar lagta hai,
Roz milta hai to ik zakham neya deta hai,
Apni qurbat mein bhi rakhta hai woh furqat ki fizaa,
Mera apna hi to hai mujh ko sazaa deta hai,
Aatish-e-gham se mere dil ko jalaata hai Nadeem,
Woh ajab shakhs hai sholay ko hawaa deta hai…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha,
Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha,
Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke,
Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha,
Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye,
So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha,
Qabal iske ke dono bad’gumani mein ulajh jate,
Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha,
Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin,
Jo tum bichre tu phir mera bikhar jana zaruri tha.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Sheher Mein Teri Paziraai Na Honay Dongi
TU Mera Hai Tujhay Harjaai Na Honay Dongi
Chup Rahon Gi Jo Kahay Ga Koi Tujh Ko Majnoon
Is Sy Bardh Kar Teri Ruswaai Na Honay Dongi
Yaad Aaon Gi Tujhay Achhay Dinon Ki Soorat
Main Mukammal Teri Tanhaai Na Honay Dongi
Janti Hon Ke Mera Hona Hay Us Say Mashroot
Apnay Dushman Ki Main Paspaai Na Honay Dongi
Achhay Lagtay Hain Mujh Ko Parinday Lekin
Us Ko Unka Bhi Tamannaai Na Honay Dongi..!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tamam sheher ko heraan karne wala hoon,
Main apne hone ka aelaan karne wala hoon,
Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan,
Safar ko aur bhi asaan karne wala hoon,
Yeh sisilsa meri ankhon pe hi nahin mokoof,
Mein tera sheher bhi viraan karne wala hoon,
Abhi woh morr nahin aya is kahani mein,
Jab mein sab ko pareshaan karne wala hoon,
Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha,
Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon,
Tamaam umar kahan hai woh meri kismat mein,
Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tamam sheher ko heraan karne wala hoon,
Main apne hone ka aelaan karne wala hoon,
Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan,
Safar ko aur bhi asaan karne wala hoon,
Yeh sisilsa meri ankhon pe hi nahin mokoof,
Mein tera sheher bhi viraan karne wala hoon,
Abhi woh morr nahin aya is kahani mein,
Jab mein sab ko pareshaan karne wala hoon,
Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha,
Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon,
Tamaam umar kahan hai woh meri kismat mein,
Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mohabat bhari daastan chahta hoon,
Main tum sa koi meherban chahta hoan,
Na ho jis mein koi bhi dushman kisi ka,
Mohabbat ka aesa jahaan chahta hoon,
Wohi qehqahey, jhamgatey doston ke,
Mein phir wohi shokhiyan chahta hoon,
Mohabbat ki chashm-e-karam karde mujh per,
Karri dhoop mein saayebaan chahta hoon,
Wohi raat joban pe aayi huyi,
Sitaron ki woh kehkashan chahta hoon,
Bari der tak sahilon pe tehelna,
Gayi rut ka pehle samaan chahta hoon,
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Chahaton ke moasum main raahatain bhe hoti hain
Dard bhe tau hota hay shikayetain bhe hoti hain
Payar ke masaafat main oonchay neechay ruston per
Bay waja nazar ohjhal rukawatain bhe hoti hain
Hijer k andhairay bhe zindagi main aatay hain
Wasl k ujaalon say adaawatain bhe hoti hain
Dil main jub bhe chubh jaaien khaar zindagani k
Dermiyan dilon k dau wazaahatain bhe hoti hain
Ashk bhe tau girtay hain laazawal rishton main
Dard dainay wali koch rafaaqatain bhe hoti hain
Payar main abhi onn k inteha nehi aaie
Ishq main zaroorat ke milaawatain bhe hoti hain
Ruqs jab bhe karti hay chaandni andhairon main
Rahberon ke aankhon main sharaartain bhe hoti hain
Bay hijab karti hay, shaukat nazer zamanay ke
Bay hisaab loogon ke inaayetain bhe hoti hain
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jazbon ko meethi neend sula to nahin diya,
Phir apna aap hum ne bhula to nahin diya,
Zinda ho tum bhi tark-e-taluq ke bawjood,
Hum ne bhi apna aap jalaa to nahin diya,
Woh laut ker jab aaya to kehne laga humain,
Aankhon mein aur khawab sajaa to nahin diya ?
Kuch manzilain hain aur bhi raah-e-hayaat mein,
Jeewan isi gali mein lutaa to nahin diya,
Arshad! Bhuje bhuje nazar ate ho aaj kal,
Roshan diya wafaa ka bhujaa to nahin diya…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jheel sa mujh ko gehra laga tha,
Jab woh pehli baar mila tha,
Har rasta, khushbu rusta tha,
Woh mere hamraah chala tha,

Ankhon mein kajal phela tha,
Chahat ka khamosh sila tha,

Hum dono mein rang usi ka,
Raste mein jo phool khila tha,

Kese bhula doon us ko Arshad,
Woh tou mera aayina tha..


 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,
Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,
Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,
Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kya karna..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Teray Hijr Mein Aur Mujhy Kya Kerna Hai ???
Teray Naam Kitaabein Likhta Rehta Hun…..
Teri Zulf K Saaye Dheyaan Mein Rehtay Hain
Main Subhon Ko Shaamein Likhta Rehta Hun
Apnay Pyaar Ki Phool Mehakti Raahon Mein
Loogon Ko Deewaarein Likhta Rehta Hun
Tujh Say Mil Ker Saaray Dukh Dohraaon Ga
Hijr Ki Saari Baatein Likhta Rehta Hun
Sokhay Phool, Kitaabein, Zakham Judai K
Teri Sub Soghaatein Likhta Rehta Hun
Us Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hain
Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hun….
 
Top