My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Judaa taarey se taara ho geya naa,
Bicharrney ka ishara ho geya naa,
Sikhaya tha jisey dunya main jeena,
Wohi duniya ko pyara ho geya naa,
Kaha bhi tha mohabbat tum na karna,
Khasaara hi khasaara ho geya na,
Bohat hi door apni pohanch se,
Rafaqat ka kinara ho geya naa,
Jo jaan se pyara kabhi tha,
Wohi dushman hamara ho geya naa,,
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mohabbat ki Kahani me koi Tarmeem Mat Krna,
Mujhe Tm Torr Dena pr Mujhe Taqseem Mat Krna,
Boht Honge Humaray Baad Daawa-e-Mohabbat krne Wale,
Yaad-e-Wafa Rakhna Ksi ko Tasleem Mat Krna,
Agar Lafzon me Aae Nazar Chehra Mera,
Chupke se Choo Lena Magr Toheen Mat Krna….
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Agar tu mauj hai to phir,
Main tere sath behtaa hoon,
Agar tu chaand hai to phir,
Main tere sath rehta hoon,
Agar tu paas hai to phir,
Main dil ki baat kehta hoon,
Agar tu door hai to phir,
Main tera hijar sehta hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mat pukaaro humain zindagi dekh kar,
Aankh bhar ati hai ab khushi dekh kar,
Dekh le, ik samandar sa main ho geya,
Teri aankhon mein thori nammi dekh kar,
Jis ko chehron ke behroop se bair* tha,
Hanss raha hai meri saadgi dekh kar,
Dard ki shamaa jalti huyi bujh gayi,
Koi aaya nahin roshni dekh kar,
Barhaaa mujh ko Arshad tere haal par,
Reham aaya bohat bebassi dekh kar..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Phir mohabbat ka haadsa hoga,
Aaj kal roz tu sanwarta hoga,
Yeh tera husn hai qayamat haiz,
Toot kar aayina bikharta hoga,
Hum ne jis khawb ki tamanna ki,
Jaaney kis chashm pe utarta hoga,
Kya yehi sheher khawb hai jis me,
Aadmi aadmi se darta hoga..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,
Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye,
Aa dekh tujhse log jo rehte they door door,
Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye,
Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley,
Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye,
Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya,
Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye,
Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log,
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye,
Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar,
Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kya khabar kab hath mera chorr de,
Mujh ko adhey rastey se morr de,
Main kahoon tujh se ke mere sath chal,
Tu kahe, ab mera sath chorr de,
Har gharri dekhe yeh tera rasta,
Mera rishta mere dil se jorr de,
Kuch nahin tera pata ke bewafa,
Shayed ab ke aabley bhi phorr de,
Kaanch ki deewar sa hai mera dil,
Berukhi se dekh usko, torr de..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed,
Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed,
Halqat-e-yaar main jis haar ke charchey hain bohat,
Main woh baazi kabhi khelaa bhi nahin tha shayed,
Zeest karne ke sab adaab usey azbar they,
Mujh ko marney ka saleeqa bhi nahin tha shayed,
Khaak urratey huye bazaron mein dekha sab ne,
Main kabhi ghar se nikla bhi nahin tha shayed,
Us ki ankhon mein bashaarat thi naye khawbon ki,
Main usey dekh ke chonka bhi nahin tha shayed,
Aik baadal ke mere naam se mansoob hua,
Mere sehraa main to barsaa bhi nahin tha shayed..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Biphri* mojain, door sahil, ik sahara chahiye,
Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye,

Doobney waley ko ik harf-e-tassali tha bohat,
Doobney waley ko tinkey ka sahara chhaiye,

Larr na paaon ga ke dunya bhar ke gham hain samney,
Sath mujh tanhaa ko ab har dam tumhara chahiye,

Kis ko ho gi jaan ki parwaah phir aye jaan-e-jaan,
Ik zara bass teri nazron ka ishara chahiye,

Ishq hai deewangi ka naam dooja dosto,
Jis ko chahain har gharri uss ka nazara chahiye..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Sara din main aik chehra sochta rehta hoon,
Jis ko dekha nahin hai, us ko dekhta rehta hoon,
Aankhain rehen parri hain jis ke hijer mein sadiyon se,
Aayinon mein ussi ka akss choomta rehta hoon,
Sabzz parindon waley saahil ki tabeer ki khatir,
Main ik khawb ko apne khawb sunaata rehta hoon,
Wasl ke rang, shanaasha khushbu, phaillay chaaron aur,
Shaam sawerey un ke peechey chalta rehta hoon,
Dil ka dard jaganey wali aik sadaa aur main,
Apne hath mein aik lakeer si dhoondta rehta hoon,
Ik awaaz main shaamil kesi awaazain hain Ataa,
Kya kuch yaad aata hai, kya kuch bhoolta rehta hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti,
Us se dekh kar nazreen churaayi hoti,
Na phoolon me khoshbu samayi hoti,
Us se milte to bus larai hooti,
Wo hoti ek zalim ustani jaisi,
Us ke samne sirf parhayi hoti,
Hoti rah-e-mohobat bus tanha,
Kanton se har shay sajayi hoti,
Be’rukhi be muravat adaao se,
Kuch milte yun ke ruswayi hoti,
Guzar yun jate kareeb se Aamir,
Ke ghairon ke jaisi judayi hoti..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Khushbu’on ke nazool jesa tha,
Woh jo ik shakhss phool jesa tha,
Hum zamaney ko le ker kya kartey,
Us ke qadmon ki dhool jesa tha,
Main usey bhool hi nahin paati,
Woh meri pehli bhool jesa tha,
Us ko paana to yun bhi mushkil tha,
Aap apne khasool jesa tha,
Sofia main bhi thi anaa ki tarah,
Woh bhi apne asool jesa tha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe,
Acha tha jo bhi shakhs woh acha laga mujhe,
Barhtey huye pyar ko us din pe waar doon,
Karte they baat baat par jab woh khafaa mujhe,
Ruswaayion ke khauf se woh kyon juda hua,
Uryaan tha us ka jism to woh pehnta mujhe,
Ghairon se poochta raha mere khuloos ko,
Barhtaa suni sunaayi se to dekhta mujhe,
Naadim hoon aik shakhss ko manoos dekh kar,
Na janey kis kheyal se chaha geya mujhe,
Ussi shauq se main aap gir paraa,
Jab yeh suna ke “thaamna saaqi zara mujhe”..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Woh jis pe umar lagi mujhe bananey mein,
Usi ka hath hai shamil mujhe mitaney mein,
Har aik morr pe us ne daghaa diya mujh ko,
Jisey main apna samjhta raha zamaney mein,
Ajeeb hai ke yeh khud hi bhujana chahti hai,
Razaa hawaa ki thi shamil diya jalaney mein..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bisaat e umer per mujh ko khasaara ho rha tha,
Main sooraj reh chuka tha, ab sitara ho rha tha,
Bazahir khaak k urrnay ki batain ho rahi theen,
Haqeeqat main meri jaanib ishaara ho rha tha,
Guzaaray ja rhay thay meri aankhon say manaazir,
Or is tarteeb say mera nazaara ho rha tha,
Hmaraz khaal o khad nay teri aankhain dekh li theen,
So aaeenay main pathar aashkaara ho rha tha,
Bulandi ki sdaain door hoti ja rahi theen,
Nashebon say mujhay aisa eshaara ho rha tha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Apne hathon se hi pathar hi bana li aankhain,
Hum ne chehre pe kisi taur saja li aankhain,
Apne hi ghar mein kya khoon kharaba aesa,
Bhai kehte hain bhai ki nikalin aankhain,
Dhoop ko dekh ke chaaon ka lagaya khaiyma*,
Saaye ko dekh ke maathey pe saja li aankhain,
Itni ankhon ka tha ankhon mein thehrna mushkil,
Hum ne is waastey har ik se chura li aankhain,
Jesi ankhon ke tassavur mein phira katte hain,
Hum ne kaghaz pe Hassan wesi bana li aankhain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Go kathan hai teyy karna umar ka safar tanha,
Laut kar na dekhoon ga, chal parra agar tanha,
Sach hai umar bhar kon kiska sath deta hai,
Gham bhi ho geya rukhsat dil ko chorr kar tanha,
Hai to wajah-e-ruswaayi meri hamraahi lekin,
Raaston mein khatraa hai jao gi kidhar tanha,
Aye Shaoor is ghar mein iss bharey ghar mein,
Tujh sa zindaa dil aur is qadar tanhaa..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Gham chupaana bhi to asaan nahin,
Ke sunaana bhi to asaan nahin,
Aatey aatey hi kabhi ayen ge,
Un ka aana bhi to asaan nahin,
Ab mere haal pe rotey kyon ho,
Jee dukhana bhi to asaan nahin,
Kya karain gar na karain yaad unko,
Bhool jana bhi to asaan nahin,
Zindagi Saif museebat hi sahi,
Jee se jana bhi to asaan nahin..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga,
Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga,
Neend to aaney ko thi per dil pichey qissay le betha,
Ab khud ko be’waqt sulaney mein kuch waqt lage ga,
Us ka sath ab tanhai ko karte hai aur zeyada,
Par yeh baat usey samjhaney mein kuch waqt lage ga,
Akhir humain bhi laut kar ik din ghar ko jana hai,
Lekin itni door se aney mein kuch waqt lage ga,
Shayar hain yeh sochna hoga “kese sab kuch kehna hai”,
Dil ki baat labon tak laney mein kuch waqt lage ga,
Yeh mat samjho dunya walo thak kar beth gaye hum,
Pichli chotton ko sehlaaney mein kuch waqt lage ga,
Itni jaldi kya Shabnum tum ko waapis janey ki,
Kaam yeh dunyaa ke nibtaaney mein kuch waqt lage ga..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Palkon pe chaand sitarey sajaney ki aarzu,
Iss ko hajoom-e-gham mein bhulaney ki aarzu,
Phir ishq ke hisaar* mein le aayi hai humain,
Dasht-e-wafaa main khaak urraney ki aarzu,
Phir us ke hadh-o-haal kisi paikar main dhaalna,
Phir us ko sheher-e-dil main basaaney ki aarzu,
Jis ke liye main sarey zamaney se katt gayi,
Uss aik shakhss ko hai zamaney ki aarzu,
Shab bhar na jaane kis liye roshan rahi Qamar,
Kattiya main ik chiraagh jalaney ki aarzu..
 
Top