My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jahan jahan barsaat uterti daikhi hai,
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai,
Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha,
Aur phir iss dil se dunya darti dekhi hai,
Dil ke gehray sannatay main raaton ko,
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai,
Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi,
Hum ne apni aankhon marti dekhi hai…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Chahton ki chandni thi hijar ka saya na tha,
Tujh se hatt kar sochtey woh marhala aya na tha,
Arzoo thi be’niyaz lafz o maayini un dinon,
Ab woh naghmaa hai labon per jo kabhi gaya na tha,
Band they sab dareechey band hi rehne diye,
Thi anaa hi meri dushman, mera hamsaaya na tha,
Waqt hi me’meher tha, halaat hi be’faiz they,
Kon sa gham tha jo Mohsin hum ne apnaaya na tha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,
Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi,
Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain,
Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi,
Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee,
Ab jo hai mujh pe inaayat kabhi aesi to na thi,
Ab to har waqt hi maathey per shikan rehti hai,
Aayina dekhiye, surat kabhi aesi to na thi,
Kuch to hai aap ke andaaz-e-sitam ka baayes,
Aaye din shikwa shikayat kabhi aesi to na thi,
Hijar mein aap ne ik umar guzaari hai Naseer,
Beqarari ki yeh haalat kabhi aesi to na thi..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Dekhoon ayina tu teray akss ka gumaan hota hai,
Meri ankhoon main teray chehray ka samaan hota hai,
Youn teri khoj main sahra ka badal ban ke,
Meray kadmon ka safar pher say rawan hota hai,
Janay anjanay main likh doon jo kbhi tujh pay ghazal,
Mera her shair teray husan ka biyaan hota hai,
Teri palkoon pay jo jugnoo ki chamak main dekhoon,
Behti nadia main sitaroon ka jahaan hota hai,
Her aik shab khawaboon main jo tera rang dekhoon,
Meri her neend main teray dil ka makaan hota hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin,
Zara thokar jo lag jaye sanbhalna bhi nahi mumkin,
Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye,
Ke ab bheegi hui aankhon ko malna bhi nahi mumkin,
Milay hain baad muddat k, balaa k sard hain lehje,
Ke jalna bhi nahi mumkin. pighalna bhi nahi mumkin,
Ta’alluq toot jaane se umeeden toot jaati hain,
Dilon mein hasraten le ker behalna bhi nahi mumkin,
Bohat nakaamian le ker hua hoon khaak ka qaidi,
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,
Usse itna na socha ker. teri aadat na ban jaye,
Phir aisi aadaten Mohsin, badalna bhi nahi mumkin..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,
Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho,
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,
Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se,
Jo tu paas ho to usey door kar doon,
Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,
Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen,
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,
Tu agar samney ho to mein be’khudi mein,
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,
Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar,
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,
Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,
Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,
Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Rang tha roshni thi, qayamat tha,
Jis pe hum mar mittey qayamat tha,
Khush jamalon mein dhoom thi apni,
Naam us ka bhi wajah-e-shohrat tha,
Khawab tameer ban kar atey they,
Kya ajab mausam rafaqat tha,
Aik aik saans qurbton ka gawaah,
Har nafss lamhaa-e-ghaneemat tha,
Aur phir yun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishta-e-mohabbat tha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,
Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,
Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,
Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,
Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,
Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kidhar Gaya Wo Mujhe Khaak Se Rehaa Ker Ke
Pata Chale Gaa Hawaaon Se Raabta Ker Ke
Jahan Bhi Jaon Ga Dukh Mere Saath Jaye Ga
Ke Jaise Jurm Kiya Hai Koi Wafaa Ker Ke
Jo Kal Ki Subha Hai Meri Hai Ya Kisi Ki Nahiin
Main Teergi Se Larra Huun Ye Faisla Ker Ke
Mitta Hee Laite Hain Mehroomi-e-Bahaar Ka Gham
Tumhari Bazm Main Phoolon Ka Tazkra Ker Ke
Kisi Ne Aag Jalaii Hai Parbaton Pe
Koi Chala Hai Samandaron Main Raasta Ker Ke
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ashk zeyada seeney mein, kam ankhon mein,
Dil mein ek samandar, shabnam aankhon mein,
Tabeeron ki rut janey kab aye gi,
Muddat se hain khawb ke mausam ankhon mein,
Qatra qatra dhalti hain, par jalti hain,
Dard ki shamain madham madham ankhon mein,
Raah kahan se paatey hain, kyon atey hain,
Hanstey hanstey aansu yakdam aankhon mein,
Mu’n maangi sari hi khushiyan chehrey par,
Phir bhi kuch anjaney se gham aankhon mein,
Sab manzar janey pehchaney lagtey hain,
Jese koi khawab ka aalam ankhon mein..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Phool mehka to hua roop shararey jesa,
Is se agey ka fasaana hai hamarey jesa,
Kis nikaltey huye suraj ki talab ki mene,
Hashar mera jo hua subaah ke taarey jesa,
Teri aankhain mere afsaana-e-gham ki tasveer,
Mera daaman teri palkon ke kinaarey jesa,
Jese ik bhoola hua khawb nazar aaney lage,
Har nazaara hai kisi aur nazarey jesa,
Aayiney se kabhi azaad na ho ga jo Saud,
Wohi ik shakhss hai duniya mein hamarey jesa..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Chehray pay teray jab chand ka haala dekha,
Sham kay pahlo main chamkta howa ujala dekha,
Woh mera jab raat ko lout kar ghar ko ana,
Apnay angan ko teray husn ka rakhwala dekha,
Phool kaliyoun nay bhi gulshan main kia charcha tera,
Hum nay har mousam ko teray roop ka matwala dekha,
Teray anchal pay fareshtoon nay namazain jo parheen,
Hum nay ankhoon main teri zam zam ka payala dekha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Abhi dil mein goonjti aahtain mere sath hain,
Tu nahin hai aur teri dharknain mere sath hain,
Tu ne aik umar ke baad poocha hai haal e dil,
Wohi dard o gham wohi hasrtain mere sath hain,
Tere sath guzrey haseen lamhey lamhon ki shokiyan,
Wohi rang o buu wohi ronkain mere sath hain,
Mere zehen main hain mohabton ke woh raat din,
Woh aziyatain, woh nawaazshain mere sath hain,
Jo bichartey waqt, Shumaar tu ne kiye bohat,
Woh tamaam shikwey shikayatain mere sath hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tark-e-wafa tum kyon karte ho? itni kya bezari hai,
Hum ne koi shikayet ki hai? beshak jaan hamari hai,
Tum ne khud ko baand diya hai kese itni khaanon mein,
Sachon se bhi dua salaam hai, jhooton se bhi yaari hai,
Kesa hijar qayamat ka hai lahuu mein sholay nachtey hain,
Aankhain band nahin ho pati, neend hawaas pe taari hai,
Tum ne haasil kar li ho gi shayed apni manzil e shoq,
Hum to hamesha ke raahi hain apna safar to jaari hai,
Pathar dil be’hiss logon ko yeh nuktaa kese samjhayen,
Ishq mein kya be’ant nashaa hai yeh kesi sarshaari hai,
Tum ne kab dekhi hai tanhaai aur sanattay ki aag,
In sholon main iss dozakh mein hum ne umar guzaari ha
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tum agar bahaar ho to phool kuch khilaao na,
So rahi hain dharknain tum in ko bhi jagaao na,
Mera bas chale agar zameen ko main thaam loon,
Chaand ko kahoon ke apni gardishen bhulaao na,
Jism o jaan ke fasilon ko ab simattna chahiye,
Meri baat maan lo mujhe tum ab sataao na,
Kaaley kaaley baadlon mein chaandni udas hai,
Apne goray hath se tum ik diya jalaao na,
Mujh ko apne sath rakho khushbuyon ke raqss mein,
Gungunaa rahi hai raat tum bhi geet gaao na..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mujhe lagta hai ik pal bhi tumhare bin saza jese,
Tum aatey ho to ho jata hai dil ko aasraa jese,
Tumhari zindagi mein ab hamari hesiyat kya hai,
Puraney taaq mein rakha hua koi diyaa jese,
Samaat deti rehti hai mujhe tanhai mein dhoka,
Mujhe aksar laga ke tum ne kuch mujhse kaha jese,
Yaqeen mujh ko nahin is ka magar aksar yeh lagta hai,
Ke peecha kar rahi ho mera koi bad’duaa jese,
Go tum hum mein nahin baaqi par lagta hai Maan mujhko,
Har ik naymat tumhari hi dua ki ataa ho jese,
Shab-e-tanhai mein yadain teri yun jagmagati hain,
Hatheli per meri rakha ho ik roshan diya jese,
Hum aese zindagi ki raah mein bhatkaa kiye Azra,
Paraaye sheher mein koi musaafir be’nawaa jese..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Jo koi khawb jala, aap mujh ko yaad aye,
Dhuaan sa dil mein utha, aap mujh ko yad aye,
Sab aayinon mein nazar ayi aap ki surat,
Kisi ko yaad kiya, aap mujh ko yaad aye,
Qaraar-e-jaan ke liye mein kahan kahan na geya,
Jo koi dar na khula, aap mujh ko yaad aye,
Mere baddan mein koi aag si sulag uthi,
Chali jo sard hawaa, aap mujhko yad aye,
Mere badan mein koi aag si sulag uthi,
Chali jo sard hawa, aap mujh ko yad aye,
Kisi zamaney mein rotey they ap mere liye,
Ke jab bhi ghataaa chayi, ap mujh ko yad aye,
Mila to toot ke rota raha, woh rota raha,
Par us kab yeh kaha “aap mujh ko yad aye”,
Kissi ne dil ki kali aaj phir massal daali,
Zara sa zakham mila, aap mujh ko yaad aye,
Kahin pe dekhi jo ik nok-e-haar ki surat,
Mujhe bas itna laga, aap mujh ko yaad aye,
Gumaan-o-weham ki duniya ajeeb hai Wasiq,
Suni koi bhi sadaa, aap mujh ko yaad aye..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Meri mehboob, meri jaan, mujhe aansu bahaney de,
Chuppey hain dukh dil mein, mujhe aansu bahaney de,
Ke tere baad chup si lag gayi alaam-e-hasti ko,
Sabhi manzar huye be’jaan, mujhe aansu bahaney de,
Meri aankhon ki baarish thamm gayi to jee na paaon ga,
Yehi hai dard ka darmaan, mujhe aansu bahaney de,
Meri palkon ne muddat se koi saawan nahin dekha,
Meri aankhain hain kuch veeran, mujhe aansu bahaney de,
Kissi ke sath hoti thi bahaarain zindgaani ki,
Ke aye dard-e-shab-e-hijraan, mujhe aansu bahaney de,
Ke ab woh khawab si surat bhi mujhse chinn gayi Wasiq,
Hua hoon mein tabhi bejaan, mujhe aansu bahaney de..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Apna mizaaj kaar badalney nahin diya,
Dil ne koi nizaam bhi chalne nahin diya,
Aye maahtab-e-husn hamara kamaal dekh,
Tujh ko kisi bhi rang mein dhalney nahin diya,
Gardish main hum rahe hain to apna qasoor kya,
Tu ne humain kashish se nikalne nahi diya,
Duniya ki bewafayi se nisbat rahi teri,
Logon ne apne jee ko behelney nahin diya,
Nazron se apni aap hi girtey gaye hain hum,
Aye ishq tu ne hum ko sambhalney nahin diya..
 
Top