Nazam Collection

  • Work-from-home

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
dil shikasta apnay jaisa yahan koi dafan hai
der tak raat ko roney ki sada aati hai

jaisay chashmay peh nahati hui shehzad-e-khuab
chandni raat ab ashkon main naha jati hai

kia yahan dasht-e-tamanna main koi phool khila
ab idher roz kai baad-e-saba aati hai

kis dastak nay bohat chupkay sey sergoshi ki
chand sey chandni nazdeek hui jati hai

meri aankhon main uter aaye hain kaley badal
jao so jao k mausam bara jazbaati hai

khushk patton ko koi rond raha hai shayed
baal bikhraye huye baad-e-saba aati hai
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
SHIKASTA PA KOI AUR HAI

Main behak sakoon yeh majal kiya,
mera rahnuma koi aur hai
mujhe khoob jaan lee manzilien,
yeh shikasta pa koi aur hai.


Jo Tumhari jali se mutasil
hai satoon ke peeche khujal,khujal,
nahi main nahi woh mareez-e-dil
na mere siwa koi aur hai.


Meri ilteja hai yeh dostoo!
kabhi tum jo su-e-haram chalo
tu bana ke sar ko qadam chalo
ke yeh rasta koi aur hai.


Hai Tujhe khabar shah-e-aein-o-aan
meri wajh-e-rahat-e-qalab-o-jaan
na tere siwa koi aur tha,
na tere siwa koi aur hai.


Yeh ghumaan tha kai saal se,
yeh yaqeen hai kai rooz se,
mere dil se gunbad-e-sabz ka,
yeh mamla koi aur hai.


Woh Habeeb-e-Rab-e-Kareem hai
Woh Rauff hai Woh Raheem hai
Unhein fikr hai meri, app ki
unhein chahta koi aur hai.


Main jo door Arz-e-Haram se tha,
hoi khuld-e-ghosh hassein sada
hai issi mein "Majid"-e-benawa,
ke yeh qafila koi aur hai.


Main behak sakoon yeh majal kiya
mera rahnuma kopi aur hai
mujhe khoob jaan lee manzilien
yeh shikasta pa koi aur hai.


 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Shikasta Haal Phirtey hainn Tere Diwaney
Tere dar pe hain to aur kidhar jayegey

Karam ki Nazar abb to kardo Madine waley
ke ab ke hum jo totey to bikhar jayegey


 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
yeh Ajeeb Meri Mohabatain’……… …
Koi pooch le to main kya kahoon
usay kya bta~oon
yeh roz o shab to janam janam per muheet hy
merey zakhm zakhm dil o nazar
mujhay is janam main nahi milay
merey ratjagay merey hamsafr
merey saath aaj nahi chalay
yeh muheeb wehshat e fikr jo
merey naqsh naqsh ki rooh hy
koi besabaat byaan nahi
yeh to aatmaaoun ka aks hy
yeh to devtaaoun ka dhyaan hy
yeh to janay kesi sadi sadi ki
aziyaton ka gyaan hy
yeh ajeeb merey gham o alam
yeh naseeb sang e siyaah per
yeh warq warq per gaRay qalam
yeh k~Ra hisaar nya nahi
mera intzaar qadeem hy
mera us se pyaar qadeem hy
yeh ajeeb meri mohabatain..sabhi ne yun to kiya tajziya mohabbat ka
kisi se hal na hua maslla mohabbat ka

woh jis ke hijar main rona usko dua dena
samajh main atta nahe FALSAFA MOHABBAT KA
!!!!!
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi

Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi

Bas Yeh Kehne

Janaa!

Mere Saare Khat Lauta Do

Sab Tasweeren, Qalam, Kitaaben

Wapis Kar Do Saare Tohfay

Mujh Se Sab Kuch Maangne Wali

Jate Jate

Mere Kamrey Ki Chokhat Par

Chor Gai Hai

“Apna Aap”
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla kerna
Ke
Jeevan ki kahani ko
Bayan-e-be-zubani ko
kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai
kise kitna batana hai
Kis se kitna chupana hai
Kahan ro ro ke hasna hai
Kahan hans hans ke rona hai
Kahan awaz deni hai
Kahan khamosh rehna hai
Kahan rasta badlna hai
Kahan se lout ana hai
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla kerna
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Hota hey her Baar yeh Akser

Teri Yaad k gehrey Badal
Garaj Chamak sey Aari Aari
Bin Barsey Yun Guzar Jaatey hain
Jesey PHOOL ko Ulfat na ho
Apney hi Rang aur Khushboo sey
Jesey Chand ko Ulfat na ho
Madham Roshan Chandni sey
Jesey GEET ko ULFAT na ho
Taal w Sur w Raagni sey
Jab Jab Esa hojata hey
Mausam Mausam Ban jaata hoon
Dil ki Uljhan Barh jaati hey
Hijr K Qissey Wisl ki Batain
Madham Chanda Kajal Ratain
Sham-e-gham ki Aankh macholi
Phir sey Taari Hojaati hey
Aur Jaaney Q
Her Baar hi Akser
AANKHAIN BADAL HOJATI HAIN
Barish Jal Thal hojati hey
Merey Dil k Sehraon mani
haryaali Si Hojaati hey
Yaadain Taaza Hojati hain
Jaaney Q Her Baar hi Akser
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke

Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke

ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
har ek baat pe kehte ho tum ke ‘too kya hai’ ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

jalaa hai jism jahaaN dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ‘GHalib’ kee aabroo kya hai ?
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai

Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai

be_KHudee besabab naheeN ? GHalib?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
a ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai

dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai

giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai

ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai

dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai

qatl ka mere kiya hai ahad to bare
waye! agar ahad ustawar nahi hai

tu ne qasam maikashi ki khai hai 'Ghalib'
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai
main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai

hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai

gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare
gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai

shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiye
dil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai

dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah
nagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai

garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq
par ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai

uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai

ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya
rang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai

naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz hai
khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai

saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai 'Asad'
pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Gam-e-hayaat kaa jaga.Daa miTaa rahaa hai ko_ii
chale bhii aao ke duniyaa se jaa rahaa hai ko_ii


[Gam-e-hayaat=sorrows of life]


kaho ajal se zaraa do gha.Dii Thahar jaaye
sunaa hai aane kaa vaadaa nibhaa rahaa hai ko_ii


[ajal=death]


vo aaj lipaTe hai.n kis naazukii se laashe ko
ke jaise ruuTho.n huo.n ko manaa rahaa hai ko_ii


[naazukii=tenderness; laashe=dead body]


kahii.n palaT ke na aa jaaye saa.Ns nabzo.n me.n
hasiin haatho.n se mayyat sajaa rahaa hai ko_ii


[nabz=pulse; mayyat=corpse]
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Gamo.n ne gher liyaa hai mujhe to kyaa Gam hai
mai.n muskuraa ke jiyuu.Ngaa terii Khushii ke liye
kabhii kabhii tuu mujhe yaad kar to letii hai
sukuun itanaa saa kaafii hai zindagii ke liye


ye vaqt jis ne palaT kar kabhii nahii.n dekhaa
ye vaqt ab bhii muraado.n ke phal laataa hai
vo mo.D jis ne hame.n ajanabii banaa Daalaa
us ek mo.D pe dil ab bhii gun_gunaataa hai


fizaaye.n rukatii hai.n raaho.n par jin se ham guzare
ghaTaaye.n aaj bhii jhuk kar salaam karatii hai.n
har ek shab ye sunaa hai falak se kuchh pariyaa.N
vafaa kaa chaa.Nd hamaare hii naam karatii hai.n


ye mat kaho ki muhabbat se kuchh nahii.n paayaa
ye mere giit mere zaKhm-e-dil kii rulaa_ii
jinhe.n tarasatii rahii anjuman kii rangiinii
mujh milii hai muqaddar se aisii tanhaa_ii
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
naa tum yaad aao naa ham yaad aaye.n


sabhii ne lagaayaa hai chehare pe cheharaa
kise yaad rakhe.n kise bhuul jaaye.n


unhe.n kyaa Khabar ho aanevaalaa naa aayaa
barasatii rahii.n raat bhar ye ghaTaaye.n
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
hijr kii shab naalaa-e-dil vo sadaa dene lage
sunane vaale raat kaTane kii duaa dene lage


kis nazar se aap ne dekhaa dil-e-majaruuh ko
zaKhm jo kuchh bhar chale the phir havaa dene lage


juz zamiin-e-kuu-e-jaanaa.N kuchh nahii.n pesh-e-nigaah
jis kaa daravaazaa nazar aayaa sadaa dene lagaa


baaG_baa.N ne aag dii jab ashiyaane ko mere
jin pe takiyaa thaa vahii patte havaa dene lage


muTThiyo.n me.n Khaak lekar dost aaye vaqt-e-dafn
zindagii bhar kii muhabbat kaa silaa dene lage


aa_iinaa ho jaaye meraa ishq un ke husn kaa
kyaa mazaa ho dard agar Khud hii davaa dene lage
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
tumhaarii dost-navaazii me.n gar kamii hotii
zamiin TuuT ke taaro.n pe gir gaii hotii


bahut se log pashemaan ho gae hote
jo baat sach thii agar vo kahii gaii hotii


Khushii ne Thiik kiyaa jo hamase duur-duur rahii
hamaare paas jo aatii to ro pa.Dii hotii


tujhe bhii log hamaarii tarah samajh lete
hamaare jaiso se terii agar dostii hotii


mai.n raushanii ke saraabo.n se to bachaa rahataa
nasiib me.n jo zaraa aur tiiragii hotii
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
kabhii Khvaabo.n me.n milaa vo to Khayaalo.n me.n kabhii
raah chalate na milaa din ke ujaale me.n kabhii


zindagii hamase to is darjaa taGaaful na barat
ham bhii shaamil the tere chaahanevaalo.n me.n kabhii


jinakaa ham aaj talak paa na sake koii javaab
Khud ko Dhuu.Ndhaa kiye un TalKh savaalo.n me.n kabhii


tho.Dii rusavaaii tumhaarii bhii to hogii yaaro
chhap gae sher hamaare jo risaalo.n me.n kabh
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
pahale pahal to Khvaabo.n kaa dam bharane lagatii hai.n
phir aa.Nkhe.n palako.n me.n chhup kar rone lagatii hai.n


jaane tab kyo.n suuraj kii Khvaahish karate hai.n log
jab baarish me.n sab diivaare.n girane lagatii hai.n


tasviiro.n kaa rog bhii aaKhir kaisaa hotaa hai
tanhaa_ii me.n baat karo to bolane lagatii hai.n


saahil se Takaraane vaalii vahashii mauje.n bhii
zindaa rahane kii Khvaahish me.n marane lagatii hai.n


tum kyaa jaano lafzo.n ke aazaar kii shiddat ko
yaade.n tak socho.n kii aag me.n jalane lagatii hai.n


[aazaar = difficulty/trouble; shiddat = strength]
 
Top