yah agree wid MORGENSTERN...zahir hai jub koi personal hona chahay ga or humare pas koi answer nahi hoga to lil bit hume jhot ka sahara lena he parta hai
Zaroori naheen kay aap jhoot ka sahara lain us kay kai tareeqay ho saktay hain.
1. Aisa jawab dain kay jhoot bhi na ho aur sahi baat bhi na ho.
2. Ignore kar saktay hain.
3. Baat palat saktay hain.
4. Maazrat kar saktay hain kay main batana naheen chahti.
5.Ulta us say koi sawal kar lain aur baat ka rukh mor dain.
6. Baat mazaq main tal dain. Yani koi mazahiya sa jawab day dain.
Jaisay koi aap ki umr poochay to kah dain choti hoon ya bohat bari hoon ub aap nain jawab bhi naheen dia aur day bhi dia.
Ya kah dain aap nain suna naheen kay larkiyaan kabhi apni umr sahi naheen batateen to phir kioon pooch rahi hain.
Ya yay kah dain umr say aap ko kia lena dena.
Jaisay mujh say koi umr poochta hai to main kahti hoon kioon shadi wadi karnay ya karwanay ka iraada hai agar naheen to phir umr ki kia zaroorat.
Ya dosti main umr naheen daikhi jati
Ya jhoot bol doon to kia faida us say achcha na boloon.
Jhoot ki to kisi haal main ijazat naheen khuwah mazaq main hi kisi ko hasanay kay liay.
Quran main hai Allah aur us kay farishton ki lanat hai aisay logon pay jo logon ko hasanay kay liaay jhoot boltay hain. Main pehlay bohat hasanay kay liaay jhoot bola karti thi jub say suna bohat kaam karti hoon adat choni ki koshish karti rahti hoon Allah ka shukr hai kafi kum ho gai hai.
Aik hadees hai jis main aik shuks nain Muhammad Sallalho Alaihi Wasallim say poocha teen buraion kay baray main kia musalman main ho sakti hain aik bukhl, doosra yaad naheen aur teesra jhoot to Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim nain kaha haon yay donon buraiaan musalman main ho sakteen hai per musalman jhoota naheen ho sakta.