Tm Khandan-e-mughliya!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
awwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww :ilied

mujhey aur mughlon pr baat nhi krni mai ja rahi hon :surprisedrage
aap is tara se mehfil adhuri chor k nhi ja sakti sahiba,,,aapko is toheen-e-mehfil par zanjeeron may jakar k kaal kothri ki salakhon k peeche b dala ja sakta hay:p
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
TM khandan-e-Mughliya

Assalam o ALaikum TM motaram afrad-e-khana
TM khandan-e-mughliya may aap ko khush aamdeed kaha jata hay!:Mshout

Is makhsus mehfil may har shab-o-roz TM k moaziz ,ba-zauq ,ilm-o-adab aur fehm-o-frasat ki dolat se mala maal afraad apni Tehzeeb-o-tamaddun k johar dikhayain gey...aap samajh to gey hi hon gey k hum kis kis ki baat kar rhe hain ;;):p
is mehfil ki khaas baat ye hay k koi b yahan mughliya aur lakhnoyi urdu k ilawa koi b lab-o-lehja istamal karne ki jasarat nhi kar sakta,...

aaiye aur apne makhsus lab-o-lehje may aik dusre se hum kalam hoiyee..
iS khandan-e-mughliya Mehfil ki sarparasti k liye hum madu karna chahain gey jnab mohtaram @Asheer sahab jo apne khaas lakhnaoyi shayrana andaz aur adab gehra lgao rakhne ki badolat TM k har gali kooche may door se pehchane jaate hain :p


Is k saath hi TM ki 2 haseen dosheezaon se b hum guzarish karain gey k wo apni makhsus adbi aur munfarid silahiton ko baroye kaar laate huye is mehfil ki sarparasti ak aizaz hasil karain @Bela aur @Dua_E_Sehar

Is adbi mehfil k makhsus rang aur taqadus ko brqarar rakhne k liye hmare sipahi hama waqt hama tan gosh hain agar kisi ne mehfil k rang may bhang daalne ki koshsih ki to un k sar filfor tan se juda kar diye jayain gey...sipahioo hoshyaar @Abidi :p @Fanii :D

Aayain phir aaghaz karte hain
:Mwrite



@tag_tm​
waaliakum assalam malika e aaliya @Hoorain sahiba :bucktooth hum aap k boht mashkoor hain k aap ne is khandan e mughliya main hamain dawat de kar sharf bakhsha :p lekin aik baat ki is banda e na cheez ko smajh nahi aa saki or wo ye k ye na cheez to bachpan se hi kisi aala mansab par faiz hone ka talabgar tha :shy jesa k kisi shehzady k :D lekin aap ne to humain sipahi k mansab par faiz kar diya :eek:. khair main is mansab ko bhi pori zemedari k sath ba-khoobi nabhany ki koshish karunga or ab se kisi ka bhi sar tan par nahi raheny diya jayega :D
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waaliakum assalam malika e aaliya @Hoorain sahiba :bucktooth hum aap k boht mashkoor hain k aap ne is khandan e mughliya main hamain dawat de kar sharf bakhsha :p lekin aik baat ki is banda e na cheez ko smajh nahi aa saki or wo ye k ye na cheez to bachpan se hi kisi aala mansab par faiz hone ka talabgar tha :shy jesa k kisi shehzady k :D lekin aap ne to humain sipahi k mansab par faiz kar diya :eek:. khair main is mansab ko bhi pori zemedari k sath ba-khoobi nabhany ki koshish karunga or ab se kisi ka bhi sar tan par nahi raheny diya jayega :D
hahahaha aap k tarz-e-takhatub ne hmare labon par besakhta tabasum bikhair diya jo be qabu ho k dandan shareef tak pohanch gya,,mukhtasiran ye k hmar hansi nhi ruk rhi {(laugh)}

apne kaam se muttaliq aapka lgao daikh kar hum bohat mutasir huye hain jald hi aapki taraqi ho jayegi :D
 

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
aap is tara se mehfil adhuri chor k nhi ja sakti sahiba,,,aapko is toheen-e-mehfil par zanjeeron may jakar k kaal kothri ki salakhon k peeche b dala ja sakta hay:p
awwwwwwwww mai nhi darti :challengeaccepted
mughlon ko bus dosron pr zulam krna aata hai :yuno
 

Fantasy

~ The Rebel
Hot Shot
Sep 13, 2011
48,910
11,270
1,313
waaliakum assalam malika e aaliya @Hoorain sahiba :bucktooth hum aap k boht mashkoor hain k aap ne is khandan e mughliya main hamain dawat de kar sharf bakhsha :p lekin aik baat ki is banda e na cheez ko smajh nahi aa saki or wo ye k ye na cheez to bachpan se hi kisi aala mansab par faiz hone ka talabgar tha :shy jesa k kisi shehzady k :D lekin aap ne to humain sipahi k mansab par faiz kar diya :eek:. khair main is mansab ko bhi pori zemedari k sath ba-khoobi nabhany ki koshish karunga or ab se kisi ka bhi sar tan par nahi raheny diya jayega :D
hadd e adab.... hum iss mughliya khaandan k aakhiri chashm o chiragh haen oar aap hamary darbar mae haen oar hmaen qatl o gharat sy sakht nafrat hy.. hmaen sab k sir un k tan per he chahyen ;;)
 
Top