~*~ Wo kaisi mohabbat thi ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

love_quotes_graphics_01.gif


Wo ek ladki seedhi saadhi,bhooli bhaali,jab baat karti to narm awaz,baat baat par naraaz hona uski khaasiat thi.main khud nahi janta k main uski jaanib kaise raaghib hua.main na chahte hue bhi uski jaanib badhne laga.aur ek waqt aisa bhi aaya k maine usse fone par taqreeban 3 ghante tak baat ki.ye aajse qareeban 7 saal pahle ki baat hai aur us aawaz ko main aaj bhi apne kaanaon me mahsoos karta hon.aur aisa mahsoos karta hon k wo kal hi ki baat thi.main jab bhi in yaadaon ko bhulane ki koshish karta hon to utna hi un yaadaon k qareeb ek magnetic ki tarha chala jaata hon.aur aisa mahsoos karta hon k ye yaadein ab meri zindagi ka hissa bangayi hain.

wo kaisi mohabbat thi k ek baar bhi maine usko na usne mujhe qareeb se dekha.mere liye uske dil me jo mohabbat thi uska anadaza is waqiye se lagaya jaasakta hai k main ek martaba apne doston k saath net café par baitha gupshup laga raha tha utne me unka wahan se guzar hua.jaise hi meri nazar unpar padi maine unhe pahchaan lia k ye tafheem hi hain.us waqt main white shirt pahne hue tha.jab kuch dinaon baad unse meri baat hui to maine kaha k maine chund dinaon pahle aapko net café k qareeb me dekha tha.(aur main apne dil me yahi khayal kie hue tha k maine ek bada kaarnama anjam dia hai kyunke us waqt hum dono k beech taqreeban 90 metres ka faasla tha aur main nahi samajhta tha k utne faasle se kisi ko pahchanna koi aasan kaam hai).laikin meri hairat ki inteha naa rahi jab maine unse ye suna k haan tab aap white shirt pahne apne doston k saath thei.



Laikin wo aisi kaunsi wajuhaat thin jiski wajah se wo mujhse alag hogayin.ye main aaj tak nahi jaanska.aaj bhi unki aawaz mere kaanaon se takraati hai.aur mujhe fir se wo ehsaas dilaati hain.main jitna in yaadaon se peecha churaane ki koshish karta hon utna hi un yaadaon me doobta chala jaata hon aur be iqtiyar meri aankhaon se aanso rawan hojaate hain.ab yahi yaadein mere jeene ka waseela ban gayi hain.


abto aap ki miarrage bhi hogayi hai ab aap kayi rishtaon me bandh gayi hain.kisi ki biwi kisi ki bhaabi aur kisi ki maa laikin main aajse 7 saal pahle jo tha aaj bhi wahin hon.ab main aap keliye kuch nahi hon laikin aap aaj bhi meri zindagi ka hissa zaroor hain.

mujhe unka ghar to maaloom nahi laikin main aaj bhi us gali me jaata hon jin galiaon me meri zindagi k haseen waqayat raunuma hue thei.aur ek ajeeb sa sukoon mahsoos karta hon.


tumhe apna nahi kah sakta par ye bhi mere liye kia kum hai
k muddat haseen khawab me khokar jee lia maine
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
As a story to bohat nice hai arshad bhai...per sach poochen to mujhe bohat afsos ho raha hai parh ker...pata nahi usne aisa kyun kiya....koi majboori to zaroor rahi hogi warna aisa kyun kerti wo...
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
As a story to bohat nice hai arshad bhai...per sach poochen to mujhe bohat afsos ho raha hai parh ker...pata nahi usne aisa kyun kiya....koi majboori to zaroor rahi hogi warna aisa kyun kerti wo...
haan amreen.
kuch to majboori rahi hogi
yunhi koi bewafa nahi hota

khair.thnks amreen aapne ise padha.
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar

thnks tooooba.k aapko ye pasand aayi ye mere liye ek aizaaz hai.:)
u welcom,but sach pochay toa amreen ki tara mujy b khushe nae hove parh kar..:(
well donia ki mohabbat bhalay na ho hamaray naseeb may,but Allah ki mohabbat zaror hasil ho hamay....
yehe asal mohabbat hote hay...........
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and Aara'af
Top