~*~ Wo kaisi mohabbat thi ~*~

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

thnks sabah k aapne iskeliye waqt diya aur saath hi apna qeemti mashwara bhi dia.chund yaadein jo bhulaane par bhulaayi jasakti hain aur chund ek aisi hoti hain jo bhulaye nahi bhoolti.laikin main apni zindagi ki raftar ko sust nahi kia hon.Alhamdulillah aaj main pahli zindagi se mukhtalif hon.nice post sabah.:)
it feels great to hear that ... Allah aapko hamisha khosh rakhe Ameen...
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
apni kahani ko alfaz ka rang dy kr likhna acha andaz hai ap ka,ap ne b ache tarike se me apni khani ko likha..is se hume b idea ho gya k hum b kuch apni life me se likh sakte hn...

shukran anaaya.aapne ise padha.waqas aur anaaya mujhe such batayen k mere likhne ka andaz aapko kaisa laga?
 

rko

Banned
Mar 22, 2011
24
8
0
34
true lover never dies but time sikha daita hai :) but its realy good some thing is true ok thnx for sharing dear friend
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


Wo ek ladki seedhi saadhi,bhooli bhaali,jab baat karti to narm awaz,baat baat par naraaz hona uski khaasiat thi.main khud nahi janta k main uski jaanib kaise raaghib hua.main na chahte hue bhi uski jaanib badhne laga.aur ek waqt aisa bhi aaya k maine usse fone par taqreeban 3 ghante tak baat ki.ye aajse qareeban 7 saal pahle ki baat hai aur us aawaz ko main aaj bhi apne kaanaon me mahsoos karta hon.aur aisa mahsoos karta hon k wo kal hi ki baat thi.main jab bhi in yaadaon ko bhulane ki koshish karta hon to utna hi un yaadaon k qareeb ek magnetic ki tarha chala jaata hon.aur aisa mahsoos karta hon k ye yaadein ab meri zindagi ka hissa bangayi hain.

wo kaisi mohabbat thi k ek baar bhi maine usko na usne mujhe qareeb se dekha.mere liye uske dil me jo mohabbat thi uska anadaza is waqiye se lagaya jaasakta hai k main ek martaba apne doston k saath net café par baitha gupshup laga raha tha utne me unka wahan se guzar hua.jaise hi meri nazar unpar padi maine unhe pahchaan lia k ye tafheem hi hain.us waqt main white shirt pahne hue tha.jab kuch dinaon baad unse meri baat hui to maine kaha k maine chund dinaon pahle aapko net café k qareeb me dekha tha.(aur main apne dil me yahi khayal kie hue tha k maine ek bada kaarnama anjam dia hai kyunke us waqt hum dono k beech taqreeban 90 metres ka faasla tha aur main nahi samajhta tha k utne faasle se kisi ko pahchanna koi aasan kaam hai).laikin meri hairat ki inteha naa rahi jab maine unse ye suna k haan tab aap white shirt pahne apne doston k saath thei.




Laikin wo aisi kaunsi wajuhaat thin jiski wajah se wo mujhse alag hogayin.ye main aaj tak nahi jaanska.aaj bhi unki aawaz mere kaanaon se takraati hai.aur mujhe fir se wo ehsaas dilaati hain.main jitna in yaadaon se peecha churaane ki koshish karta hon utna hi un yaadaon me doobta chala jaata hon aur be iqtiyar meri aankhaon se aanso rawan hojaate hain.ab yahi yaadein mere jeene ka waseela ban gayi hain.



abto aap ki miarrage bhi hogayi hai ab aap kayi rishtaon me bandh gayi hain.kisi ki biwi kisi ki bhaabi aur kisi ki maa laikin main aajse 7 saal pahle jo tha aaj bhi wahin hon.ab main aap keliye kuch nahi hon laikin aap aaj bhi meri zindagi ka hissa zaroor hain.

mujhe unka ghar to maaloom nahi laikin main aaj bhi us gali me jaata hon jin galiaon me meri zindagi k haseen waqayat raunuma hue thei.aur ek ajeeb sa sukoon mahsoos karta hon.





tumhe apna nahi kah sakta par ye bhi mere liye kia kum hai
k muddat haseen khawab me khokar jee lia maine

janab shayad apki is kahani ko hamse behtar koi aur janta ho yahan

wo kaisi mohabbat thi iss sawal par ham kahenge wo sachi mohabbat thi aur pehli mohabbat thi yehi wajhe hai k abhi tak isne apka picha nahi chora

lekin wo apko na mili isme halaat bhi the majboori bhi thi aur kuch apki taraf se galti bhi galti matlab apne aage barh kar itna nahi kiya jitna karna tha shayad us waqt halaat apko karne nahi diye honge aur in sab baton se zyada motabar baat ye hai k wo apki kismat me nahi thi aur yehi haq hai jisse apko tasleem karna hai

baki ye sab insaan k liye imtehan hai insabko sath lekar hi zindagi ko aage badhana hai rahi baat yaaden nahi jaati to iske liye ek mashwara hamari taraf se ye hai ke aap jald az jald shadi karlen yehi apke marz ki dawa hai aur ham ye yaqeen se keh sakte hain apko k isse behtar aur koi rasta nahi

Allah apko sahi maino me apki zindagi aage lejane ki salahiat de Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Top