+YouR Own Poetry ConTesT-

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
2:poetry ksi Page P likhi hui honi chahye,Us P user-Name Aur TafreehMela zror likha hona chahye..Wrna Apki Poetry Accept Nhi ho gi..

janab apse ek sawal tha kya apni writing me honi chahiye ya phir type ki huyi
 

Lightman

TM Star
Aug 27, 2009
4,299
2,429
1,313
FrOnT Of YoUr EyEs
2:poetry ksi Page P likhi hui honi chahye,Us P user-Name Aur TafreehMela zror likha hona chahye..Wrna Apki Poetry Accept Nhi ho gi..
janab apse ek sawal tha kya apni writing me honi chahiye ya phir type ki huyi

Yup apni writing main Honi Chahye...Nd Writing Matter nhi kary gi Poetry Ko dekha jaye ga.....
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

doston apke samne hamari likhi poetry hazir hain
iske piche ki ek raaz pako batate hain

dar asal ham hamari pehle likhi huyi poetry jo ke pehle se hamn TM par post ki hai wohi yahan is contest me share karna chahte the........

lekin hamare ek dost ne hamse kaha k aap naya kalaam likhen aur sath hi mauzu bhi hame diye to unke hausle se hamne ye poetry likhi hai.... :)

umeed karte hain ki unko aur apsab ko ye pasand aaye

sana ( masoom se chahat :) ) ye nazm apke liye :)
masoom_se_chahat







Ankhon me kayi khwahishen kayi khwaabon ko sameti hai wo
Har Nayee subah nayee hasraten leke uthti hai wo

Apni hi duniya me gumsum khoyee rehti hai
kabhi hasti to kabhi roti to kabhi khush hoti hai wo

dekh kar isko har koi deewana war kehta hai
mere khwabon mere khayalon ki tabeer hai wo

Sheeshe ka dil liye in pattharon ki basti me
Har ek ka zakhm liye chup chaap sehti hai wo

Na kisi ka dard kisi k liye na kisi k liye hai pyar yahan
Deta har koi zakhmon pe zakhm har ek ka tuta sansar yahan

Har koi yahan deta hai yahan taleem e masawat
Hain insano ki shakl me darinde sare,har koi khonkhwar yahan

Na bachon pe shafaqqat na badon ki izzat
Taalim to aala hai lekin aqlaq kahan

Iss bharii duniya me sab paraye hain yahan
Na mera hai koi yehi kehti hai wo

Is basti se door khawabaon ki nagri me
Khwahishon ke shajr tale, Hasraton ke bagiche me

Kisi Ajnabi k intezar mein hai wo umeedwaar
Jo kare khushion ki barsat jo de dher sara pyar

Nasir duago hai uski hasrat ho puri khwab hon sache
Mile jahan ki har khushi jiski taalib hai wo
 
Status
Not open for further replies.
Top