~*~ ramadan seher o aftar contest 2011 ~*~

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India


500 kis khushi mayhh.. 300 lene hain to bataa dena.. warna me sehri ki recipe he share nai kar rahi {(ok)}
are zyada bargaining ki koi zaroorat nahi na...{(doh)}

sabse aasan hal main batati hoon...agar aap jeeti to bus 5oo mere aur 500 zee ke ... aur hamari duwayen aapki... :D

lijiye ho gai na sari problem solve...;;)
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
ufff, jab tak sochungi nai toh kaam kese hoga{(doh)}...
anyways, main zaroor share karungi kuch na kuch.............
han ji pata hai pata hai....bus sochti hi rehti hain aap aur contest khatam ho jata hai....({smilestar)}

aphi pichla contest yaad hi hai mujhe....{(haha})

lekin agar is bar aisa huwa na toooooooo....{(nix)}
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
han ji hum to aise hi hain...:p
hamare palle jo parte hain unko sughar bana ke hi dum lete hain hum....({smilestar)}
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
intezaar khatam hua aur main first time time pe pohnch aai{(haha})...
here i've got 2 recipes, one is for sehri which is aloo ka paratha and second is fried chicken legs for aftaar


recipe for suhoor
Aloo ka Paratha
ingredients:

boiled potatoes- half kg
1 tea spoon of zeera
1 tea spoon of salt
1 tea spoon of ground red chilli
some green chilli and coriander( chopped)
flour(dough)
oil
butter or margarine
method:
aloo ko boil kar k mash kar len( aap spoon se b mash kar sakte hain ya grinder main b) den, ek frying pan main 2 table spoon oil len aur usey garam kar k zeera, nimak, mirch, coriander, chillies, aur aloo daal k unhain 2 minutes tak halki aanch pe fry kar len aur fir ek plate main nikal k thanda hone k liye thori der rakh den
den aap ghunday hue atta main se thora sa len aur baari baari round c shape main 2 small balls banayen aur un main s eek ko thora sa wide kar k us pe filling k liye jo paste banaya hai woh bhar k doosre ball se cover kar k side se bund kar den taa k filling bahir na aaye
aap belan ki madad se round c roti shape ka paratha banayen aur tawwa jala k jab garam ho jaye toh us pe butter ya margarine laga k paratha dono side se paka len


 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
ok ye rahi aftaari recipe:x one thing i wanna share, k ye recipe mene internet ya kisi book se nai li, balki mamma se poochi thi:) she also helped me through out


Fried Chicken Legs{(haha})..
ingredients:
chicken legs
besan (gram/ground flour)
laal mirch
namak
water
method:
1-sab se pehle chicken ko saaf paani main acchi tarah saaf kar len. phir ek deep pan main chicken daal k isey halki aanch pe rakh den aur bilkul halki si nimak and mirch add kar k chicken ko mix kar den. make sure k aanch halki rahe aur pan ko lid se cover kar den taa k chicken steam aane ki wajah se soft ho jaye. saath saath thori der baad chamchay se hila den taa k woh jalne na paye
2- ek plastic k bowl ya deep plate main hasb-e-zaroorat besan len aur us maain hasb-e-zaiqa namak aur red ground chilli add kar k paani se mix kar len( make sure k paste na ziyada thin ho aur na hi thick)
3- jab chicken gal jaye toh usey kisi bartan main nikal k rakh len aur thori der thanda hone k liye rakh den. phir ek frying karahi main oil daal k usey garam kar len aur chicken legs ko ek ek kar k besan k paste main dip kar k karahi main daal den. dono taraf se jab chicken light brown ho jaye toh kisi bartan main nikal len aur chutni n salad k saath serve karen:)


 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
wow
both dishes looks yum
:)
best of luck nelli
:-bd
 
Status
Not open for further replies.
Top