~*~ ramadan seher o aftar contest 2011 ~*~

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
oye hoye...nili b cook bun gaye....wah kia bat hay paratay ki or drum stick ki....
very nice nili...parata bilkul gool bana hay....good...
 

Sara Cilli Milli

!*!Bulbul!*!
Super Star
Oct 21, 2010
13,389
6,751
513
disney land (-'')
intezaar khatam hua aur main first time time pe pohnch aai{(haha})...
here i've got 2 recipes, one is for sehri which is aloo ka paratha and second is fried chicken legs for aftaar


recipe for suhoor
Aloo ka Paratha
ingredients:

boiled potatoes- half kg
1 tea spoon of zeera
1 tea spoon of salt
1 tea spoon of ground red chilli
some green chilli and coriander( chopped)
flour(dough)
oil
butter or margarine
method:
aloo ko boil kar k mash kar len( aap spoon se b mash kar sakte hain ya grinder main b) den, ek frying pan main 2 table spoon oil len aur usey garam kar k zeera, nimak, mirch, coriander, chillies, aur aloo daal k unhain 2 minutes tak halki aanch pe fry kar len aur fir ek plate main nikal k thanda hone k liye thori der rakh den
den aap ghunday hue atta main se thora sa len aur baari baari round c shape main 2 small balls banayen aur un main s eek ko thora sa wide kar k us pe filling k liye jo paste banaya hai woh bhar k doosre ball se cover kar k side se bund kar den taa k filling bahir na aaye
aap belan ki madad se round c roti shape ka paratha banayen aur tawwa jala k jab garam ho jaye toh us pe butter ya margarine laga k paratha dono side se paka len


wow nelli aik dum gol ;))

nyc and looking yummy :)
 

mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
49
UAE ABU DHABI
v, gud shairing nelli sis baka akher yeh kam bhi ho hi giya likan pratha bilkul ghool kysy bana pehli bar atna gool nahin banta ,,,,,,,
ok ye rahi aftaari recipe:x one thing i wanna share, k ye recipe mene internet ya kisi book se nai li, balki mamma se poochi thi:) she also helped me through out


Fried Chicken Legs{(haha})..
ingredients:
chicken legs
besan (gram/ground flour)
laal mirch
namak
water
method:
1-sab se pehle chicken ko saaf paani main acchi tarah saaf kar len. phir ek deep pan main chicken daal k isey halki aanch pe rakh den aur bilkul halki si nimak and mirch add kar k chicken ko mix kar den. make sure k aanch halki rahe aur pan ko lid se cover kar den taa k chicken steam aane ki wajah se soft ho jaye. saath saath thori der baad chamchay se hila den taa k woh jalne na paye
2- ek plastic k bowl ya deep plate main hasb-e-zaroorat besan len aur us maain hasb-e-zaiqa namak aur red ground chilli add kar k paani se mix kar len( make sure k paste na ziyada thin ho aur na hi thick)
3- jab chicken gal jaye toh usey kisi bartan main nikal k rakh len aur thori der thanda hone k liye rakh den. phir ek frying karahi main oil daal k usey garam kar len aur chicken legs ko ek ek kar k besan k paste main dip kar k karahi main daal den. dono taraf se jab chicken light brown ho jaye toh kisi bartan main nikal len aur chutni n salad k saath serve karen:)


 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
intezaar khatam hua aur main first time time pe pohnch aai{(haha})...
here i've got 2 recipes, one is for sehri which is aloo ka paratha and second is fried chicken legs for aftaar


recipe for suhoor
Aloo ka Paratha
ingredients:

boiled potatoes- half kg
1 tea spoon of zeera
1 tea spoon of salt
1 tea spoon of ground red chilli
some green chilli and coriander( chopped)
flour(dough)
oil
butter or margarine
method:
aloo ko boil kar k mash kar len( aap spoon se b mash kar sakte hain ya grinder main b) den, ek frying pan main 2 table spoon oil len aur usey garam kar k zeera, nimak, mirch, coriander, chillies, aur aloo daal k unhain 2 minutes tak halki aanch pe fry kar len aur fir ek plate main nikal k thanda hone k liye thori der rakh den
den aap ghunday hue atta main se thora sa len aur baari baari round c shape main 2 small balls banayen aur un main s eek ko thora sa wide kar k us pe filling k liye jo paste banaya hai woh bhar k doosre ball se cover kar k side se bund kar den taa k filling bahir na aaye
aap belan ki madad se round c roti shape ka paratha banayen aur tawwa jala k jab garam ho jaye toh us pe butter ya margarine laga k paratha dono side se paka len


wah kia baat hai Nulli siso
looks yumyano
Good job:-bd
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
ok ye rahi aftaari recipe:x one thing i wanna share, k ye recipe mene internet ya kisi book se nai li, balki mamma se poochi thi:) she also helped me through out


Fried Chicken Legs{(haha})..
ingredients:
chicken legs
besan (gram/ground flour)
laal mirch
namak
water
method:
1-sab se pehle chicken ko saaf paani main acchi tarah saaf kar len. phir ek deep pan main chicken daal k isey halki aanch pe rakh den aur bilkul halki si nimak and mirch add kar k chicken ko mix kar den. make sure k aanch halki rahe aur pan ko lid se cover kar den taa k chicken steam aane ki wajah se soft ho jaye. saath saath thori der baad chamchay se hila den taa k woh jalne na paye
2- ek plastic k bowl ya deep plate main hasb-e-zaroorat besan len aur us maain hasb-e-zaiqa namak aur red ground chilli add kar k paani se mix kar len( make sure k paste na ziyada thin ho aur na hi thick)
3- jab chicken gal jaye toh usey kisi bartan main nikal k rakh len aur thori der thanda hone k liye rakh den. phir ek frying karahi main oil daal k usey garam kar len aur chicken legs ko ek ek kar k besan k paste main dip kar k karahi main daal den. dono taraf se jab chicken light brown ho jaye toh kisi bartan main nikal len aur chutni n salad k saath serve karen:)



Awesome.....:-bd
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi


are zyada bargaining ki koi zaroorat nahi na...{(doh)}

sabse aasan hal main batati hoon...agar aap jeeti to bus 5oo mere aur 500 zee ke ... aur hamari duwayen aapki... :D

lijiye ho gai na sari problem solve...;;)
chaloo 600 mere 400 tumhare {(ok)}
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
ALLO Kay Samosay And Potatoes Roll




Allo k Samosay Recipe:

Allo boil 2-3 halka sa mash kar lein
Namak
Lal mirch
Dhania powder
Hari Mirchain 2-3
zeera
Kasoori methi half tea spoon


Dough:
Maida 1 cup
1 spoon oil
Namak
zeera
Pani

Sab chezo ko mix kar k sakht sa atta ghondh lein.

Dough ki choti balls bana k patla sa bail lein, us may allo ka mixture daal k samosay ki shape dein n deep fry kar lein


Potatoes and Chicken Bread Rolls

Allo boil 2-3 mash
Chicken boil n shredded 1 cup
Namak
Lal mirch
Dhania powder
Zeera
Green chillies
Onion 1 finally chopped
Bread 1 large

Sab chezain mix karain, bread ki sides knife se kaat lein.. aik bowl may pani daal k us may bread slice ko halka sa dibbo k hath ki hatheli pay rakh k press karain, pani nikaal jay to above mixture us may dalain or roll kar k lein.. phir isay deep fry kar lein..

 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
MURGH PULAOO




Rice 1 kg
Chicken 1 Kg
Onion 2 medium
Tamatar 2-3
Lal Mirch
Dhania powder
Lehsan adrak paste 2 table spoon
Zeera
Green chillies
Garam masala powder


Pan may oil daal k pyaaz, zeera daal fry karain, jab pyaaz brown ho jay to is may lehsan adrak paste n chicken daal k thori dair fry karain, chicken ka color change ho jay to tamam spices and tomatoes daal k thori dair bhonain, phir is may 2-3 glass paani k dalain jab ubaal aa jay to chawal daal dein. Medium flame pay dhakan laga k chore dein. Jab pani khushk ho jay to upper hari mirch daal k dum pay rakh dein..
 
Status
Not open for further replies.
Top