*** Islamic QUIZ ***

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
4 mashoor o maroof farishton k naam batayen aur sath hi unke kaam bhi batayen
Jazakallah khair
 

*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
haan choti jaa sakti hai par aap baat kahan se kahan leke jate ho uska hubby ki wafat k baad sath hi wo job to nahi karegi na
aap ko iski achche se wazahat kar dete hain khawind k wafat k baad biwi ko apne hubby ki jayedad se hissa milta hai aur uske khawind ne jo maher diya hua hain nikah k waqt wo bhi biwi ki milkiyat me hai sath hi usne koi tijarath me paise lagaye hain to wo bhi uske hain to ye sab hain to hubby k marte hi zaroorat kaise padegi aur agar bache bade hain to wo bhi apni maa ki khidmat k liye honge agar na bhi hon to ye sab to hain aur wo apne 4 mah 10 din baad chahe to dusri shadi kar sakti hai aur behtar yehi hai k wo akeli na rahe dusri shadi karle dusri shadi karne k sath hi usse phir maher mila aur uska khawind aage se uski har zarooriyat ko pura karega ladki to islam me phool ki tarah hai usko kuch karne ki zaroorat hi ahi abhi wo apne naye khawind k maal me se bhi hisse daar hogayi subhan Allah Islam ki har cheez hakimana hai choti magar afsos hamne deen ko chor diya hai aap kahenge bhai aaj kal ye sab kahan hota hai to galti kiski hai Islam ki nahi hamari galti hai jo ham bhugat rahe hain...agar hamari ladki shadi se pehle apne liye deeni khawind pasand kare to phir usko apne sare huqooq milenge magar usko to clean shave fashion karne wala chahiye baad me uske asrath khud usko jhelne padhte hain

khair umeed hai apko hamari baat samajh me aagayi hogi

Allah hamari behno ko deeni khawing apne liye pasand karne ki taufeeq de Aameen

---------- Post added at 10:29 PM ---------- Previous post was at 10:14 PM ----------


shukran :)




shukran :)



shukran :)


Affwann :)
but log kehte hen islam me bewa ka hissa chtta he jaedad me jo mamooli he bohet us ka kiyya faida?heq meher islam ne acha rekha he but is socity me heq meher bus itna he 3 ruppe /3 hazar ruppe bus
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

but log kehte hen islam me bewa ka hissa chtta he jaedad me jo mamooli he bohet us ka kiyya faida?heq meher islam ne acha rekha he but is socity me heq meher bus itna he 3 ruppe /3 hazar ruppe bus
to choti ye mashre ki galti hai Islam ki nahi
aap khud achi taleem hasil karo deen ki aur sab ko iski nasihat bhi do
aur hamne kaha har islami faisle me hikmat hai Mard aur Aurat ka barabar hissa hai agar kulli taur par nazar dalen to
aap sure Nisa, Ahzab, Noor ye teen surten tarjume k sath padhen apko wazahat k sath baat samajh me ajayega insha Allah
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
4 mashoor o maroof farishton k naam batayen aur sath hi unke kaam bhi batayen
Jazakallah khair
Hazrat jibraeel... (wahi le ker aatay teh)
Hazrat meekaeel (khanay aur barish k nigran)
Hazrat Israfeel ( Maut k frishtay)
Hazrat Izraeel (Qiyamat k din soor phoonkay gein)
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Hazrat jibraeel... (wahi le ker aatay teh)
Hazrat meekaeel (khanay aur barish k nigran)
Hazrat Israfeel ( Maut k frishtay)
Hazrat Izraeel (Qiyamat k din soor phoonkay gein)
Jazakallah khair Ahmed

par Hazrat Israfeel (Qiyamat k din soor phoonkay ge)

aur Hazrat Izraeel ( rooh kabz karte hain)
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
aap lOgO Say mera Sawal hai k hum Tamam muSalman kalma phartay hain
la ilaha illallah Muhammad ur rasoolAllah
Hazoor
17_small.jpg kiS tarah kalma phartay thay
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
aap lOgO Say mera Sawal hai k hum Tamam muSalman kalma phartay hain
la ilaha illallah Muhammad ur rasoolAllah
Hazoor
View attachment 12976 kiS tarah kalma phartay thay
subhan Allah bohot hi achcha sawal hai janab
shayad hi kisi ne socha ho is tarah

Aap S.A.W ne jab se taheed ki dawat buland ki unka yehi farmaan tha k Qulu Laa Ilaha Illalah Wa Ana Mohammed Rasul Allah

aur kayi ahadees se bhi ye hame pata chalta hai k Aap S.A.W kehte the Laa Ilaha Illallah Wa Ana Mohammed Rasul Allah

wallahu aalam agar kisi k paas aur maloomat hai to yahan de sakte hain

Jazakallah khair
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
jee bhai mera yeh point clear kerain plz......
k
beshter makamat per peenay ka paani saaf muhaya nhi hay. vohan log filteration plant etc. say paani haasil kertay hain. arz ye hay kay water supply ka pani jo gheron may ata hay. baqool avaam vo bad bo daar or us may say gatter kay paani ki badboo aati hay. ab ham vohi pani apnay ghusal k liye vozu k liye, khana pakana or bertan or kapray dhony k liye istemal krtay hain.

kiya hamara ghusal or vuzu is paani say hojata hay...?? bavajood is kay k ham us paani ko peenay k kaabil nhi samjhtay.
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
bohot bohot shukriya Diya

masha Allah apne bohot hi achcha sawal kiya hai jo aaj kal aksar logon me aise sawalat ghumte hain magar iska sahi jawab unko nahi milta
ham koshish karenge apko Taqdeer k is masle ko samjhane ki

sabse pehle Tadeer ko manna ye imaan e juz me se hain agar ham iske munkar banenge to phir momin nahi keh layenge
aur ye Taqdeer ka aisa masla hai jisme hame zyada ulajhna nahi chahiye jiase Allah ne aur uske Rasul S.A.W ne bataye bas uspar imaan rakhna hai

kuch misalen dekar apko samjhane ki koshish karte hain yahan hamare bhai fahad ne ek hadees aur Quran ki daleel se apko masha Allah achi misaal di hai k ek tang uthane ka ikhtiyar hame Allah ne diya hai dusri k hamare basme nahi agar uthane ki koshish karenge to zameen par gir jayenge subhan Allah

aur Allah ne jo hamari Taqdeer me likha hai wo barhaq hai wohi hoga lekin Allah tala ne likh kar hame karne par majboor nahi kiya balke usne wohi likha jo hamne karna tha wo hamara khaliq hai wo behtar janta hai k ham kya karenge kya nahi karenge aap school jate ho to apko school ka hi example dete hain

final exams se pehle teacher kehte hain k falan ladka paas hoga ache marks layega aur falan fail hojayega aur result bhi kuch issi tarah se aata hai to kya teacher ko gaib ka ilm tha ya phir Taqdeer ka ikhtiyar tha nahi aisa nahi hai balke teacher ne in bachon ko saal bhar padhaya hai to wo jaanti hai k kaun padhne wala hai aur kaun nahi ussi andaze se teacher ne kehdiya k ye paas hoga ye fail hoga
to jab ek teacher is tarah ka andaza laga sakta hai to Allah to hamara khaliq hai usse ne hame paida kiya to usko bakhubi ye ilm hai k kaun kaisa hai aur kaun aage kya karega aur jo wo karne wala hai wohi Allah ne likh diya k ye banda aise karega.....haan wo kab paida hoga aur kab marega wo Allah ne khud apni marzi se likha hai.......

ek hadees apke samne pesh karte hain jab ham ye padhe the to hamare ronkte khade hogaye the

Hazrath Umar farooq R.A k paas ek gulam tha jisse unhone aazad kardiya aur soche k ye bechara miskeen hai usse kuch diya jaye unke paas ek aaza thi wo usse dena chahte the par wo chori hogayi kuch din baad Umar R.A ne wo aaza hazrath usman R.A ya Hazrat Ali R.A k paas dekhe aur unse pucha apne ye kahan se kharida to unhone batlya falan shakhs ne hame becha to Umar R.A kehne lage afsos ye to main usko hadiye me dena chahta tha ye uski Taqdeer me thi thora sabr karta to halal zariye se miljati par usne sabr nahi kiya chori ki aur haram me mubtila hogaya subhan Allah

ye hadees waqayi sabakh amoz hai hamari Tadeer me likha milega bas hame sahi rasta ikhtiyar karna hai koshish karni hai

umeed karte hain ki apko samajh me agayi hogi baat agar aur bhi kuch ishkaal hain to hamse zaroor kahiye insha Allah apko mazeed maloomat dene ki koshish karenge

Allah hame deen ki sahi samajh aata faramaye Aameen
Jazak Allah Khair Saviou bhai, sach mein bht ache tareeke se smjhaya ap ne.. :)
 

*Maryam*

*"T"* I desErve ThE BeSt n thE BeSt is YOU *"T"*
Super Star
Feb 12, 2010
7,334
3,408
913
Riyadh KSA
frndz hv a Question...ak baat hamsha myre zehan rhi h or clear nhi ho pai k kasam in actual hoti kya h..log kyn uthaty hn...or baat baat pr uthaty hn...jhoti kasam kya hoti..or kufara kya hota h... logically btayiea plzz..
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jee bhai mera yeh point clear kerain plz......
k
beshter makamat per peenay ka paani saaf muhaya nhi hay. vohan log filteration plant etc. say paani haasil kertay hain. arz ye hay kay water supply ka pani jo gheron may ata hay. baqool avaam vo bad bo daar or us may say gatter kay paani ki badboo aati hay. ab ham vohi pani apnay ghusal k liye vozu k liye, khana pakana or bertan or kapray dhony k liye istemal krtay hain.

kiya hamara ghusal or vuzu is paani say hojata hay...?? bavajood is kay k ham us paani ko peenay k kaabil nhi samjhtay.
Allahi barik feek

bohot achcha sawal hai apka Janab
ham kal hi jawab dene wale the par thora tahqeeq k liye waqt laga

isme tamaam ulama ka ittifaaq hai ke pani ka rang,maza,aur boo badal jaae to wo pani napaak hai
ye Abullah bin Umar R.A ki hadees se baat sabit hoti hai

kyonke us paani se boo aarahi hai isliye wo pani napak hai

to isse apka wazu aur gusal nahi hosakta
aap khane pine k liye aur bartan dhone k liye bhi aisa pani na istemal karen isse bimariyan hosakti hain

ab aise waqt me jabke apke paas paak pani nahi hai to aap kya karente ap aise waqt me tayammum karke paki hasil karen
agar aur koi wazahat chahte hain to aap puchlen

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Top